Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Wednesday, December 22, 2021

Jashn-e-Meelad-e-Mehdi Maud AHS in Farha Masjid, Ahmednagar, Nayandhalli Bangalore on 25 Dec 2021

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
PART I
PART II
PART III
 

  Muslim Mehdavia Farah Masjid, Nayandhalli, Bangalore
ke ze-e-Ihtemaam
'Jashn-e-Meelad-e-Mehdi Mau'd ahs'
ba maqaam:
 Muslim Mehdavia Farah Masjid, 
Ahmednagar Nayandhalli, Bangalore.

Baroz-e-Hafta 20 Jamadil Awwal 1443 H / 25 Dec 2021 AD

Zer-e-Sadarath
Hz. Peer-o-Murshid, Maulana Maulvi, Alhaj, Syed Abdul Hai Saheb Ibrahimi, 
(damat barkatahum)

___________________________________________________________________________________
Dastoor-e-Amal
Majlis Awwal: 
Shab 9:30 baje - Raat 1:00 baje tak

Qirat: 
Hafiz-e-Quran Faqeer Mohammed Qizar Saheb

Naat-e-Rasool sas: 
Syed Mohammed  Mannan

Naat-e-Mehdi ahs: 
Syed Faizullah Ibrahimi & Syed Mohammed Azhan

Isteqbaal:
Janab Sharfuddin Syed Sahab Ashrafi, Sadar, Farah Masjid, Bangalore

Taqreer:
  • Hafiz Faqeer Mohammed Qizar Saheb, Qateeb-o-Imam, Muslim Mehdavia Farah Masjid, Bangalore
  • Maulana Maulvi Mashayaq  Syed Meeran Ashrafi Baba Saheb
  • Hz. Peer-o-Murshid Maulana Maulvi Alhaj Syed Waliullah Ibrahimi Saheb
  • Qutba-e-Sadaarat
Is Jalsa ka [LIVE] telecast  Mehdavia Times Youtube Channel pa kiya jayega.
is jalse me online shirkat karne ke liye is link par click kijiye.

Majlis-e-Duwwam
Shabbedaari (Zikrullah)
  • Nishist Awwal:      1:30 am to 2:40 am
  • Nishist Duwwam: 2:40 am to 3:50 am
  • Nishist Suwwam:  3:50 am to 5:00 am (is  Nishisth me zikrullah ke baad namaz e tahjud ada kijayegi)
Note: Aap jis murshid se baiyat huve hain unse zikrullah aur tahjud ki ijaazat le ayen.

Mazeed Jankari ke liye janab Shah Nizam saheb @ 98451 75703 Secretary Farah Masjid , Bangalore.

Al Multasimeen:
Sadr, Secretary wo Arakeen.
Muslim Mehdavia Farah Masjid-o-Madradsa Charitable Trust, 
Ahmednagar, Nayandhalli, Bangalore
___________________________________________________________________________________

Tuesday, December 21, 2021

Meelad-e-Khatimain AHS Celebrated in Bangalore with a difference at NIMHANS Hospital on 19th Dec 2021 by Mehdavia Times Welfare Trust ®

 Bangalore - 19 Dec 2021: Alhamdulillah, Mehdavia Times Welfare Trust ® Celebrated Meelad-e-Khatimain AHS on Sunday, 14th Jamad-il-Awwal 1443 H / 19th Dec 2021 at NIMHANS Hospital, Bangalore with a difference in Collaboration with Roti Charitable Trust, Bangalore.

Keeping our core principle of serving through collaboration this time we collaborated with yet another organization called Roti Charity Trust’. It is Bengalore based organization lead by our Brother Syed Gulab saheb, who was introduced to us by Brother Suhail Nizami during the NGOs Conference organised by Ashiyana Foundation recently in Bangalore. They are on the mission to tackle the problem of hunger by feeding the needy and underprivileged.  Inspired by this story, we visited their office last week to see their work in detail and decided that we must also join hands with them. 

Taking the opportunity of Meelad-e-Mehdi AHS, Mehdavia Times welfare Trust® collaborated with Roti Charity Trust’ to Celebrate Meelad-e-Khatimain AHS – on the Eve of Meeld-e-Mehdi AHS on Sunday, 14th Jamad-il-Awwal 1443 H / 19th Dec 2021 at NIMHANS Hospital, Bangalore with a new opportunity by distributing hot lunch and sweets to about 300 needy and poor attenders of patients who come to the city from far places, towns and villages for treatments at NIMHANS hospital & Indira Gandhi Hospital. 

Hz. Moulana Maulvi Syed Mubarak Ishaqui Miyan, Mandya appreciated this move and said ‘such programs should be done regularly and our youth should come forward to showcase the best aqlaq and teachings of Khatimain AHS’. Expressing his happiness, he conveyed his best wishes of Meelad-e-Mehdi AHS to all the followers of Hz. Syed Mohammed Juanpuri Mehdi-e-Maud AHS

Janab Inayath Ulla Khan (founder Mehdavia Times Welfare Trust ®) expressed his happiness by saying ‘Alhamdulillah it is very satisfying to distribute the food packets to the people who are away from their homes and taking care of their patients at these hospitals’. He also thanked brother Sadath Ali Khan sahib, who actively participated in a very short notice and brought lots of sweets too, and Brother Tausif D Sayyed saheb for joining hands in this special program. He also thanked his son master Hasnain Ulla Khan who not only contributed from his savings box but also joined in distributing food packets. Team Mehdavia Times Collectively thanked Brother Syed Gulab saheb, for collaborating with us to celebrate Meelad-e-Khatimain AHS in a different way.

Further he said, ‘Alhamdulillah, collaborating with various organizations has always yielded us great outcomes and have induced greater value additions. Historically we at Mehdavia Times always lookout for joining hands with community service providers and enablers at grassroots level in order to create synergy between various organisations of our community FeeSabilillah’

Alhamdulillah, we have also collaborated with Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia, Chanpatan, Karnataka, Mehdavia Jamat – Palacode, Tamil Nadu and Millat-e-Mehdavia (Youths Group) of Dargha Diara – Ahmednagar, Maharashtra in celebrating the Meelad-e-Khatimain AHS by telecasting the Jalsa-e-Meelad-e-Mehdi AHS at Palacode (18 Dec 2021 Video) & Chanpatan (19 Dec 2021- Videos = Part-I, Part-II, Part-III)  and Two Days Deeni Malumati Competition - LIVE from Ahmednagar Program at Dargha Daira, Ahmednagar (3rd & 4th Dec 2021 - Video Day-1, Day-2 ) which Alhamdulillah attracted more than 1000 viewers from across the world.

The Meelad-e-Mehdi Celebration has just begun, Insha Allah we will be joining hands with  Muslim Mehdava Farha Masjid & Madrasa Charitable Turst ®, Ahmednagar, Nayandhalli, Bangalore  to arrange ‘Jalsa-e-Meelad-e-Mehdi AHS and Naubat’ on Saturday, 25th Dec 2021  which will be streamed [LIVE] by Mehdavia Times on its youtube channel. Details of this program will follow shortly.

Team Mehdavia Times takes this opportunity to once again wish you all Meelad-e-Mehdi AHS Mubarak.

May Allah Accept our services and reward all of us abundantly with the success in both the worlds. Aameen.


Saturday, December 18, 2021

Jalsa-e-Jashn-e-Meelad Mehdi AHS at 8:30 pm on 18 Dec 2021 [LIVE] from Palacode

 Bismillah Ir Rahman Nir Raheem

Jalsa-e-Jashn-e-Meelad Mehdi AHS

at 8:30 pm ( Baad Namaaz-e-Maghrib) 

on Saturday 13 Jamadil Awwal 1443 H / 18 Dec 2021 [LIVE] from Palacode

  • Muqaam: Hz Peer-o-Murshid Alhaj Syed Khundmeer Miya ki Masjid, Daira Mohalla Palacode-Tamil Nadu.
  • Qirat : Hz. Peer-o-Murshid Maulana Hazrath Syed Raj Mohammad Miya Tashreefullahi Qibla - Palacode
  • Nath-E-Raosul Janab Mohammed Thabraz Saheb 
  • Nath-E-Mehidi Janab Miyas(Muzamil) Saheb 
  • Taqreer & Sadarat: Hz. Mashayaq Afzal ul Ulama Alhaj Syed Ashraf Roohi Saheb Khundmiri Qibla, Ahle Chanpatna.
  • Zer-e-Ihtemam(Zohar Masjid Committee) (Hazrath Mashiaq Peer-O-Murshid Al Haj Zayer-e-Farah Mubarak) Syed Khundmir Miya Shayeb Qibla Ki Masjid. Daira Mohalaa Palacode-Tamil Nadu.

Note: Khawateen ke liye Parde ka Intezaam Hai. 

Is Jalse ku Mehdavia Times  ke youtube channel par Bara-e-Raast [LIVE] telecast kiya jayega. 

Online Shirkat karne ke liye is link par click kijiye.

https://www.youtube.com/user/Mehdaviatimes/ 

Aap Tamaam Se Iltemaas hai ke Is Ba Azmat Majlees Me Shirkat Farmayen

Jashn-e-Meelad Hz. Mohammed Mehdi Maud Alahis Salaam on 19 Dec 2021 by Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mahdavia Chanpatan - LIVE & Offline.

PART I 

PART II

PART III


Bismillah Ir Rahman Nir Raheem.

Jashn-e-Meelad Hz. Mohammed Mehdi Maud Alahis Salaam 

Baroz-e-Itwar - 14 Jamadil Awwal 1443 H / 19 Dec 2021

Baad Namaaz-e-Maghrib 6:30 pm, 

Bamaqaam - Ibrahimi Masjid, Hz. Nizam Bade Miyan Daira, B.M Street, Chanpatan.

Zere Sadarat - Hz. Peer-o-Murshid, Maulana Moulvi Alhaj Syed Jafar Ashrafi Saheb.

Is Mubarak Majlis me Murshideen wa Ulama Qaum Se Qitaab Farmayenge.

Dastoor-e-Amal:

  • Qirat - Hz. Peer-o-Murshid Maulvi Syed Husain Azghar Miyan Ishaqui Saheb, Bannur.
  • Naat-e-Rasool sas - Syed Sajjad Ulla Ashrafi Saheb
  • Naat-e-Mehdi ahs - Syed Faizullah Saheb Ibrahimi
  • Isteqbaal - Motamid-e-Ijma
  • Taqreer - Hz. Peer-o-Murshid Maulana Maulvi Alhaj Syed Meeran Mujahid Khundmiri Saheb

  • Taqreer - Hz. Peer-o-Murshid Maulana Maulvi Syed Abdul Amar Yadullahi Saheb

  • Taqreer - Hz. Peer-o-Murshid Maulana Maulvi Afzal-ul-Ulama Alhaj Syed Ashraf Roohi Kundmiri Saheb
Note: Khawateen ke liye Parde ka Intezaam Hai.

Is Jalse ku Mehdavia Times ke youtube channel par Bara-e-Raast [LIVE] telecast kiyajayega.
Online Shirkat karne ke liye is link par click kijiye.

Aap Tamaam Se Iltemaas hai ke Is Ba Azmat Majlees Me Shirkat Farmakar Andallah Majaur Wa Mashab Hon

Al Multazeem:
Sadar Faqeer Syed Jafar Ashrafi Saheb Wa Motamid - Faqeer Peer-o-Murshid Syed Waliullah Ibrahimi, wa Arakeen
Ijma-e-Murshideen-e-Ghroh-e-Mehdavia, Chanpatan.

Friday, December 17, 2021

Mehdavia Times Welfare Trust's ® Advertisement in Noor-e-Vilayath - Dec 2021 Issue (Khalifatullah Number 2021)

Mehdavia Times Welfare Trust's ® Advertisement in Noor-e-Vilayath - Dec 2021 Issue (Khalifatullah Number 2021)

 



Why a Mahdavi should not follow Non-Mahdavi's in Namaz? - an Essay by Ms. Zainab Hussain..

Why a MAHDAVI who testified (Syedna Mohammed Jaunpuri, As Mahdi Moud(AS)) should not perform Namaz in the leadership of a person who did not accept him as Mahdi-e-Maud(AS)?   

We will find the answer in the light of Al Quran, Ahadees Mohammed(PUBH) and from the instructions of Mahdi Maud(AS).

It is crystal clear that it is the responsibility of Mahdi(AS) to give the education of “Zikr Khafi” - secret remembrance of Allah SWT as per the Ayat No: 205 Sura Al ‘A’ra’af. 

وَاذْكُر رَّبَّكَ فِي نَفْسِكَ تَضَرُّعاً وَخِيفَةً وَدُونَ الْجَهْرِ مِنَ الْقَوْلِ بِالْغُدُوِّ وَالآصَالِ وَلاَ تَكُن مِّنَ الْغَافِلِينَ

Therefore, Mahdi(AS) had given the education of “Zikr Khafi” Secret remembrance of Allah SWT to his followers with the Kalima “La-Ilaha-Illallah” as per the instructions of Hazrath “Mohammed (PUBH), which was conveyed to him by Hazrath Khizer (AS), so that the followers could get enlightened themselves with the divine enlightenment either in the dream or Eyes of the Heart or Eyes of the Head.

Before going further let's first understand why Mahdi Maud(AS) has instructed his followers to do Zikrullah with kalima ‘La Ilaha Illallah’ in the light of Ahadess of Mohammed (PUBH).

There are numerous ahdees on Kalmia “La Ilaha Illallah” few of them are...

The Prophet (PUBH said: - "Whoever says there is no god but Allah enters Paradise even if he commits adultery and even if he steals (i.e. even if he commits great sins)." (Nasa'i, Tabarani and others from Abu al-Darda' - sahih)

The statement of Hazrath Mahdi (AS) "If one is busy in Zikurullah every time morning and evening, he will get the enlightenment", is true as Allah SWT says in the Quran in Surah Al Hazab 41, 42 and 43

“O Ye Who Believe! Celebrate The Praises Of Allah, And Do So Often; (41) And Glorify Him, Morning And Evening (42) He It Is Who Sends, Blessings On 'You As Do His Angels, That He May Bring You Out From The Depths Of Darkness Into Light; And He Is Full Of Mercy, To The Believers (43).”

With reference to above Ayat Mahdi (AS) has told that 24 hours Zikurullah is “Farz”. 

It is crystal clear from the above that persons, who have not accepted Hazrath Syed Mohammed Jaunpuri AS Mahdi Maud (Expected Mahdi), did not get the education of Zikr-e-Khafi what has been received by him from the Prophet (PUBH). Therefore, Non-Acceptors are the people, who are Ghafil, i.e absent minded from Zikurallah.  According to Quranic Ayat 205 of Surah “Al Araf” we cannot even be with them, the question of praying behind them does not arise.  The confirmation of the above statement can be further had from the 28th Ayat of Surah Kahaf.

In the above mentioned Ayat, Allah SWT is directing the momineen to stay with patience with the people of special group (Fukra-e-Mahdavia) who have relinquished the worldly pleasures for the sake of Allah SWT enlightenment and are busy in Zikurallah in the morning and evening for it and they should not even look away from these pious people so that they may get engulfed themselves with the worldly pleasures. 

Further We, Mehdavi's who have totally handed over themselves to the Will Of Allah should not obey (not only in Namaz / Salah but in other acts also) to such a person whose heart has been made hard to remembrance of ALLAH and one, who follows his own desires and whose case has gone beyond all bounds.  Therefore Mahdi (AS) strictly directed his followers, when they go out of Daira, at least two people should go so that they should not miss congregational prayer. 

Further Mahdi (AS) warned his followers not to perform salah behind Imam who did not accept and testify him as Promised Mahdi because Mahdi (AS) had not declared himself as Promised Mahdi but it was the Will Of Allah and after repeated instructions from Allah, that if he did not declare himself as Promised Mahdi he would be among the disobedients. Therefore if any one who denies him as Mahdi (AS), it means he is denying the Allah SWT’s instructions; can such person denying Allah’s instructions still remains an obedient Muslim? If such a Muslim becomes an Imam of congregational prayer can a true muslim obey? Certainly not, because he who denies Allah’s instructions means he is denying Allah, his Prophet (PUBH) and the Holy Quran.

The phrase in Dua-e-Qunooth, “We Cast Off And For Sake Him Who Disobey Three.....” accordingly we who have accepted and testified Mahdi (AS). Acceptance of Mahdi (AS)  is total acceptance of Allah. Therefore, under any circumstances we cannot pray in the leadership of Non-Mahdavi Imam. Mahdi (AS)  has further instructed us, in case by mistake any Mahdavi performs Salah under the leadership Non-Mahdavi Imam, then he should repeat his Salah, means earlier Salah which has been performed is null and void.

Despite these warnings if anyone is performing Salah behind an Imam who is Munker Mahdi (AS). He is doing against the instructions of Allah (Do not be among those who do not remember Allah… Do not obey them, whose heart has been made hard for Allah‘s remembrance).

Some people if they perform Salah in other Masjid thinking if they do, so they may not get the help of those people, Allah’s instructions in such a case is as under: Surah Al Imran (149-150)

“O Ye Who Believe! If Ye Obey The Unbelivers, They Will Drive You Back On Your Heels, And Ye Will Turn Back (From Faith) To Your Own Loss (149) Nay, Allah Is Your Protector, And He Is The Best Of Helpers” (150)

Generally it has been seen those who perform Salah behind the people whose heart has been made hard for Allah’s remembrance (Munkereen) they are not stubborn in their faith.

Allah swt has shown in the Quran Ayat NO: 22 and 23 of Surah Az Zumar the difference between a Zakir (he who remembers Allah) and a Ghafil (who is absent minded with Allah’s remembrances).

The above mentioned two Ayats of Sura Zumar, are enough to accept Syed Mohammed Jaunpuri As Mahdi (AS), because His main mission was to guide the people. The manner in which they should totally submit to Allah’s will quitting worldly pleasures and with secret remembrance of Allah.

Allah says when one gets trembled with the fear of Allah and their hearts get soften and turn towards Allah’s remembrance, then this is Allah’s Guidance. Mahdi (AS) has given complete education to achieve the above mentioned Allah’s Guidance then he who denies him, he is denying Allah’s Guidance.

Ayat No: 33 Surah Zumar:  “And he ( Mahdi ) who brings the Truth and he (Mahdavi) who confirm (And supports) it such are the men who do right”

Conclusion: Need of An Hour is - Avoid the company of Non-Mehdavis especially during salah time in order to not to follow them (As Mehdi AS said). 


About the Essay & the Writer:
This essay is written by Ms. Zainab Hussain d/o Janab Mohammed Hussain Khan Saheb and Mureed of Hazrath Peer-o-Murshid Syed Dilawer Maqsusi Zaman (Musheerabad), a resident of Hyderabad. Zainab Hussain is a student of  Inter Second Year (CEC Group) and she intends to pursuve higher studies and serve the community. This essay was submitted for the Second Mehdavia Times International Essay Writing Competition - Ramzaan 1442 H / 2021 And has received Certificate of Commendation in the senior English Category.  We take this opportunity to wish her all the best and pray for her success in both the worlds Aameen. 

You may see the results of the essay competition in this link  ->>>  https://mehdaviatimes.blogspot.com/2021/05/announcement-of-results-of-second.html 

Note: We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com . 

Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com

Wednesday, December 15, 2021

Ek Nishist Sehat Afzayi Ke Liye.

Logon ke Chehron par Muskurahat Dekna Achi Baat Hai, Agar Hum Is Kheemti Muskurahat Ki Wajah Hon Tu Hame Zyada Khushi Hogi. 

Alhamdulillah Facebook Par Shafiya Farhin ka Ye Post Dekkar Bahut Itminaan aur Khushi Huvi, Jo Aap Is Link Par Click Karke Ya Niche Diyegaye Screen Shot me Padsakte hain.

https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=390837519460389&id=100056024323004

Shafiya Farhin, Ek Hindi Research Fellow Hai, Aur University of Mysore Me Research Scholar Ki Haisiyat Se Apni Qidmath Anjam Derahi Hain, Sath Hi Aakhar Hindi Journal International e-Magazine Me Assistant Editor Ki Haisiyat Se Kaam Kar Rahi Hain.


Hua Hyon ke, Hum 29th Nov 2021 ko Mere Marhoom Walid Abdul Khader Khan Ki Chammai Ke Liye Mandya Gaye the. Pata Chala Ke Hamare Chacha Janab Y Shafiulla Khan Tark-e-Dunya hue hain. Darasal Unki Tabiyath Kaisaalon Se Nasaaz Bhi Thi. Jab Mulaqat Huvi Tu Dekha Ke Qo Bahut Kamzoor Hogaye Hain, Yahan Tak Ke Theek Se Ek Lafz Bhi Nahi Bol Pa Rahe The. Humne Inki Jald Se Seheteyab Hone ki Khwaish Se Inku Hasla Dene ki Koshish Ki Aur Chachi Par Ek latifa Sunaya. Allah Ka Shukr Hai Ke Chacha Ke Chehre Par Muskurahat Agayi Aur Bahut Hi Dhimi Awaz Me Ek Shayeri Sunane Ki Koshish Ki Ju Hum Samajh Nahi Sake. 

Urdu Shayeri aur Adab se Inke Lagao Ko Samajh kar, Maine Inse Kaha ke Aap Jald Sehatyaab Ho jayiye, Mai Aapki Sadarat Me 15 Dinon Me Ek Mushaira Ka Ihtemaam Karoonga. 

Alhamdulillah, Mujhe Phirse Ek Walima aur Makhtab Me Shirkat Karne Ke Liye Mandya Jane Ka Mauqa Mila aur Ittefaaq Se Mere Saath Kainat-e-Adab ke Motami Janab Suhail Nizaami aur Bangalore Ke Mashoor Naat Khwan Hafiz Syed Tabrez bhi Maujood The. Mauqe Ka Faida Uthate Huve Mera Mushaira Ka Wada Poora Karne Chacha Ke Ghar Chalegaye aur Ek Chote se Mushaira Ki Nashist Ka Ihtemaam Kiya. Ju Alhamdulillah Kamiyab Raha, Jiski Tafseel Shafiya Farhin ke Post Me Di gayi Hai, aur Inhone Is Nishist Ku Record Karke Hamare Youtube Channel Par Publish Bhi Kiya, Jise Aap Yahan Deksakte Hain.


Aap Sabse Guzarish Hai Ke Faqeer Y Shafiullah Saheb Ju Mere Chacha Hain, Inki Sehat Ke Liye Aur Mere Walid-e-Mohtaram Marhum Faqeer Abdul Khader Khan Aur Ammi Marhuma Khurshid Begum Saheba ke Haq Me Dua Karen.

Allah Aap Sabki Dua Qubool Kare. 
Aameen, Summa Aameen.

Aapka Bhai,
Inayath Ulla Khan

Tuesday, December 14, 2021

“Importance of Deen for Girls / women in the light of Faith” - an essay by Ms.Tasviyath Mehdi

Assalamu Alaykum Warahmathaullahi Wabarakatuhu...

Nahmaduhu Wanusalli Ala Rasoolihil Kareem Wal Mahdi’al Moud Alayhis-Salatu Wat- Tasleem Ammabaad Faqad Qalallahu Tabarak Wata’ala Fee Kalamihil Qadeem Wal Furqanil Azeem.

“Aouzu Billahi Minash-Shaita Nerrajeem,Bismillah Hirrahma Nirraheem”

Shuru Allah Ke Naam Se Jo 70 Maa’on Se Badh Kar Hum Se Mohobbath Karne Wala Hai,Aur Rehem Karne Wala Hai.

Reason for the topic: Ye Topic Isliye Ke Aaj Kal Studies Ke Naam Par Ladkiyan Aur Aurtein Deen Se Door Hoti Hui Chali Jaa Rahi Hain Ya Yun Kahun Ke Dono, Deen O Duniyawi Studies Ko Ek Saat Handle Nahi Kar Paa Rahi Hai To Unke Samne Zarooriyat E Deen O Usooliyat E Deen Ko Samne Rakhna Chahti Hun...

Ye Nacheez Daur E Halaat Ko Madde Nazar Rakhte Hue Iss Unwaan Ke Zariye Haqeeqat Par Se Parda Uthane Ki Khwahishmand Hai Ke ‘Ek Aurat Ke Liye Deen O Emaan Ka Dil Me Hona Aur Usooliyaat E Deen Par Chalna Kitna Zaroori Hai’ Aur ‘Aurat Ka Duniya Me Bheje Jeene Ka Asal Maqsad Kya Hai? Iss Par Zor Dekar Aap Tamaam Ko Haqeeqat Se Rubaru Karwana Chahungi, Saat Hi Saat Khuda Ka Shukr Hai Khatimain AHS O Syeddain Rz Ke Sadqe Me Aap Tamaam (Members Of Mehdavia Times ) Ke Zariye Allah Ne Ye Mouqa Inayat Farmaya Hai Aur Allah Aap Sab Ko Jazaye Khair Ata Kare.. Aameen.

Sabse Pehle Mai Aap Tamaam Ke Saamne Daur E Halaat Ko Rakhna Chahungi Ke Aaj Kal Cent % Ladkiyan Aur Aurtein Ye Kehti Hain Ki “Education Is Everything” Kehti  To Sahi Hain Magar Unka Matlab Ye Hota Hai Ki Ladki/Aurat Ke Liye Education Jo (Duniyawi Ilm) Hai Wo Bohot Zaroori Hai. Aur Ma Sha Allah Aaj Kal Bacchiyan Studies Me Unche Unche Moqaam Hasil Kar Rahi Hain, Lekin Education Degree Hasil Karlena, Job Par Chale Jane Ka Naam Nahi Balke Rishte Sambhalne Ka Naam Hai. Sabse Pehle To “Khuda Se Bande Ka Rishta” Phir Chalkar “Momin Ka Rishta” Phir “Khaas Ghour Karein To Ek Sacche Mehdavi Hone Ka” Aur Baaqi “Insaniyat Ka ” “Khooni Aur Jazbati Rishte” Waghaira Waghaira.

Kehne Ka Moqsad Ye Hai Ki Zamana Jo Samajhta Hai, Ki Ye Sahi Hai, Haqeeqatan Wo Sahi Nahi Hota.

Mai Apne Unwaan Pe Aana Chahungi Ki, Jo Importance Ladkiyan/Aurtein Duniyawi Talimaat Ko Deti Hain, Haqeeqat Me ‘Wo Ek Na Ek Din Bekaar Hi Jayegi’ Matlab Ye Ki ‘Duniya Ki Talimaat Duniya Ka Ilm Sirf Duniya Tak Hi Mehdood Hai’ Magar Kya Koi Ye Jaan Paya Hai Ki Ek Ladki/Aurat Ka Duniya Me Bheje Jane Ka Maqsad Kya Hai? Agar Jaan Bhi Gaye Hain To Kya Sachme! Kya Waqai Hum Uspar Kaam Bhi Kar Rahe Hain? Ya Side Me Rakkhe Hue Hain Ki Baadme Dekhlenge?

Mai Ek Hi Baat Pe Baar Baar Zor De Rahi Hun Ki Duniyawi Talimaat Itni Zaroori Nahi Ki Apni Poori Zindagi Ko Hum Usi Me Lagadein.

Han Mahol Aur Zamane Ke Aitebaar Se Ye Talim Bhi Zaroori Hai Lekin Iss Had Tak Ke Hum Apne Bacchon Ko Thoda Bohot Basics Sikha Sakein,Aur Zaroorat Ke Aitebaar Se General Maloomaat Hosake, Ye Baat Aur Hai Ki Ladki Ka Ya Aurat Ka Job Pe Jana Majboori Hai,Magar Saat Hi Saat Deen Bhi Zaroori Hai. Studies Kisi Ki Khwahish Bhi Hosakti Hai Kisi Ka Passion Bhi Magar Aisa Nahi Ke Deen Ko Chod Kar  Usi Me Lag Jayein, Dono Cheezein Barabar Kar Rahe Hain To Baat Aur Hai,Aur Qabile Qubool Hai. Baqi Mera Aqeeda Aur Mera Yahi Kehna Hai Ki Duniyawi Talimaat Ko Zyada Tarjeeh Dena Aisa Hai Jaise Ke Heeron Ke Samne Hi Hote Hue, Kisi Khali Dibbe (Box) Ko Tatolna, Ki Usme Kya Hosakta Hai?

Isi Tarha Agar Ladki/Aurat Samajh Sake To Apne Jeene Ka Asal Maqsad Hi Khuda Ko Paa Lena Hai Jabke Raasta Samne Moujood Hai,Magar Afsos Ki Ye Apne Aap Me Duniya Tatolne Me Lagi Hui Hai.

Ek Aurat Ka Education Ye Hai Ke Wo Apne Ghar Ko,Rishton Ko,Apne Farayez Ko Deendaari Aur Emaandaari Se Sambhal Sake.

Aap Tamaam Ghour Karenge To Aap Hi Dekhenge  Ki Ek Aurat/Ladki Ka Job Karna,Bacchon Ko Sambhalna, Shouhar Ki- Walidain Ki Khidmath Karna,Sabse Pehle Khuda Se Sahi Rishta Nibhana Ye Sab Ek Saat Theek Se Ho Payega? Koi Ek Kaam Bhi Sukoon O Itminaan Se Nahi Ho Paata. 

Jab Ek Ladki/Aurat Ghar Sambhalna Shuru Kardeti Hai To Wohi Uski Asal Zindagi Hai. Mai Aapke Saamne Wo Haqeeqat Rakhna Chahungi Jo Hamari Zindagi Ka Asal Moqsad Hai Aur Jo Humko Doqtar E Rasoolullah Sas,Khatoon E Jannat Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz Ne Sikhayi Hai Aur Farmaya Ke,

“Jo Shaks Aale Mohommed (SAS) Ki Mohobbath Me Mara Wo Shaheed Mara, Aye Logon! Khuda Ka Khouf Dil Me Rakkho Aur Apne Har Amal Ki Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Qaraar Do. Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai. Khuda Ke Azeem Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Shukr Ada Karna Zaroori Hai”. 

Subhan Allah, Subhan Allah. Kya Taleem Dii Hai Bibi Ne, Zindagi Ke Asal Maqsad Ko Hamare Saamne Zahir Kardiya, Ke Hamara Jeena Aur Hamara Marna Dono Mohommed (Sas) Aur Aale Mohommed (Sas) Se Mohobbath Karte Hue Hona Chahiye. Kya Moqaam Hai, Hamari Mout Ka!! Jab Wo Aale Mohommed Ki Mohobbath Me Marein To Shaheed Ka Martaba Hasil Hai!.

Subhan Allah.... To Saaf Baat Hai Ki Kya Hum Use Chodkar Duniya Ki Moh Maya Me Mashghool Hain?

Aur Bibi Ka Farmaan Hai Ki “Apne Dil Me Khuda Ka Khouf Rakkho Aur Apne Har Amal Ki Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Rakkho” To Humko Khud Apni Apni Zindagi Par Ghour O Fikr Karne Ki Zaroorat Hai,Ki Kya Hum Taqwa Sha’aar Hain? Kya Hum Me Parhezgaari Hai? Aur Sachme Hum Khuda Ke Har Hukm Ke Mutabiq Kaam Kar Rahe Hain? Aur “Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai”.

Iss Baat Par Bohot Zyada Tawajjo Ki Talib Hun Ke “Kya Duniyawi Degree Hasil Karna Hi Duniya Se Munh Modna Hai?”Jo Ke Hum Kar Rahe Hain!

Har Koi Marne Se Darta Hai Aur Kehta Hai Ki Mujhe Aur Kamana Hai.. Aur Padhna Hai.. Aur Jeena Hai..Ye Haasil Karna Hai Wo Karna Hai Waghaira Waghaira.. “Kyun Koi Ye Nahi Soch Rahe Ki Hashr Me Mujhe Khuda Ke Huzoor Pesh Kiya Jayega, Mujhe Apne Amaal Ke Liye Pucha Jayega,Mai Kya Muh Dikhaoungi Ya Dikhaounga Khuda Ke Huzoor!?

Kya Ye Duniyawi Degree Kaam Aayegi Wahan? Jiske Liye Hum Khuda Se Dii Gayi Mohlat Ko Isko Paane Liye Bazl (Kharch/Spending) Kar Rahe Hain?, Jabke Ye Mohlat Aakhirat Ki Taiyyari K Liye Hai.

Mera Kehne Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Duniyawi Talimaat Se Zyada Badhkar Hii Usooliyat E Deen Hai. Iss Par Amal Karne Se Hi Aakhirat Me Humko Najaat Milskati Hai.Ladki/Aurat Ke Dil Me Deen Ke, Emaan Ke Hone Se Kya Hota Hai Mai Aapko Nabuwwat Se Lekar Aaj Ke Daur Tak Ki Choti Si Sair Karwati Hun, Sabse Pehle,

  1. Ibrahim AHS Ke Biwi Hz Bibi Hajran ‘Jab Ibrahim AHS Apni Aulad Ko Qurban Karne Chale The To, Bibi Ne Khushi Se Apni Aulad Ko Khuda Ki Nazar Kardena Chaha Jabke Unko Taweel Muddath Ke Baad Aulad Hui Thi.
  2. Hz Ayyub AHS Ke Bibi Rahima Ne 13 Saal Tak Beemari Me Apne Shouhar Ka Saat Nahi Choda,Jab Ke Hz Ko Sheher Se Bahar Kardiya Gaya Tha,Hatta Ke Bibi Ne Apne Adhe Baal Baech Diye, Jabke Poore Sheher Me Unn Jaise Khoobsurat Baal Kisi Ke Na The Aur Usse Apne Shouhar Ki Khidmath Ki
  3. Hz Shuaib AHS Ki Betiyon Ne Apne Walid Ke Nabi Hone Ki Gawahi Di. Jabke Poori Qoum Unke Khilaf Thi,Sirf Unki Betiyan Thi Jo Unpe Emaan Layi Aur Unka Kalma Padha.[Surah Al- Araaf]
  4. Hz Bibi Sumaiyya Jo Islam Ki Pehli Shaheed Hain Jo Hz Ammaar Bin Yasir Ki Maa Thi, Jinhone Sabse Pehle Khuda Ki Rah Me Shahadath Di Aur Ye Paigham Diya Ke Shahadath Se Hi Qoum Zinda Rehti Hai,Islam Zinda Rehta Hai.
  5. Hz Bibi Mariyam Jo Hz Esa AHS Ki Maa Thi, Jinki Gawahi Aur Unki Paak Daamani Ka Saboot Khud 4 Din Ke Chote Bacche Ne Diya. Ke Mai Allah Ka Nabi Hun..[Surah Maryam].
  6. Bibi Asiya Firaoun Ki Biwi Jinhone Hz Moosa AHS Ki Parwarish Ki Aur Apne Emaan Pe Marte Dam Tak Baqi Rahi, Hatta Ke Firaoun Ne Unke Haat-Pairon Me Keelein Thok Dein.Magar Bibi Ne Khuda Ki Wehdaniyat Ka Inkaar Na Kiya [ Surah Taha]
  7. Hz Ummul Momineen Bibi Khatijatul Kubra Rz :“Jab Rasoolullah SAS Par Pehli Martaba Wahi Nazil Hui To Aap Sas Ko Jaan Khoo Dene Ka Andeesha Hua To Aap Sas Ne Bibi Se Ye Kaha, Tab Aap Rz Ne Unko Himmat Di Thi, Ke Aap Saqi Hain,Khuda Aur Uske Bandon Se  Shafaqat Rakhne Wale Hain To Allah Aapke Inn Amaal Ko Raygan Nahi Jane Dega”
  8. Doqtar-e-Rasoolullah SAS, Laqte Jigar-e-Rasool SAS Khatoon-e-Jannat Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz Ne Apne Beton Ko Taleem Dii Ke Apne Nana Ki Talimaat Ko Pesh Karo, Deen Ki Hifazat Karo, Chaho To Apna Sar Kata Do Magar Emaan Ko Na Chodo Aur Deen Ka Parcham Buland Karo.
  9. Hamari Maa Zouja-e-Hz Imamuna Mahdi Moud AHS,Ummul Musaddiqeen Hz Bibi Ilhadadi Salamullahi Alayha Jo 12 Saal Jazbe Ki Halat Me Rahe Apne Shouhar Meeranji AHS Ki Khidmat Anjaam Deti Rahi, Saari Raat Lota Liye Khadi Rahi Ke Jab Aap AHS Bedaar Hojayein To Pani Dedun, Wo Bibi Jinse Hum Me Faiz E Wilayat Batne Laga.
  10. Hz Bibi Fatima - Dokhtar-e-Mehdi AHS , Zouja-e-Hz Bandagi Miyan Syed Khundmeer Rz Ka Miyan Ko Jihad Ke Liye Bhejna, Hujjat-e-Mehdi AHS Ko Poora Karne Ke Liye Unki Dhaal Bane Rehna Unko Ye Kehna Ki Jayiye Ab Aapka Apna Waada Poora Karne Ka Waqt Aagaya Hai Jaakar Sadaqat-e-Mehdi Ko Pesh Kijiye, Hujjat-e-Mehdi Ko Poora Kijiye.
  11. Wo Rangrez Shohda Ki Maa Ki Tarbiyath Ke “Beta Chahe To Apna Sar Kata Dena, Naam-e-Mehdi Par Apni Jaan Qurban Kardena Magar Apne Deen Se Aur Apne Aqeede Se Hargiz Mat Palatna”.

Ye Hoti Hain Islam Ki Aurtein, Ye Hoti Hai Taleem, Ye Hota Hai Ilm, Ye Hota Hai Emaan, Ye Hoti Hai Deendaari Jo Hamari Deen-e-Islam Ki Aurton Ne Nibhayi Hai. Aur Ye Khususiyat Hamare Daire Ki Aurton Me Paai Jati Hai.

Wo Bibi Hajran Ka Tawakkul, Bibi Raheema Ka Sabr, Hz Shuaib AHS Ki Betiyon Ka Emaan, Bibi Sumaiyya Ki Shahadat, Bibi Maryam Ki Paak Daamani, Bibi Aasiya Ki Sabit Qadami, Bibi Khadija Tul Kubra Ki Rafaqat, Bibi Fatima-Tuz-Zehra Ki Tarbiyath, Bibi Ilhadadi Ki Khidmath Unki Shafaqat, Bibi Ayesha Ki Farmaanbardari O Emaandaari, Rangrez Shohda Ki Maa Ki Taleem.

Inn Tamaam Amaal Se Khullam Khulla Zahir Hai Ki Ek Deendaar Aurat Ki Zindagi Aur Uska Maqsad Aur Uske Amaal Kya Hote Hain.

  • Bilaakhir Ye Sab Ko Aapke Samne Rakhne Ka Yahi Maqsad Hai Ki Aurat Apni Zindagi Me Rishton Ko Sambhale Yahi Uski Zindagi Ka Asal Moqsad Hai, Jaise.
  • Khuda Se Sacchi Aur Sahi Bandagi Kare, Khuda Aur Bande Ke Rishte Ko Samjhe.
  • Mohommed SAS O Aale Mohommed SAS Se Mohobbath Kare, Amal Saleh Kare, Ibadath O Tilawat Kare, Zikr O Shukr Kare Jaise Ki Bibi Ka Qoul Hai “Khuda Ke Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Uska Shukr Karo”,Har Museebat Me Sabr Kare 
  • Murshideen O Walidain Ki Farmaanbardari Kare Unki Khidmath Kare Unke Hukm Ki Pabandi Kare.
  • Shohar Ki Ita’at Kare, Har Haal Me Uska Saat De Uski Izzat Kare, Usse Mohobbath Kare, Uske Hukm Ki Pabandi Kare, Uska Aur Uski Sehat Ka Khayal Rakkhe. Aur Jaise Ke Qur’an E Shareef Me Allah Ta’ala Ka Irshad Hai,  ھُنَّ لِباَسٌ لَکُم وَاَنتُم لِباَسٌلَّھُنَّ۔ “Hunna Libasul-Lakum Wa Antum Libasul Lahunna” Tumhari Aurtein Tumhare Liye Tumhara Libaas Hain Aur Tum Unke Poshaak. (To Uspar Amal Karsake).
  • Bacchon Ko Taleem De, Unki Sahi Tarbiyath Kare Unko Deen Ki Taraf Raghib Kare.
  •  Apni Zimmedariyon Ko Emaandaari Se Sambhale Aur Har Mamile Me Khuda Ko Samne Rakh Kar Ke Apne Kaam Ko Shuru Kare.
  • Sabse Badhkar Apne Maqsad Ko Jaane, Pehchaane Aur Khud Ko Deendaari Ke Daire Me Rakhte Hue Usooliyat E Deen Par Chalte Hue Zindagi Basar Kare.

Ye Hoti Hai Ek Deendaar Aurat Ki Pehchaan. To Humko Sochne Ki Zaroorat Hai Ke, Kya Ehmiyat Aur Zaroorat Hai Deen Ki Aur Usooliyaat E Deen Ki Har Ladki/Aurat Ke Liye. Jaisa Ke Maine Upar Tamaam Bibiyon Ke Amaal Ko Pesh Kiya Hai To Aapko Maloom Hai Ki Inn Tamaam Ka Kya Martaba Hai Deen-e-Islam Me, Mehdaviath Me. To Haqeeqat Par Se Parda Uth Gaya Hai Ke Duniya Ki Moh Maya Se Kuch Hasil Nahi Hota, Isko Tark Karke Hi Khuda Ko Hasil Kiya Ja Sakta Hai.

Jaise Hz Imamuna Mahdi Moud Ahs Ne Farmaya “Waraye Tark E Duniya Emaan Neest” - Ke Tark E Duniya Ke Baghair Emaan Nahi Milsakta. To Hum Ladkiyon/Aurton Ko  Chahiye Ki Duniyawi Taleemaat Par Se Kuch Der Hi Sahi Nazar Hata Kar, Deen Ki Taraf Loutne Ka Sochein Aur Apni Aakhirat Ke Liye Khud Ko Taiyyar Karein Aur Usooliyaat E Deen Ko Sahi Se Samajh Kar Amal Karne Ki Koshish Karein...Allah Hidayat De.

Qur’an E Shareef Me Irshad E Baarie Ta’ala Hai فَیُضِلُّ اللہُ مَن یَّشآَءُ وَیَھدِی مَن یَشآَءُ۔ “Fa’yuzilullahu Mai'n Yasha’u Wa Yahdi Mai’n Yashaa” -          Allah Jise Chahe Gumarah Kardeta Hai Aur Jise Chahe Hidayath Deta Hai.

Aakhir Me Khudae Ta’ala Se Duago Hun Ke Aye Baarie Ta’ala Tujhe Khatimain AHS O Syeddain Rz Ka Waasta, Bibiyon Ka Waasta Unke Sadqe Me Hamare Dilon Se Duniya Ki Mohobbath Aur Duniya Ki Lazzaton Ko Door Karde Aur Hum Ko Emaan Ki Salamati Ke Saat Usooliyaat-e-Deen Par Chalne Ki Toufeeq Ata Farma. Aameenn Summa Aameen.

Wa Aaqirud’awana Anil Hamdi Lillahi Rabbul Alameen.

References:
1. Aqwal E Zareen Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz.
2. Al Qur’an [ Surah Ibrahim]
3. Al Qur’an [ Surah Al- Araaf]
4. Al Qur’an [ Surah Maryam]
5. Al Qur’an [ Surah Taha]
6. Seerat E Hz Mohommed Rasoolullah Sas.
7. Seerat E Hz Imam E Hussain Shaheed E Karbala Rz.
8. Seerat E Imamuna Mahdi Moud Ahs.
9. Sawane Bandagi Miyan Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz (Jung E Badr E Wilayath)
10. Sawane Bandagi Miyan Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz ( Shahadat E Rangrez Shohda)
11. Al Qur’an [ Surah Baqarah 01: Ayah 187]
12. Al Qur’an [Surah Ibrahim 14: Ayah 04]

Mazmun aur Mazmun Nigar ke Mutaluk: Tasviyath Mehdi d/o Janab Nabi Khan Saheb, Mureed of Shamsul Ulema,Mufassirul Qur’an, Jalalatul Ilm,Shireen Bayan,Allamatul Asr, Allama Hz. Syed Meeranji Abid Khundmiri Qibla Damathfuyuzuhum. Ahle Channapatna, Karnataka hain. Tasviyath ne PCMB me 12th paas kiya hai aur Mudarrisa ki haisiyath se gharpe bacchon ko tajweed ki taleem deti hai aur apni qidmat anjam derahi hain aur Qoum-e-Mehdavia ku khidmath anjaam dena chahati hai. Tasviyath ka maanna hai ke, apne Murshid Qibla ki talimaat se Allah sarfaraaz farmaya hai ke ye uske liye har degree se badhkar hai.  

Ye Mazmun Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Muqabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka hissa hai. Ye Unwan Mukabile ke Roman Urdu Category me First Prize Hasil Kiya hai.  Hum Tasviyath ki niyyat aur sapnon ku pura hune ki duwa karte hain, aur chahate hain ke Allah isku har qadam pe kamiyabi ata kare, aur uske maa, baap aur khas taur se murshid qibla ki ummeedon pe khari uthre. Aameen Summa Aameen.  Is Mazmun Nawesi Muqabile ke nataij dekne ke liye is link par click kijiye->>>

Note: We will be publishing  selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com . 

Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com

Saturday, December 11, 2021

Advocate Mr. Syed Hashim Adil gets the International Human Rights Defender's Award for the year 2021

New Delhi 10 Dec 2021: It is our privilege to share this news that Brother Syed Hashim Adil an Advocate at High Court of Telangana, Hyderabad, who is also practicing at City Civil Court, Hyderabad and Editor at Roz Naama Urdu Awaz-e-Dost and a Human Rights & RTI activist  has been recognized and awarded the International Human Rights Defender's Award for the year 2021 at India International Center, New Delhi on 7th December 2021.

A total 15 persons from different parts of India and who have contributed a lot to the society were honoured with the Honorary Doctorate and 20 persons representing various fields including, Social Service, Rights Activists, Educationists, Advocates, Politicians and Actors were awarded with a Medallion and a Citation, which were presented by Shri. Anubhav Mohanty, Member of Parliament (BJD) from Kendrapara, Odisha. 

Mr. Sashi Kumar president of International Human Rights Defender's Federation thanked the dignitaries and awardees and further pledged to strengthen the awareness of Human Rights in India and all the state members will take the same message of Human Rights Protection, Awareness, Advocacy to nook and corner of their respective States. Mr. Sashi Kumar said that many International Organizations and Diplomatic Missions in India appreciate the programs conducted by the IHRDF and assured their full cooperation and coordination for the upcoming events.

IHRDF is a people-welfare organization that strives to secure a bright future for all deprived children and people. The charitable committee frames policies and conducts fundraising events that lift children out of poverty, protect them from trafficking and exploitations, and assure their right to equal education and care. People’s support and their voice against any ill-treatment are significant to our doing. Substantial public support bolsters the efforts of IHRDF.

Expressing his happiness Adv Syed Hashim Adil said ‘I am really delighted to receive the honour and happy that my humble social work is recognised.’

‘The award really inspires me to do more and I will continue with my social work as an Advocate, Journalist, Human Rights & RTI activist and a responsible citizen” – Hashim Adil added.

It is noteworthy to mention that Syed Hashim Adil's father Late Hazrath Syed Dawood Rafeeque, also a renowned personality of our community and he was former Editor in chief Awaz-e-Dost Urdu Daily Hyderabad and a famous Urdu Poet too. Brother Adil is a Mureed of Hazrath Peer o Murshid Syed Attan  Khundmeeri (Salman Miyan) Musheerabad, Hyderabad and has pursued  LL.B at Osmania University and also an accredited senior journalist.

Inayath Ulla Khan founder of Mehdavia Times congratulated Advocate Syed Hashim Adil over phone for getting the International Human Rights Defender's Award for the year 2021 and thank IHRDF for recognizing his services.

We pray that our brethren get more such recognitions and honors in their respective fields and may Allah create more thinkers and leaders from our community to serve the mankind and our motherland. Aameen.

Friday, December 3, 2021

Dr. Hafiz Karnataki ke Ezaaz Me Tehniyati Jalsa - Ek Report

 


Two Days Deeni Malumati Competition - LIVE from Ahmednagar

Ahmednagar 03 Dec 2021: Assalamualaikum wa Rahmatulahi wa Barakatuhu dear Brothers and Sisters in faith, It gives us an immense pleasure to announce a TWO DAYS, DEENI MALUMAATI COMPETITION to be held InshaAllah on 3rd and 4th December 2021. Below is the sequence of the event: 

DAY 1: 3rd December 2021, Friday at 6.30 pm, After Magrib

  1. Group no. 2 Questions & Answers competition 
  2. Break for Namaze Isha and Refreshments
  3. Group no. 3 Questions & Answers competition 

DAY 2: 4th December 2021, Saturday at 6.30pm, After Magrib

  1. Group 1: Azaan & Qiraat competition.
  2. Prize distribution

JURY

  1. Hz Peero Murshid Syed Noor Muhammad Tehseen Khundmiri Sahab Qibla
  2. Hafiz wo Qari Muhammad Alim Pasha

Zer-e-Sadaraat: Hz Peero Murshid Hz Syed Mehmood miya qibla

Organised by : Millat-e-Mehdaviya, Ahmednagar

Powered by: Mehdavia Times Welfare Trust (R)

Please follow the below link for Live streaming.

https://youtube.com/user/Mehdaviatimes

JazakAllah Kheyr

Team MehdaviaTimes

Dr. Hafiz Karnataki Sahab has been given the prestigious Sahitya Academi’s Bal Sahitya Puraskar

Bangalore 2 Dec 2021: Its pleasure meeting Shikaripur-based famous Urdu writer Dr. Hafiz Karnataki Sahab, who has been given the prestigious Sahitya Academi’s Bal Sahitya Puraskar of 2020. He received the award for his book 'Fakr-E-Watan', a work on freedom fighters of India.

We took the opportunity to congratulate him at a Tehniyati Program organised by Karnataka Urdu Poets Association today (2nd Dec 2021) in Bangalore along with other members of کائناتِ ادب بنگلور - Kainaat.e.Adab, Bangalore  particularly Janab Suhail Nizami Saheb, Janab Abdul Azeez Saheb, & Janab Ifteqar Ahmed Sharif Saheb and Janab Mubeen Munaver Saheb - Ex-Chairman Karnataka Urdu Academy,   & Janab Syed Irfanulla Khadri Saheb of  Karnataka Urdu Poets Association.

Mr. Karnataki, nurtured his interest in Urdu literature at a very young age, as he was born into a family of teachers in Shikaripur. Keeping his family's tradition he too became a teacher at a government primary school in 1987 and worked at various schools and took VRS in the year 2006. And started his educational institution at Shikaripura, which has about 3,000  girls students. 

He began his literary career as a poet in the 1980s and later turned towards writing for children. So far, he has written and published 99 books, and the 100th book is also getting ready to be released soon. He has translated many vacahanas of Basavanna and Akkamahadevi and writings of Kuvempu into Urdu. He has also served Karnataka Urdu Academy being its chairman. In 2013, Gulbarga University honored him with an honorary doctorate for his outstanding contribution to the field of Urdu literature.

I am lucky to get his autographed book Aaina-e-Jamaal / آئینہ جمال - a collection of Naatiya Poems on the Love of Prophet Mohammed Sallelahu Alaihi wa Sallam. 

May Allah give more such awards recognition and success in both the worlds to all our brethren who are working in various fields and professions and spreading the message of peace. Aameen.