Assalamu Alaykum Warahmathaullahi Wabarakatuhu...
Nahmaduhu Wanusalli Ala Rasoolihil Kareem Wal Mahdi’al Moud Alayhis-Salatu
Wat- Tasleem Ammabaad Faqad Qalallahu Tabarak Wata’ala Fee Kalamihil Qadeem Wal
Furqanil Azeem.
“Aouzu Billahi Minash-Shaita Nerrajeem,Bismillah Hirrahma Nirraheem”
Shuru Allah Ke Naam Se Jo 70 Maa’on Se Badh Kar Hum Se Mohobbath Karne
Wala Hai,Aur Rehem Karne Wala Hai.
Reason for the topic: Ye Topic Isliye Ke Aaj Kal Studies Ke Naam Par Ladkiyan Aur Aurtein Deen Se Door Hoti Hui Chali Jaa Rahi Hain Ya Yun Kahun Ke Dono, Deen O Duniyawi Studies Ko Ek Saat Handle Nahi Kar Paa Rahi Hai To Unke Samne Zarooriyat E Deen O Usooliyat E Deen Ko Samne Rakhna Chahti Hun...
Ye Nacheez Daur E Halaat Ko Madde Nazar Rakhte Hue Iss Unwaan Ke Zariye Haqeeqat Par Se Parda Uthane Ki Khwahishmand Hai Ke ‘Ek Aurat Ke Liye Deen O Emaan Ka Dil Me Hona Aur Usooliyaat E Deen Par Chalna Kitna Zaroori Hai’ Aur ‘Aurat Ka Duniya Me Bheje Jeene Ka Asal Maqsad Kya Hai? Iss Par Zor Dekar Aap Tamaam Ko Haqeeqat Se Rubaru Karwana Chahungi, Saat Hi Saat Khuda Ka Shukr Hai Khatimain AHS O Syeddain Rz Ke Sadqe Me Aap Tamaam (Members Of Mehdavia Times ) Ke Zariye Allah Ne Ye Mouqa Inayat Farmaya Hai Aur Allah Aap Sab Ko Jazaye Khair Ata Kare.. Aameen.
Sabse Pehle Mai Aap Tamaam Ke Saamne Daur E Halaat Ko Rakhna Chahungi Ke Aaj Kal Cent % Ladkiyan Aur Aurtein Ye Kehti Hain Ki “Education Is Everything” Kehti To Sahi Hain Magar Unka Matlab Ye Hota Hai Ki Ladki/Aurat Ke Liye Education Jo (Duniyawi Ilm) Hai Wo Bohot Zaroori Hai. Aur Ma Sha Allah Aaj Kal Bacchiyan Studies Me Unche Unche Moqaam Hasil Kar Rahi Hain, Lekin Education Degree Hasil Karlena, Job Par Chale Jane Ka Naam Nahi Balke Rishte Sambhalne Ka Naam Hai. Sabse Pehle To “Khuda Se Bande Ka Rishta” Phir Chalkar “Momin Ka Rishta” Phir “Khaas Ghour Karein To Ek Sacche Mehdavi Hone Ka” Aur Baaqi “Insaniyat Ka ” “Khooni Aur Jazbati Rishte” Waghaira Waghaira.
Kehne Ka Moqsad Ye Hai Ki Zamana Jo Samajhta Hai, Ki Ye Sahi Hai,
Haqeeqatan Wo Sahi Nahi Hota.
Mai Apne Unwaan Pe Aana Chahungi Ki, Jo Importance Ladkiyan/Aurtein
Duniyawi Talimaat Ko Deti Hain, Haqeeqat Me ‘Wo Ek Na Ek Din Bekaar Hi Jayegi’
Matlab Ye Ki ‘Duniya Ki Talimaat Duniya Ka Ilm Sirf Duniya Tak Hi Mehdood
Hai’ Magar Kya Koi Ye Jaan Paya Hai Ki Ek Ladki/Aurat Ka Duniya Me Bheje
Jane Ka Maqsad Kya Hai? Agar Jaan Bhi Gaye Hain To Kya Sachme! Kya Waqai Hum
Uspar Kaam Bhi Kar Rahe Hain? Ya Side Me Rakkhe Hue Hain Ki Baadme Dekhlenge?
Mai Ek Hi Baat Pe Baar Baar Zor De Rahi Hun Ki Duniyawi Talimaat Itni Zaroori Nahi Ki Apni Poori Zindagi Ko Hum Usi Me Lagadein.
Han Mahol Aur Zamane Ke Aitebaar Se Ye Talim Bhi Zaroori Hai Lekin Iss Had Tak Ke Hum Apne Bacchon Ko Thoda Bohot Basics Sikha Sakein,Aur Zaroorat Ke Aitebaar Se General Maloomaat Hosake, Ye Baat Aur Hai Ki Ladki Ka Ya Aurat Ka Job Pe Jana Majboori Hai,Magar Saat Hi Saat Deen Bhi Zaroori Hai. Studies Kisi Ki Khwahish Bhi Hosakti Hai Kisi Ka Passion Bhi Magar Aisa Nahi Ke Deen Ko Chod Kar Usi Me Lag Jayein, Dono Cheezein Barabar Kar Rahe Hain To Baat Aur Hai,Aur Qabile Qubool Hai. Baqi Mera Aqeeda Aur Mera Yahi Kehna Hai Ki Duniyawi Talimaat Ko Zyada Tarjeeh Dena Aisa Hai Jaise Ke Heeron Ke Samne Hi Hote Hue, Kisi Khali Dibbe (Box) Ko Tatolna, Ki Usme Kya Hosakta Hai?
Isi Tarha Agar Ladki/Aurat Samajh Sake To Apne Jeene Ka Asal
Maqsad Hi Khuda Ko Paa Lena Hai Jabke Raasta Samne Moujood Hai,Magar Afsos Ki
Ye Apne Aap Me Duniya Tatolne Me Lagi Hui Hai.
Ek Aurat Ka Education Ye Hai Ke Wo Apne Ghar Ko,Rishton Ko,Apne Farayez
Ko Deendaari Aur Emaandaari Se Sambhal Sake.
Aap Tamaam Ghour Karenge To Aap Hi Dekhenge Ki Ek Aurat/Ladki Ka Job Karna,Bacchon Ko Sambhalna, Shouhar Ki- Walidain Ki Khidmath Karna,Sabse Pehle Khuda Se Sahi Rishta Nibhana Ye Sab Ek Saat Theek Se Ho Payega? Koi Ek Kaam Bhi Sukoon O Itminaan Se Nahi Ho Paata.
Jab Ek Ladki/Aurat Ghar Sambhalna Shuru Kardeti Hai To Wohi Uski
Asal Zindagi Hai. Mai Aapke Saamne Wo Haqeeqat Rakhna Chahungi Jo Hamari Zindagi
Ka Asal Moqsad Hai Aur Jo Humko Doqtar E Rasoolullah Sas,Khatoon E Jannat Hz
Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz Ne Sikhayi Hai Aur Farmaya Ke,
“Jo Shaks Aale Mohommed (SAS) Ki Mohobbath Me Mara Wo Shaheed Mara, Aye Logon! Khuda Ka Khouf Dil Me Rakkho Aur Apne Har Amal Ki Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Qaraar Do. Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai. Khuda Ke Azeem Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Shukr Ada Karna Zaroori Hai”.
Subhan Allah, Subhan Allah. Kya Taleem Dii Hai Bibi Ne, Zindagi Ke
Asal Maqsad Ko Hamare Saamne Zahir Kardiya, Ke Hamara Jeena Aur Hamara Marna
Dono Mohommed (Sas) Aur Aale Mohommed (Sas) Se Mohobbath
Karte Hue Hona Chahiye. Kya Moqaam Hai, Hamari Mout Ka!! Jab Wo Aale Mohommed
Ki Mohobbath Me Marein To Shaheed Ka Martaba Hasil Hai!.
Subhan Allah.... To Saaf Baat Hai Ki Kya Hum Use Chodkar Duniya Ki Moh
Maya Me Mashghool Hain?
Aur Bibi Ka Farmaan Hai Ki “Apne Dil Me Khuda Ka Khouf Rakkho Aur Apne Har Amal Ki Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Rakkho” To Humko Khud Apni Apni Zindagi Par Ghour O Fikr Karne Ki Zaroorat Hai,Ki Kya Hum Taqwa Sha’aar Hain? Kya Hum Me Parhezgaari Hai? Aur Sachme Hum Khuda Ke Har Hukm Ke Mutabiq Kaam Kar Rahe Hain? Aur “Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai”.
Iss Baat Par Bohot Zyada Tawajjo Ki Talib Hun Ke “Kya Duniyawi Degree Hasil Karna Hi Duniya Se Munh Modna Hai?”Jo Ke Hum Kar Rahe Hain!
Har Koi Marne Se Darta Hai Aur Kehta Hai Ki Mujhe Aur Kamana Hai.. Aur Padhna Hai.. Aur Jeena Hai..Ye Haasil Karna Hai Wo Karna Hai Waghaira Waghaira.. “Kyun Koi Ye Nahi Soch Rahe Ki Hashr Me Mujhe Khuda Ke Huzoor Pesh Kiya Jayega, Mujhe Apne Amaal Ke Liye Pucha Jayega,Mai Kya Muh Dikhaoungi Ya Dikhaounga Khuda Ke Huzoor!?
Kya Ye Duniyawi Degree Kaam Aayegi Wahan? Jiske Liye Hum Khuda Se
Dii Gayi Mohlat Ko Isko Paane Liye Bazl (Kharch/Spending) Kar Rahe Hain?, Jabke
Ye Mohlat Aakhirat Ki Taiyyari K Liye Hai.
Mera Kehne Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Duniyawi Talimaat Se Zyada Badhkar Hii Usooliyat E Deen Hai. Iss Par Amal Karne Se Hi Aakhirat Me Humko Najaat Milskati Hai.Ladki/Aurat Ke Dil Me Deen Ke, Emaan Ke Hone Se Kya Hota Hai Mai Aapko Nabuwwat Se Lekar Aaj Ke Daur Tak Ki Choti Si Sair Karwati Hun, Sabse Pehle,
- Ibrahim AHS Ke Biwi Hz Bibi Hajran ‘Jab Ibrahim AHS Apni Aulad Ko Qurban Karne Chale The To, Bibi Ne Khushi Se Apni Aulad Ko Khuda Ki Nazar Kardena Chaha Jabke Unko Taweel Muddath Ke Baad Aulad Hui Thi.
- Hz Ayyub AHS Ke Bibi Rahima Ne 13 Saal Tak Beemari Me Apne Shouhar Ka Saat Nahi Choda,Jab Ke Hz Ko Sheher Se Bahar Kardiya Gaya Tha,Hatta Ke Bibi Ne Apne Adhe Baal Baech Diye, Jabke Poore Sheher Me Unn Jaise Khoobsurat Baal Kisi Ke Na The Aur Usse Apne Shouhar Ki Khidmath Ki
- Hz Shuaib AHS Ki Betiyon Ne Apne Walid Ke Nabi Hone Ki Gawahi Di. Jabke Poori Qoum Unke Khilaf Thi,Sirf Unki Betiyan Thi Jo Unpe Emaan Layi Aur Unka Kalma Padha.[Surah Al- Araaf]
- Hz Bibi Sumaiyya Jo Islam Ki Pehli Shaheed Hain Jo Hz Ammaar Bin Yasir Ki Maa Thi, Jinhone Sabse Pehle Khuda Ki Rah Me Shahadath Di Aur Ye Paigham Diya Ke Shahadath Se Hi Qoum Zinda Rehti Hai,Islam Zinda Rehta Hai.
- Hz Bibi Mariyam Jo Hz Esa AHS Ki Maa Thi, Jinki Gawahi Aur Unki Paak Daamani Ka Saboot Khud 4 Din Ke Chote Bacche Ne Diya. Ke Mai Allah Ka Nabi Hun..[Surah Maryam].
- Bibi Asiya Firaoun Ki Biwi Jinhone Hz Moosa AHS Ki Parwarish Ki Aur Apne Emaan Pe Marte Dam Tak Baqi Rahi, Hatta Ke Firaoun Ne Unke Haat-Pairon Me Keelein Thok Dein.Magar Bibi Ne Khuda Ki Wehdaniyat Ka Inkaar Na Kiya [ Surah Taha]
- Hz Ummul Momineen Bibi Khatijatul Kubra Rz :“Jab Rasoolullah SAS Par Pehli Martaba Wahi Nazil Hui To Aap Sas Ko Jaan Khoo Dene Ka Andeesha Hua To Aap Sas Ne Bibi Se Ye Kaha, Tab Aap Rz Ne Unko Himmat Di Thi, Ke Aap Saqi Hain,Khuda Aur Uske Bandon Se Shafaqat Rakhne Wale Hain To Allah Aapke Inn Amaal Ko Raygan Nahi Jane Dega”
- Doqtar-e-Rasoolullah SAS, Laqte Jigar-e-Rasool SAS Khatoon-e-Jannat Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz Ne Apne Beton Ko Taleem Dii Ke Apne Nana Ki Talimaat Ko Pesh Karo, Deen Ki Hifazat Karo, Chaho To Apna Sar Kata Do Magar Emaan Ko Na Chodo Aur Deen Ka Parcham Buland Karo.
- Hamari Maa Zouja-e-Hz Imamuna Mahdi Moud AHS,Ummul Musaddiqeen Hz Bibi Ilhadadi Salamullahi Alayha Jo 12 Saal Jazbe Ki Halat Me Rahe Apne Shouhar Meeranji AHS Ki Khidmat Anjaam Deti Rahi, Saari Raat Lota Liye Khadi Rahi Ke Jab Aap AHS Bedaar Hojayein To Pani Dedun, Wo Bibi Jinse Hum Me Faiz E Wilayat Batne Laga.
- Hz Bibi Fatima - Dokhtar-e-Mehdi AHS , Zouja-e-Hz Bandagi Miyan Syed Khundmeer Rz Ka Miyan Ko Jihad Ke Liye Bhejna, Hujjat-e-Mehdi AHS Ko Poora Karne Ke Liye Unki Dhaal Bane Rehna Unko Ye Kehna Ki Jayiye Ab Aapka Apna Waada Poora Karne Ka Waqt Aagaya Hai Jaakar Sadaqat-e-Mehdi Ko Pesh Kijiye, Hujjat-e-Mehdi Ko Poora Kijiye.
- Wo Rangrez Shohda Ki Maa Ki Tarbiyath Ke “Beta Chahe To Apna Sar Kata Dena, Naam-e-Mehdi Par Apni Jaan Qurban Kardena Magar Apne Deen Se Aur Apne Aqeede Se Hargiz Mat Palatna”.
Ye Hoti Hain Islam Ki Aurtein, Ye Hoti Hai Taleem, Ye Hota Hai Ilm, Ye
Hota Hai Emaan, Ye Hoti Hai Deendaari Jo Hamari Deen-e-Islam
Ki Aurton Ne Nibhayi Hai. Aur Ye Khususiyat Hamare Daire Ki Aurton Me Paai Jati
Hai.
- Bilaakhir Ye Sab Ko Aapke Samne Rakhne Ka Yahi Maqsad Hai Ki Aurat Apni Zindagi Me Rishton Ko Sambhale Yahi Uski Zindagi Ka Asal Moqsad Hai, Jaise.
- Khuda Se Sacchi Aur Sahi
Bandagi Kare, Khuda Aur Bande Ke Rishte Ko Samjhe.
- Mohommed SAS O Aale Mohommed
SAS Se Mohobbath Kare, Amal Saleh Kare, Ibadath O Tilawat Kare, Zikr
O Shukr Kare Jaise Ki Bibi Ka Qoul Hai “Khuda Ke Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Uska
Shukr Karo”,Har Museebat Me Sabr Kare
- Murshideen O Walidain Ki
Farmaanbardari Kare Unki Khidmath Kare Unke Hukm Ki Pabandi Kare.
- Shohar Ki Ita’at Kare, Har Haal Me Uska Saat De Uski Izzat Kare, Usse Mohobbath Kare, Uske Hukm Ki Pabandi Kare, Uska Aur Uski Sehat Ka Khayal Rakkhe. Aur Jaise Ke Qur’an E Shareef Me Allah Ta’ala Ka Irshad Hai, ھُنَّ لِباَسٌ لَکُم وَاَنتُم لِباَسٌلَّھُنَّ۔ “Hunna Libasul-Lakum Wa Antum Libasul Lahunna” Tumhari Aurtein Tumhare Liye Tumhara Libaas Hain Aur Tum Unke Poshaak. (To Uspar Amal Karsake).
- Bacchon Ko Taleem De, Unki Sahi Tarbiyath Kare Unko Deen Ki Taraf Raghib Kare.
- Apni Zimmedariyon Ko Emaandaari Se Sambhale Aur Har Mamile Me Khuda Ko Samne Rakh Kar Ke Apne Kaam Ko Shuru Kare.
- Sabse Badhkar Apne Maqsad Ko Jaane, Pehchaane Aur Khud Ko Deendaari Ke Daire Me Rakhte Hue Usooliyat E Deen Par Chalte Hue Zindagi Basar Kare.
Ye Hoti Hai Ek Deendaar Aurat Ki Pehchaan. To Humko Sochne Ki Zaroorat Hai Ke, Kya Ehmiyat Aur Zaroorat Hai Deen Ki Aur Usooliyaat E Deen Ki Har Ladki/Aurat Ke Liye. Jaisa Ke Maine Upar Tamaam Bibiyon Ke Amaal Ko Pesh Kiya Hai To Aapko Maloom Hai Ki Inn Tamaam Ka Kya Martaba Hai Deen-e-Islam Me, Mehdaviath Me. To Haqeeqat Par Se Parda Uth Gaya Hai Ke Duniya Ki Moh Maya Se Kuch Hasil Nahi Hota, Isko Tark Karke Hi Khuda Ko Hasil Kiya Ja Sakta Hai.
Jaise Hz Imamuna Mahdi Moud Ahs Ne Farmaya “Waraye Tark E Duniya Emaan Neest” - Ke Tark E Duniya Ke Baghair Emaan Nahi Milsakta. To Hum Ladkiyon/Aurton Ko Chahiye Ki Duniyawi Taleemaat Par Se Kuch Der Hi Sahi Nazar Hata Kar, Deen Ki Taraf Loutne Ka Sochein Aur Apni Aakhirat Ke Liye Khud Ko Taiyyar Karein Aur Usooliyaat E Deen Ko Sahi Se Samajh Kar Amal Karne Ki Koshish Karein...Allah Hidayat De.
Qur’an E Shareef Me Irshad E Baarie Ta’ala Hai فَیُضِلُّ اللہُ مَن یَّشآَءُ وَیَھدِی مَن یَشآَءُ۔ “Fa’yuzilullahu Mai'n Yasha’u Wa Yahdi Mai’n Yashaa” - Allah Jise Chahe Gumarah Kardeta Hai Aur Jise Chahe Hidayath Deta Hai.
Aakhir Me Khudae Ta’ala Se Duago Hun Ke Aye Baarie Ta’ala Tujhe Khatimain
AHS O Syeddain Rz Ka Waasta, Bibiyon Ka Waasta Unke Sadqe Me Hamare
Dilon Se Duniya Ki Mohobbath Aur Duniya Ki Lazzaton Ko Door Karde Aur Hum Ko Emaan
Ki Salamati Ke Saat Usooliyaat-e-Deen Par Chalne Ki Toufeeq Ata Farma. Aameenn Summa
Aameen.
Wa Aaqirud’awana Anil Hamdi Lillahi Rabbul Alameen.
1. Aqwal E Zareen Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz.
2. Al Qur’an [ Surah Ibrahim]
3. Al Qur’an [ Surah Al- Araaf]
4. Al Qur’an [ Surah Maryam]
5. Al Qur’an [ Surah Taha]
6. Seerat E Hz Mohommed Rasoolullah Sas.
7. Seerat E Hz Imam E Hussain Shaheed E Karbala Rz.
8. Seerat E Imamuna Mahdi Moud Ahs.
9. Sawane Bandagi Miyan Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz (Jung E Badr E Wilayath)
10. Sawane Bandagi Miyan Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz ( Shahadat E Rangrez Shohda)
11. Al Qur’an [ Surah Baqarah 01: Ayah 187]
Mazmun aur Mazmun Nigar ke Mutaluk: Tasviyath Mehdi d/o Janab Nabi Khan Saheb, Mureed of Shamsul Ulema,Mufassirul Qur’an, Jalalatul Ilm,Shireen Bayan,Allamatul Asr, Allama Hz. Syed Meeranji Abid Khundmiri Qibla Damathfuyuzuhum. Ahle Channapatna, Karnataka hain. Tasviyath ne PCMB me 12th paas kiya hai aur Mudarrisa ki haisiyath se gharpe bacchon ko tajweed ki taleem deti hai aur apni qidmat anjam derahi hain aur Qoum-e-Mehdavia ku khidmath anjaam dena chahati hai. Tasviyath ka maanna hai ke, apne Murshid Qibla ki talimaat se Allah sarfaraaz farmaya hai ke ye uske liye har degree se badhkar hai.
Ye Mazmun Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Muqabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka hissa hai. Ye Unwan Mukabile ke Roman Urdu Category me First Prize Hasil Kiya hai. Hum Tasviyath ki niyyat aur sapnon ku pura hune ki duwa karte hain, aur chahate hain ke Allah isku har qadam pe kamiyabi ata kare, aur uske maa, baap aur khas taur se murshid qibla ki ummeedon pe khari uthre. Aameen Summa Aameen. Is Mazmun Nawesi Muqabile ke nataij dekne ke liye is link par click kijiye->>>
Note: We will be publishing selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com .Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com
Jazak Allahu khairan kaseera for sharing my message among yougsters as well as among all the people, very glad to work with team Mehdavia Times I got appreciation and full support for my writing as well as my efforts and thoughts regarding Mehdavia community, it was a great opportunity to the youngsters to share there thoughts among the world and to explore in the path of Deen. May Allah accept our good deeds. Thank you
ReplyDeleteMashaallaha mashaallaha
ReplyDeleteMasha Allah very nice essay
ReplyDeleteImportant Notes regarding point 10:
ReplyDelete1.Bibi Aayisha to parda farma gaye the.. tabhi to Mahdi as. Ki Arwaah se aap rz. Ko maloom hua tha ki bibi Fatima se aap ko ek Farzand hoga .. Aaqa Bandagimiyan Sayyad Mehmood Sayyadanji rz. Ki Basharat di thi.
2.Bibi Fatima rz ka bhi pehle nikaah hua tha , Miyan malik burhanuddin rz se jo muhajir e Mahdi as. Hai , wo parda farma gaye to Bibi ne bhi fir nikaah Bandagimiyan Sayyad Khundmeer rz. Se kiya.
الســـلام علیکم و رحمتہ اللہ وبرکاتہ
ReplyDeleteتمام ممبران کی خدمت میں
بہت بہت مبارک جزاک اللہ خیراً کثیراً
subanAllah subanAllah Masha Allah Bohat hi behtareen andaaz me aap ne likha hai...😊🥰Allah talah hum sab ku deen par chalne aur emaan par rehne ki toufeeq de aameen sumameen aapku bohat Mabrook!!👍🏻😊
ReplyDelete