Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Monday, July 24, 2023

Ek Rozah Deeni Tarbiyati Programme - Deeni Tarbiyati K Baghair Deen Ko Samjhna Mumkin Nahi - Dr.Syed Sadullah Hadi Khundmiri

Chanpatana 24 July 2023 / 5 Muharram 1445 H:
 Hadi Miyan Foundation Channapatna Ke Zere Ihtemam, Itwaar (Sunday) 23rd July 2023 / 4 Muharram 1445 H Ke Din Ek Roza Deeni Tarbiyati Programme Ba Maqhaam Samad Function Hall, Channapatna Mei Munakkad HKiye..Jiski Sadaarath Aur Sarparasthi Janab Dr.Syed Sadullah Hadi Khundmiri Saheb Ne Ki.

Is Ek Roza Deeni Tarbiyati Programme Mei Pehli Nishisth Suboh 11 Baje Se 1 Baje (11am-1pm) Ghusl, Wazu Aur Tayammum Ka Tareekha Bataya Gaya. Sadar-e-Jalsa Ne Apne Khitaab Mei Bataya Ki Sab Se Pehle Hum Apne Deen Ki Bunyadi Baton Ko Samajhne Aur Seekhne Ki Koshish Karen, Seekhne Ke Liye Sharmaane Aur Jheejakne Ki Zaroorat H Nahi Hai.

Dopahar 1 Baje Se 3 Baje Tak Zohar Ki Namaaz Aur Khane Ka Waqfa Thaa, Dusri Nishisth 3 Baje Se 5 Baje  (3pm to 5pm) Tak Chali. Dr Hadi Sahab Ne Dusri Nishisth Mei "Islam Aur Mehdaviath" Ke Unwan Par Bayan Kiye. Islam Humse Kya Takhaaza Karta Hai Aur Mehdaviath Par Humko Kis Tarah Chalna Chahiye.. Isi Dauraan Sawaal Jawab Ki Nishisth Rahi.

Sham Ke 5 Baje Se 5:30 Tak Asar Ki Namaz Aur Chai Ka Waqfa Raha. Teesri Nishisth Sham 5:45 Se 6:45 Tak Surah Kausar Ki Tafseer Ko Dr.Hadi Sahab Ne Pesh Kiya. Maqhrib Ki Namaz K Baad Taasurath Ek Rozah Deeni Tarbiyati Programme Ke Taluqh Se Taasurath Samain Aur Saamiyath Ki Taraf Se Pesh Kiye Gaye. Is Moukhe Par Channapatna, Mandya, Bannur, Kirgawal, Mysore Aur Bangalore Se Kaseer Te'daath Mei Mard Wo Khawateen Shareikh Rahe. Shukrya Aur Tasbeeh Ke Baad Programme Ikhtetaam Par Pahuncha.