Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Sunday, April 18, 2021

Life Of Mehdavi Student During Ramzan - by Tamakuwala Marufa Abdulhamid

Assalamu Alikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatahu 

Bandi Mashkoor Aur Mamnoo Hai Ke Aap Ne Hame Apne Khayalat Ko Mazmom Tehrir Ke Zariye Pesh Karne Ka  Aijaz Baksha. As a Student Aur Usse Pahle Ek Sachchi Pakki Mahedvi Hone Ke Naate, Is Mahe Mubarak Ko Kaise Guzara Jaye Aur Kaise Guzar Rahi Hu, Meri Tehrir Pesh Hai..

Ramzan Wo Muqaddas Maah Hai Jisme Allah Paak Ne Quran-e-Kareem Nazil Kiya. (1)

Maah E Ramzan Wo Hai Jisme Quran Utara Gaya.  

Rasoolullah Saw. Ne Farmaya :-Jab Ramzan Ka Mahina Aata Hai To Aasman Ke Saare Darwaze Khol Diye Jaate Hai Aur Jahunnum Ke Darwaze Bandh Kar Diye Jate Hai Aur Shaitan Ko Zanjeeron Me Jakad Diya Jata Hai”. (2)

Aur Ek Hadees Ramzan Ke T’alluq Se Yaha Pesh Karna Chahungi, Rasoolullah Saw. Ne Farmaya :- Ramzan Me Roze Ke Alawa Bhi Dusri Nekiyon Ka Sawab Asal Neki Ke 10 Guna Hota Hai.” (3)

Alhamdu Lillah Allah Paak Ne Is Maah Me Beshumar Rehmatein O Barqatein Rakhi Hai. Ham Bhi Apne Rab Ki Taraf Se Mile Is Taufe Ka Fayeda Uthaye.

Main Aap Ke Samne Ek Ahem Baat Rakhna Chahungi. Ramzan Ka Mahina Aane Se Pehle Log Jis Tarah Apne Gharon Ko Saaf Karne Ki Baat Ko Tarjih Dete Hai Bas Usi Tarah Hamein Pehle Apne Qalb Ko Paak Karna Hai. Kehne Ka Matlab Hai Ki Agar Kisi Apne Ke Liye Dil Me Gila Shikwa Bugz Keena Nafratein Bhari Ho To Use Dil Se Nikal Kar Maaf Kar Diya Jaaye Aur Dil Ko Khaalis Kar Diya Jaaye.

Khalifa-e-Suwwam Hazrat Bandagimiyaan Shah Naimat Rz. Ke Dayere Ka Ek Amal Mujhe Yaha Yaad Aa Raha Hai, Shah Naimat Rz. Ki Ye Aadat Thi Ki Har Mahine Jab Bhi Chand Nazar Aata Sab Fuqra Jama Hokar Ek Dusre Se Bagalgir Hote. Iska Maqsad Ye Tha Ki Agar Kisi Faqeer Ke Dil Me Kisi Ki Taraf Se Kuch Mail Aa Gaya Hoto Dur Ho Jaye.”  (4)

Hamare Buzurgon Ke Amal Se Sabit Hai Ki Dil Ka Wo Kaise Khyal Rakha Karte The.Khaalis Dil Ke Saath Ki Hui Ibadat Ka Maza Hi Kuch Aur Hota Hai. Jab Tak Ye Duniya Ki Mohmaaya Dil Se Na Nikal Jaye Insan Momin Banne Ke Qabil Nahi Hota.

Wajeh Hua Ki Is Maah Me Saaf Paak Dil Liye Khuda Ke Huzoor Pesh Hona Hai. Ramzan Ke Mahine Me Ek Ek Din Hatta Ke Ek Ek Pal Ki Fikr Momin Ko Honi Chahiye. Alhamdu Lillah Roza Rakhne Ki Quwwat Allah Paak Dete Hai, Iske Alawa Panj Waqta Namaz,Tarawih,Zikr E Dawwam,Dugana Tahiyatal Wuzu Aur Aisi Kayee Ibadat Ka Aehtemam Karna Hai. Insan Gunahon Ka Putla Hai, Hamari Har Saans Ke Barabar Ham Se Gunah Hote Rehte Hai, Lekin Khuda To Rehman Hai Raheem O Kareem Hai. Usne Iska Bhi Intezam Kar Ke Rakha Hai Is Mahine Me. Ramzan Ke ‘3’ Ashre Hai Inme Se Ashra E Duwwam(2) Maghfirat Ka Ashra Hai Jisme Khuda Paak Apne Ghunhgar Bandon Ki Khataon Ko Maaf Farmate Hai. To Fir Ham Kyu Piche Haten ? Kyu Ham Apni Bakhshis Na Karwaye ? Jab Ki Khuda Khud Hame Mouqa De Rahe Hai. 

Imamuna Mahedi E Moud AS. Ne Tahiyatul Wuzu Namaz Ka Amal Hame Bataya. To Is Ramzan Me Ham Bhi Is Amal Ko Ba Khuzu O Khusu Kare. Sehri Me 10 Min. Jald Uth Kar Us Waqt Bhi 2 Rakat Namaz Padh Le. Din Me Jab Jab Wuzu Kare Baad Iske Namaz Padh Le. Sab Ke Saath Narmi Se Pesh Aaye Aur Har Ghadi Yad E Ilahi Me Dil Ko Mashroof Rakhe. Mera Ek Experience Hi Samjh Lo, Ki Jab Ham Apne Dil Ko Khuda Ke Zikr Me Lagate Hai Ya Agar Iski Kosish Bhi Karte Hai To Allah Paak Maherban Hai Apne Bando Par, Wo Unka Dil Mom Ki Tarah Pighal Deta Hai. Alhamdu Lillah. 

Roza Hamko Taqwa Sikhata Hai. Rozedar Jab Roze Me Hota Hai To Uske Jism Ka Har Hissa Roze Me Hota Hai. Hamko Dil Ki Hifazat Ke Saath Har Cheez Ki Hifazat Karni Hogi Hai, Kahin Hamari Zuban Se Kisi Ki Gheebat Gaali Na Nikal Jaye,Hamari Aankhe Haram Cheez Na Dekh Le, Wagera.. Ultimately Hamein Hamari Khwahisat Ke Khilaf Kaam Karna Hota Hai. Intehayi Thirst Hone Ke Bawajood Paani Pee Nahi Sakte Na Hi Kuch Kha Sakte Hai To Ye Taqwa Nahi To Aur Kya Hai. Lekin Khuda Bhi Maherban Hai Allah Ne Ye Khushkhabri Bhi Di Hai Ki Roza Mere Liye Hai Aur Me Hi Iska Badla Dunga. (5)

Ramzan Me Shaitan Rozedar Ke Qareeb Bhi Nahi Bhatak Sakta(Jaisa Ki Aage Hadees Bayan Ki Gayi Hai) To Maloom Hua Ki Insan Ka Khula Dushman To Zanjeeron Me Bandha Pada Hai Lekin Batini Dushman Jo Ki Hamara NAFS Hai Wo Abhi Bhi Raste Ka Kaanta Hai. Is Nafs Ko Shikast Dena Hame Ramzan Sikhata Hai.

Main Ne Apne References Me Se Jo Seekha Usme Se Ek Waliallah Ka Qoul Yaha Pesh Karungi, Hazrat Junaid Baghdadi Rh. Ka Qoul Hai, “ Shaitani Waswase Se Nafs Ke Waswase Isliye Shadeed Tareen Hai Kyu Ki Shaitani Waswase To LA HAULA Se Dur Ho Jate Hai Lekin Nafs Ke Waswase Ko Dur Karna Bahot Duswar Hai.” (6) 

Maloom Ye Hua Ki Jitna Aasan Hame Lagta Hai Utna Hai Nahi Is Nafs Ko Harana Ya Is Se Ladna. Tazkiratulawliya Ke Mtalie Me Ye Baat Main Ne Padhi Hai Ki Hazrat Bayazeed Bastami Rh. Khud Farmate Hai Ki 'Is Nafs Ko Mita Dene Ke Liye Mujhe 12 Saal Lage.' (7) Yaani Bayazeed Rh. Ne Khudi Ko Mita Ke Zaat E Khuda Me Is Qadar Wasil Ho Gaye Ki Unme To Khwahisat Ka Tinka Bhi Baaki Na Raha. Subhan Allah. Aur Aaj Bade Waliyon Me Unka Shumar Hota Hai Aur Kyu Na Ho Itni Mashakkaton Se Unhone Apne Parwardigar Ko Paya Hoga.

Kehna Ka Maqsood Hai Ki Wali Allah Ne Kis Tarah Apne Nafs Se Nazat Payi. ISHQ-e-KHUDA Aur KHOUF-e-KHUDA Ye Do Hamre Hathiyar Hai Hamre Is Nafs Ki Ladayi Me. Insha Allah Allah Paak Apne Deedar Ke Talib Bando Ko Kabhi Ruswa Nahi Karta. 

Insaf Nama Ki Ek Peshkash Hai Jo Mere Dil Ke Waqeyi Bahot Qareeb Hai. Aur Is Topic Se Related Hai , Main Use Yahan Pesh Karna Chahungi.

Tu Apne Nafs Par Ek Qadam Rakh Aur Dusra Dost Ke Koche Me,

Jo Ke Kuch Dekhta Hai Dost Ko Dekh Eein Waan Se Tujhe Kaam Nahi,

Tu Iske Raste Par Nahi Gaya Isliye Wo Tujhko Nazar Nahi Aaya,

Warna Koun Aisa Shakhs Hai Jo Is Darwaze Ko Mara Aur Darwaza Nahi Khula. (8)

Subhan Allah .

Allah Paak Hame Is Nafs Se Ladne Ki Taqat O Kuwwat De.Aameen.

Ek Aakhri Baat Rakhna Chahungi, Allah Paak Ne is Ba Barkat Mahine Me Hame Hazar Raaton Se Afzal Raat LAILATUL QADR Se Nawaza Hai, As A Mahedavi Is Raat Me Farz Dugana Namaz Ada Kar Ke Is Ke Har Ek Lamhe Ko Khuda Ki Yaad Me Guzare. Allah Paak Hamare Aaqa Huzoor Nabi-e-Kareem Mohammad Saw. Aur Mahedi-e-Moud AS Wa Unke Sadqe Tufail Se Hame Sachche Pakke Mahedavi Bana Kar Is Duniya Me Rakhe Aur Yahan Se Uthaye. Aur Apne Deedar O Jamal Se Sarfaraz Kare. Aameen Summa Aameen.

Bandi Mashkoor-O-Mamnoo'n Hai Mehedavia Times Team Ki, Ke Aap Ne Hamko Apne Khayalat Is Tehrir Ke Zariye Pesh Karne Ka Mouqa A'ta Kiya.

Jaisa Ki Ham Ashraful Makhluqaat Jo Ke Itself Afzal Hai Usme Se Bhi Afzal Tareen Qoum Qoum-e-Mahedavia Me Paida Kiye Gaye Bande Bandiya Hai,Wo Qoum Jo Khuda Ko Dekhte Dikhate Jeene Wali Hai, Hamari Qoum Aaliyat Wali Qoum Hai Hamara Har Amal Aaliyat Wala Hai Aur Aaj Bandi Ko Mouqa Mila Hai To Ek Mahedavi Ko Ramadan-ul-Mubarak Ko Kis Tarah Guzarna Aur Khud Me Effective Changes La Kar Allah Ke Huzur Sidqe Dil Se Pesh Hokar Is Azeem Ba-Barkat Mahine Ka Fayeda Kaise Uthaye Is Mazmoon Par Tehrir Pesh Karne ka sharf hasil huva, Allah tala ka Shukr Bajalatihoon.

Isi Ke Saath Me Apni Baat Ko Yaha Khatam Karti Hu, Allah Paak Kehne Sun Ne Se Ziyada Amal Karne Ki Taufiq A’ta Kare.

Wa Aakhiri Dawana Anilhamdulillahi Rabbul Aalameen

References :-

  • (1) Surah Al Baqra 185
  • (2) Sahih Bukhari 1899
  • (3) Sahih Bukhari 1894
  • (4) Farooq E Vilayat Page,26
  • (5)  Sahih Bukhari 1894
  • (6) Tazkiratul Awliya, Page, 220
  • (7) Tazkiratul Awliya, Page, 97
  • (8) Insaf Nama, Hz. Bandagimiyaan Wali Bin Yusuf Rz., Page, 29
About the writer and write-up/Essay: 
Abdulhamid Hasan Bhai Tamakuwala receiving 
Certificate on behalf of his daughter
Tamakuwala Marufa Abdulhamid
D/o 
Abdulhamid Hasan Bhai Tamakuwala a resident of Dabhoi, Baroda District, Gujarat. She is a Mureed of Hazrat Sayyad Aaftab Aalam Miyaan Saheb Ahele Dabhoi. She is currently a Final Year Student of B.Sc  in The Maharaja Sayajirao University of Baroda. This Essay is a part of the International Essay Writing Competition conducted by MehdaviaTimes-IGM during the last year Ramazan i.e; Ramazan of 1441 hijri / 2020 taking the opportunity of the Pandemic Lockdown. Ms.Marufa had secured the First Price in this Competition in the in Junior Roman English Category. We Wish All the Best for her future endevors, May Allah Bless her with success in both the worlds. Aameen.

Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com.


Disclaimer:
 The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. 
Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com

8 comments:

  1. Ma Sha Allah bahut hi achcha hai mazmoon waaqui ham sab k liye khabil e ghaur aur fikr ki baat hai Allah swt ham san ko Rasool Mahdi ki taalimat par mukammil amal karne ki taufeeq ata kare Aameen

    ReplyDelete
  2. Ma Sha Allah bahut hi achcha hai sab ko Amal . karne ki taufeeq de Allah swt Aameen

    ReplyDelete
  3. MASHALLAH, bhai is Mubarak mahine me apne khush kr diya apne thanks plz agr Noor e vilayat ka b kam hojaye to Banda apka mashkur rahega

    ReplyDelete
  4. Masha Allah subhan Allah MERI behen

    ReplyDelete
  5. Masha Allah subhan Allah MERI behen bohot khoob keep going may Allah bless you with devine Alqalam

    ReplyDelete
  6. Masha Allah subhan Allah MERI behen bohot khoob keep going may Allah bless you with devine Alqalam

    ReplyDelete
  7. Masha Allah subhan Allah meri Behen keep going

    ReplyDelete
  8. Means a lot Hazrat !! 😊❤️❤️
    Qadam bos 🙇‍♀️💐

    ReplyDelete