Mere Maalik ALLAH, 70(Sattar)
Maaon Ka Ka Dil Rakhane Wala Hai, Mere Arzoo Hai Ke Allah Ka Deedar Ho, Usse
Mulaqaat Ki Ek Tamanna Har Musalman Ko Hoti Hai.
Hazarat Mehdi Alaihis Salam Ne Farmaya Khuda Ko Sar Ke Ankhon Se Dekhna Hai, Aur Dekhna Chahiye. Aur Hukum Kiya Ke Har Ek Mard Aur Aurat Per Khuda Ke Didar Ki Talab Rakhana FARZ Hai. Jab Tak Sar Ki Ankhon Se Ya Dil Ki Ankho Se Ya Khwab Me Khuda Ko Na Dekhe Ya Iski Talab Na Rakhe Wo Momin Na Hoga. Magar Sachhi Chahat Rakhanewala Apne Dil Ke Tawajjako Mawla Ki Taraf Kar Deta Hai Aur Hamesha Khuda Ki Yaad Me Mashgul Rehta Hai. Aur Dhuniya Aur Logon Se Kinarakar Ikhtiyar Karta Hai Aur Apne Se Behtar Hone Ki Himmat Rakhta Hai.
Farayaz Vilayat Se Talab Didar-e-Khuda Bhi
Ahamtareen FARZ Hai. Didar-e-Bari-e-Tala
Ke Bare Me Bahas Hazarat Moosa Alaihiss Salam Ke Vakhiye Me Aur “La Tadrakal
Absar” Ke Niche Tafseel Ki Hai Vahan Dekha Ja Sakta Hai. Akalan Ye Kaha Ja
Sakta Hai Ke Insan Ki Ye Aadat Hai Ke Jab Bhi
Kisi Cheez Ko Dekhata Hai Aur Vaha Cheez Isko Pasand Aati Hai To Dekhane
Ke Baad Khamosh Nahi Rahata Balki Iske Bananewale Ko Puchata Hai, Ye Cheez Kaha
Ki Hai, Konse Company Ki Hai Vagaira Vagaira Isi Taraha Jab Koye Insaan Mushayaron
Me Shamil / Sharik Hota Hai To Shayaron Se Ashar Sunate Hai Halanki Shayar Ka Talluk
Samat (Sunanese) Hota Hai Fir Bhi Sher Sunkar Khamosh Nahi Rahata Balke Shayar
Ko Dekhneka Talab Isme Paida Hota Hai, Wo Kisi Bhi Halat Me Is Shayar Ki Ek
Jhalak Hi Dekhana Chahata Hai, Ye Insan
Ki Fitrat (Aadat) Hai. Ye Baat Pakki Hai Ke Insan Apni Fitrat Se Dushmani Nahi
Kar Sakta Ab Sawal Ye Hai Ke Jab Ek Insan Ki Banaye Huwi Ek Cheez Ko Dekhane Ke
Baad Isake Bananewale Ko Dekhane Ki Khwayesh Paida Hoti Hai Tu ALLAH Ke Is
Bhari Kainaat Me Alag Alag Qism Ke Cheezon Ko Dekhane Ke Baad Insan Ke Dil Me
Ye Jazba Nahi Ubhartha? Ke Jisne In Tamam Cheezaon Ko Banaya Hai Wo Kaisa Hoga?
Kya Ek Insan Lekhak Ya Shayer Ko Dekhane
Ki Tamanna Jag Utatha Hai To Bemisal Kalam Yani QUR’AN Majid Padhane Ya Sunneke
Bad Ye Khwayesh Dil Me Nahi Jagmagathi Ke Jab Ye Kalaam Itana Khubsoorat Aur Hikamatwala Hai To Isaka
Likhanewala Kaisa Hoga. Kya Isko Dekhane Ka Khayal Paida Nahi Hota? Agar Hota
Nahi To Adat Ke Khilaf Hai Aur Agar Hota Hai To Yakinan Hota Hai. To Isko Hazarat
Mehadi AHS Ne Farmaya Ke Isko Dekhne Ki Talab Paida Karo Wo Dekha Ja Sakata
Hai. Han Isaki Sharth Hai Ke Amal Saleha
(Tarke Dhuniya) Kare Aur Is Mabood Barhaq Ki Ibadat Me Kisi Ko Sharik Na Kare.
Hazarat Shaikh Mustafha Gujarati RH Se Akber-E-Azam
Ke Darbar Me Ulooma Ke Jo Munajare Huwe In Munajaroan Me Se Ek Majalis Me
Ulooma Ne Hazarat Se “Rawiyat-E-Bari” (Khuda Ko Dekhane) Ke Bare Me Guftagu Ki.
Hazarat Ne QUAR’AN Aur Ahadis Se Sabot Pesh Farmaya Lekin Uloomane Manne Se
Inakar Kar Diya Aur Alag Qism Ke Na Hasil Honewale Bayanat Ka Sahara Liya To Hazarat
Ne Akber Se Kaha Ke Aaj Rat In Ulooma Ki Shahi Mahel Me Hi Dawat Ka Intezam Ho
Lekin Khane Ke Baad Kise Bahane Paani
Peene Ke Liye Na Diya Jaye Aur Raat Me Sone Ka Intezam Bhi Yahin Kiya Jaye Fir
Isper Amal Huwa Ulooma Ne Shahi Khas Se Khoob Khaya Murg Pulaw Khana Khane Ke
Baad Pyas Satane Lagi, Lekin Pani Nahi Diya Gaya Aakhir Sab Paani, Paani Kehte
Huwe So Gaye. Subaha Me Uloomaon Se
Pucha Ke Bhayeon Raat Me Kis Kis Ne Kya Kya Khwab Me Dekha Ek Aleem Ne Kaha
Maine Khwab Me Dekha Mere Ghar Ke Samane Nahar Bah Rahi Hai Aur Mai Isse Paani
Pi Raha Hoon. Kisene Kaha Maine Khwab Me Dekha Ki Barish Khoob Ho Rahi Hai Aur
Mai Isme Bheeg Bhi Raha Hoon Aur Challu Bhar Pani Lekar Pee Bhi Raha Hoon, Kisine
Kuch Kaha To Kisi Ne Kuch Magar Har Ek Ke Khwab Me Har Taraha Se Paani Hi
Tha. Ye Sunkar Shaikh RH. Ne Kaha Tum
Sab Ko Sirf Ek Raat Pani Na Mila Pyas Ki Shiddat Thi Tu Sab Pani Pani Kahte Huwe
So Gaye To Sab Ko Khwab Me Paani Nazar Aya, Aur Jab ALLAH Wale Sari Raat, Sara
Din, Aur Sari Zindagi ALLAH, ALLAH Kehte Rehte Hain Tu Kya Inko Allah Nazar
Nahi Ata?. Ye Sunkar Ulooma Majboor Ho
Gaye Khulasa Ye Hai Ke TALAB Aur TADAP Zaroori Hai Fir ALLAH Per Bharosa Kiya
Jaye ALLAH Hi Murad Pure Karnewala Hai.
Lihaza Talab-E-Deedar-E-Khuda Ko Farz Tasleem Karna Hoga. Hazrat Syed Mohammed Mehdi AS Mamur Minallah Hain, Aur Kitabullah Aur Sunnate Rasulullah Ki Pairavi Taleem-E-Bilwasta Se Karte Hai. Is Lihaz Se Aap AS Jis Amar Ko Farz Karar Denge Wajibul Aetakadul Amal Hoga. Aur Isi Me Hamari Najat Hai. Bus Akhir Me Duwa Go Hoon Ke ALLAH Hum Tamam Ko Apne Deedar Se Nawaze Ameen.
No comments:
Post a Comment