Shuru Karta Hun Allah Ke Naam Se Jo Bada Niyahat Raham Wala Hai. Allah Ne Insan Ko Banaya, Rehne Ke Liye Ye Duniya Banaai, Rizq Ka Intezaam Kiya Aur Tamaam Aasaish Faraham Ki. Sochne Waali Baat Ye Hai Ke In Sab Cheezon Ka Banaane Ka Maqsad Kya Hai? Sochne Par Hume Yeh Pata Chalta Hai Ke Allah Humse Uski Itaa’t Chahta Hai. Allah Chahta Hai Ke Hum Uska Har Hukm Maane, Isliye Allah Ne Paigambaron Ko Bheja Aur Unke Saath Kitaabon Ko Bheja, Taaki Insaan Us Kitaab Ke Mutaabik Apni Zindagi Guzaare.
Allah Kitaabein Bhejta Gaya, Paigambaron Ko Bhejta Gaya Magar Insaan Na Shukr-O-Na Farmabardar Raha. Chunanche Allah Ne Apne Aakhri Nabi Muhammed Mustafa (S.A.W.S) Ko Bheja. Allah Ku Apne Rasool (S.A.W.S) Se Itni Mohabbat Thi Ke Allah Ne Apne Kalaam Ko Huzoor (S.A.W.S) Ke Dil Mein Utaari. Us Kalaam Ko QURAN Ke Naam Se Yaad Karte Hai.
Allah Ne Quran Mein Zindagi Guzaarne Ka Tarika Sikhaya, Aadab-O-Akhlaq Sikaaye Aur Quraan Ke Zariye Se Apna Hukm Sunaaya. Ek Cheez Kaabil-E-Tavajjo Hai Ki Allah Ne Hukm Kiya. Iska Matlab Hai Ki Hukm Ki Nafarmaani Par Gunah Hoga. Jaisa Allah Ne Namaz Qaayim Karne Ka Hukm Diya, Namaz Na Qayam Karne Par Allah Uska Hisaab Lega. Isi Tarah Quran Mein Ka Har Ek Lafz Humpar Farz Hai.
Quraan -e-Shareef Mein Allah Ta’ala Ne Kayi Muqaamat Par Zikr Karne Ka Hukm Kiya Hai. Allah Ne Quran Mein Zindagi Guzaarne Ka Tarika Sikhaya, Aadab-O-Akhlaq Sikaaye Aur Quraan Ke Zariye Se Apna Hukm Sunaaya. Ek Cheez Kaabil-E-Tavajjo Hai Ki Allah Ne Hukm Kiya. Iska Matlab Hai Ki Hukm Ki Nafarmaani Par Gunah Hoga. Jaisa Allah Ne Namaz Qaayim Karne Ka Hukm Diya, Namaz Na Qayam Karne Par Allah Uska Hisaab Lega. Isi Tarah Quran Mein Ka Har Ek Lafz Humpar Farz Hai.
Quraan-e-Shareef Mein Allah Ta’ala Ne Kayi Muqaamat Par Zikr Karne Ka Hukm Kiya Hai.
“FA IZA QASAITUMUS SALATA FAZKURULLAH QIYAAMAUNW WA QUDANW WA ALA JUNUU BIKUM” (Surah An Nisa,4:103)
Aur Jab Tum Namaz Khatam Kar Chuke Honge, Yaad Karo Allah Ko Khade Huye, Baithe Huye Aur Lete Huye
“YAA AYYUHAL LAZEENA AAMANUZZ KURULLAHA ZIKRAN KASEERA, WA SABBIHOO HU BUKRATAUNW WA ASEELA” (Surah Al Azaab ;V-41,42)
Ae Imaan Waalon Tum Allah Ka Zikr Kasrath Ke Saat Kiya Karo Aur Subah Wa Shaam Uski Tasbi Karte Raho.
"WALA ZIKRULLAHI AKBAR” (Surah Anqaboot ; V-45)
Aur Allah Ka Zikr Bohot Bada Hai.
“FAZ KUROONI AZ KURU KUM WAS KUROOLI WALA TAKFUROON” (Surah Al Baqarah V- 152)
Tum Mujhe Yaad Karo, Mein Tumhe Yaad Karunga.
“WAZ KUR RABBAKA IZAA NASEEYTA” (Surah Al Kahf V-24)
Aur Yaad Karo Apne Rabb Ko Jab Tum Bhool Jaoge
“WAZZ KURULLAHA LASEERAL LA ALLAKUM TUFLIHOON” (Surah Al Jummuah; V-10)
Aur Yaad Karo Apne Rab Ko Taaki Tum Kaamyaab Ho Jaao
Bande Ne Chand Aayatein Pesh Ki Hai Jisme Allah Ta’ala Ne Zikr Ke Taaluq Se Farmaaya. Kuch Aayatein Samjhane Ki Bhi Koshish Karta Hun.
Allah Farmaata Hai Ke Tum Mujhe Yaad Karo Mein Tumhe Yaad Karunga. Ye Maamuli Baat Nahi Hai. Ye Rishta Ek Mahboob Aur Muhibb Ka Hai Jisme Mahboob Allah Hai Aur Hum Muhibb Hai. Agar Hum Apne Rab Ko Yaad Karenge Yaani Uska Zikr Karenge Tu Allah Jo Saare Jahaanon Ka Maalik Hai Wo Bhi Apne Gunaahgar Bande Ko Yaad Karega. Isse Badkhar Humaare Liye Koi Dusra Aijaz Nahi Hoga.
Aaj Saari Duniya Kamyabi Ku Talaash Kar Rahi Hai, Pane Ki Koshish Kar Rahi. To Allah Ne Kamyaabi Ka Raasta Apne Kalaam Mein Pehle Hi Irshad Farma Diya Surah Al Jummuah Mein Ki “ Aur Yaad Karo Apne Rab Ko Taaki Tum Kaamiyaab Ho Jao” Iska Yeh Matlab Nikalta Hai Ke Allah Ke Zikr Mein Hi Kamyabi Chupi Huyi Hai. Aur Kayi Muqaamat Par Allah Ne Zikr Ka Hukm Diya Hai.
Aaj Aqsar Logon Mein Zikr Ki Ahmiyat Na Ke Baraabar Ho Chuki Hai. In Aayaton Se Hume Ye Taalim Milti Hai Ki Jaisa Namaz Farz Hai Ussi Tarah Zikr Bhi Har Musalman Mard Aur Aurat Par Farz Hai.
Firaun Jo Bada Zaalim Baadsha Tha, Usne Khuda Hone Ka Daawa Kiya. Is Par Mein Baat Karta Chalun Ki Koi Bhi Insaan Khuda Hone Ka Dawah Achaanak Se Nahi Karta. Ye Tab Hi Munkin Hai Jab Uske Dil Mein Anaa (Pride) Ka Jo Beenj Tha Wo Jaake Bada Darakht Ki Shakal Le. Firaun Mein Itni Anaa Aagayi Thi Ki Wo Apne Aap Ko Khuda Bol Baitha. Qayamat Ke Din Allah Ka Azaab Uspar Bohot Sakht Hoga. Waise Hi Shaitaan Bhi Ibaadatgaar Tha, Allah Ka Farmabardar Tha, Saare Farishton Ka Sardar Tha. Jab Allah Ne Hukm Kiya Ke Adam (A.S) Ko Sajda Karo To Uska Anaa Beech Mein Aagaya Aur Allah Ki Na Farmaani Ki Jisse Wo Qayamat Tak Ke Liye Mardood Hogaya.
In Do Waqiyon Ka Mafhoom Ye Hai Ke Agar Koi Insaan Anaa Ke Shaitaan Ko Palta Hai To Woh Duniya O Aakhirat Mein Halaakh Hojata Hai. Aur Aqsar Anaa Shirk Ke Taraf Ghaseet Le Jaati Hai Aur Allah Ke Paas Mushrik Ki Baqshish Nahi Hai.
Apne Anaa Ko Khatam Karne Ke Liye Mahdi(A.S) “Illalah Tu Hai La Ilaha Hu Nahai” Ki Taalim Di Jisme Banda Kahta Hai Ke Allah Sirf Tu Hi Tu Hai Yahan Tak Ke Main Bhi Nahi Hun, Sirf Teri Hi Zaath Hi Baaqi Hai. Is Taalim Mein Apne Wajood (Existence) Ko Hi Khatam Karna Hai Aur Allah Ko Basaana Hai. Jab Wajood Hi Na Raha To Anaa Kahan Se Rahega. Jab Allah Dil Mein Bas Gaya To Shirk Karne Ka Sawal Hi Nahi Hota.
Zikr e dawam (Faraiz-e-Vilyat): Mahdi (a.s) ne apni qaum par 8 paher Zikr-e-dawam karne ki taakit ki hai, yaani 24 ghante zikr karna hoga. Zikr ke do kism hote hain:
- Zikr-e-khafi: Akele Mein Yaad Karna (Secret Remembrance)
- Zikr-e-lisaani: Allah Ko Zabani Yaad Karna
Mahdi (A.S) Ne Zikr E Khafi Ki Taalim Di Aur Zikr Ko Apne Saanso Mein Basaane Ki Taalim Di. Ek Cheez Kaabil E Fiqr Hai Ki, Jaisa Allah Ne Namaz, Haj,Roza Ko Farz Kiya Vaise Hi Zikr Ko Bhi Farz Kiya. Namaz Ki Adaa Na Hone Par Uski Qaza Ho Sakti, Roza Na Rakhne Par Uski Bhi Qaza Ho Sakti Hai, Haj-E-Badal Bhi Ho Sakta Hai Lekin ZIKR Ek Aisi Cheez Hai Ke Ek Baar Jab Saans Bina ALLAH Ke Zikr Se Nikal Jaati Hai To Uski Qaza Hargiz Nahi Ho Sakti Kyunki Jo Lamha Saans Nikalti Hai Woh Lamha Phir Kabhi Nahi Aane Waala Hai. Toh Zikr Ka Itna Bada Darja Hai Ke Har Haal Mein Zikr Karna Hai Kyunki Uski Qaza Hargiz Nahi Ho Sakti.
Ek Martaba Hz Bandagi Miyan Syed Mahmood (R.Z) Ne Mahdi (A.S) Se Kasab Ki Ijazat Talab Ki. To Mahdi (A.S) Ne Ijazat Dete Huye Farmaatein Hai Ki “Har Jaake Baashid Ba Yaad-E- Khuda Baashid” Jahan Kahin Bhi Raho Bas Khuda Ki Yaad Mein Raho.
Aur Ek Muqaam Par Mahdi (A.S) Ne Farmaya Ke “Dast Waqaar Dil Ba Yaad E Yaar” Ke Apne Haath Kaamo Mein Rakho Aur Apna Dil Apne Yaar Ke Paas Yaani Allah Ki Yaad me Rakho.
Naql Hai Ki Haz. Mahdi(A.S) Ne Farmaya “Momin Wo Shaqs Hai Jo Har Haalat Mein Subha Aur Shaam Allah Ta’ala Ki Tareef Mutavajje Rahe”
Mahdi(a.s) Ne farmaya “Bail(cow) Ke Sing (Horn) Pe Jitna Waqt Raaye Ka Daana Tik Sakta Hai, Agar Utna Waqt Bhi Allah Ka Zikr Dil Mein Bas Gaya Tu Tumhara Maqsad Poora Hogaya.”
Pas Isse Maalum Hota Hai Ke Thodi Der Bhi Agar Allah Ka Zikr Dil Mein Tik Gaya To Insaan Ka Maqsad E Zindagi Poora Hogaya Aur Zikr Ki Jo Khaas Ehmiyat Hai, Isse Humko Haasil Hota Hai.
Rasool(S.A.W.S) Ne Khizr(A.S) Ko Ek Amanat Saunpi Thi Jo Mahdi(A.S) Ko Pahunchani Thi.
Jab Mahdi(A.S) Ka Daur Aaya To Khizr(A.S) Ne Mahdi(A.S) Se Mulaqat Ki Aur Huzoor(S.A.W.S) Ki Amaanat Saump Di. Mahdi(A.S) Ko Amanat Mein Zikr Ka Dum Mila Tha Jo Aap(A.S) Ku Huzoor(S.A.W.S) Ne Di Thi. Khizr(A.S) Israr Karne Par Unko Bhi Zikr Ka Dum Mila.
Ghaur Karne Ki Baat Yeh Hai Ki Zikr Itna Aaliyat Ka Darja Rakhta Hai Ke Zikr Ka Dum Amanat Ban Gayi Aur Jo Amanat Pahunchane Ka Zimma Khizr(A.S) Ka Tha Unko Bhi Ye Ilm Nahi Tha Ke Ye Amanat Mein Kya Hai.
Allah Tala Apne Kalam Mein Irshad Farmaata Hai Ke ‘Khade Huye, Baithe Huye Aur Lete Huye Apne Rab Ko Yaad Karo’. Hum Apne Roz Marrah Zindagi Mein In Teen Cheezon Ke Alwa Koi Chauthi Cheez Amal Mein Nahi Laasakte Kyunki Khade Huye, Baithe Huye Aur Lete Huye Se Hal Ke Koi Chauthi Cheez Hi Nahi Hai.
Isliye Mahdi (A.S) Ne Zikr-E-Dawam Ki Taalim Di Yaani Har Halat Mein Humko Apne Rab Ka Zikr Karna Hai.
Zikr-e-Dawam Ke Alawa Mehdavion Mein Du Khaas Waqt Hai Jisme Zikr Karna Farz Hai.
- Sultan-ul-Lail Yane Fajr Se Leke Tulu-E-Aaftaab Tak
- Sultan-ul-Nahar Yane Asr Se Leke Mughrib Tak
Tareeqa: Zikr Mein Baithne Se Pehle Apne Murshid Ka Silsila Padha Jaata Hai Jisme Buzurgaan-e-Deen Ka Wasta Diya Jaata Hai. Uske Baad Dono Aankh Band Karke Apne Zaath Ko Khatam Karkar Murshid Ko Basaane Ki Koshish Karte Hain Yaani Apne Murshid Ka Mushaida Karne Ki Koshish Karte Hai.
- Saans Lete Waqt “Illalah Tu Hai” Aur
- Chodte Waqt “La Ilaha Hun Nai”.
Baaz Murshideen Ke Paas Ulta Hota Hai Par Mere Murshid Ne Mujhe Yeh Taalim Di.
ZIKR Ke Taaluq Se Chand Hadeeson Ku Pesh Karta Hun:
- Hz Abu Huraira (R.Z) Se Rivayat Hai Ke Aasman Par Ahle Zikr Ke Gharon Ko Aisa Raushan Dekhte Hai Jaise Zameen Wale Sitaaron Ko Raushan Dekhte Hai. [Ibn Hibban J:4, H:668]
- Hz. Abdullah Bin Abbas (R.Z) Se Rivayath Hai Ke Huzoor Nabi (S.A.W.S) Na Farmaya Allah Ka Zikr Is Qadar Karo Ke Munafiq Tumhe Rihaakaari Kahe.[Tibrani,J:12,H:12786]
- Aur Ek Hadees Mein Aaya Hai Ke Jo Shaqs Fajr Ki Namaz Ba Jamaat Ada Kare Aur Suraj Tulu Hone Tak Allah Ki Yaad Mein Baithe Aur Do Rakat Ya Chaar Rakat Ishraq Padhe To Us Shaqs Ko Ek Haj Aur Ek Umra Ka Sawaab Aur Saare Gunah Ko Baqshdiye Jaainge. [Chirag E Deene Nabavi]
Humko In Hadeeson Se Ye Paigam Milta Hai Ki Zikr Ko Hume Kisi Bhi Haal Mein Zindagi Mein Apnana Hai, Har Kaam Mein Apnana Hai. Agar Tum Mein Se Koi Zakir Hai Yaani Zikr Karne Wala hai Tu Wo Kaabil-e-Mubarakbaad Hai Kyunke Allah Bhi Tumhe Tanhaayi Mein Yaad Kar Raha Hai. Tanhaayi Mein Yaad Karna Sirf Ek Mahboob Aur Muhibb Ka Rishta Ho Sakta Hai.
Zikr Ki Ibteda Murshid Ke Mushaide Se Hoti Hai Aur Inteha Allah Ke Deedar Par Hoti Hai. Har Amal Ka Ajr Hota Hai Aur Zikr Ka Ajr Deedar-e-Khudawandi Hai. Pas Apne Murda Dilon Ko Zinda Karne Ke Liye Zikr Kasrath Ke Saath Karna Chahiye.
Allah Se Dua Hai Ke Ya Allah Mein Ne Jo Kuch Bhi Qalamband Karne Ki Koshish Ki Hai Us Mein Koi Galti Ho Tu Maaf Farma Aur Amal Karne Ki Aur Tere Zikr Ko Apne Saanson Mein Basaane Ki Tawfeeq Ata Farma Aur Khatimain (A.S) Ke Sadqe Se Aur Tere Khaas Fazal Se Tera Khaas Deedar Ata Farma. Aameen, Summa Aameen.
About the writer and write-up / Essay:
|
Sha Mohammad Saqlain Saheb Receiving Certificate from Janab Syed Mohammed Suhail Sahab and Janab Inayath Ulla Khan |
Janab Sha Mohammad Saqlain Saheb S/o Janab Sha Abdul Kareem Saheb is a resident of Bangalore, Karnataka State. He is a Mureed of Mureed of Hazrath Peer O Murshid Syed Valiullah Ibrahimi, Damat-Barkatahum, Channapatna. He is currently Pursuing CA [Chartered Accountancy] from J.K Shah Classes after completing B.Com from Seshadripuram Degree College, Bengalore, Karnataka. This Essay is a part of the International Essay Writing Competition conducted by Mehdavia Times & IGM during the last year Ramazan i.e; Ramazan of 1441 hijri / 2020 taking the opportunity of the Pandemic Lock-down. Mr. Sha Mohammed Saqlain had secured the Third Price in this Competition in the in Junior Roman Urdu Category. We Wish All the Best for all his future endeavors. May Allah Bless him with success in both the worlds. Aameen.
Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups / Articles / Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com
Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, please ignore any typos or concepts which you may find in her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com
سبحان اللّٰہ
ReplyDeleteBahut khoob...
Assalam walakum....mashallah...heart touching eassy
ReplyDelete