Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Tuesday, April 20, 2021

Quran-e-Majid (Fazilat-o-Ahemiyat) - by Zubermahedi Momin

Quran-e-Hakim Wo Kitab Hai Jise Is Kayenaat Ke Khalik Wa Malik Ne Ashraful Ambiya Hazrat Muhammed (SAW) Per Naazil Kiya . Quran-e-Kareem Allah Ki Ata Karda Wo Mukaddas Kitab Hai Jo Puri Duniya-e-Insaniyat Ke Liye Sab Se Bada Inaam Hai Jis Ki Hamsary Ka Koyi Bhi Dawa Nahi Karsakta. Ye Kitab Rasool (SAW) Per Ba Zariya Wahi Naazil Kiya Gaya. Mere Aqa Hazrat Imamuna Mahedi Maud (AS) Ne Farmaya ,“Quran Ishq Nama Ast”. Quran Hamare Liye Najat Ka Saman Hai. Ayiye Quran Ke Mutaluk Kuch Muktasaran Janane Ki Koshish Karte Hain.

Zaalikal Kitaabu La Raib Feeh - Ye O Kitaab Hai Jisme Koyi Shak Wo Shuba Nahi.

Fazail-e-Quran.......Quran Ki Roshni Me: Logon Tumare Pass Tumhare Rab Ki Taraf Se Nasihat Aagayi Hai Dilon Ke Imraaz Ki Shifa Aur Imaan Walon Ke Liye Hidaayat Wo Rahmat Hai. Hazrat Muhammed (Saw) Aap Keh Dijiye Ke Logon Ko Chahiye Ke Allah Ke Fazal Aur Us Ki Rahmat Yaani Quran Per Khushi Manaye .Jo Shaks Meri Hidayat Ki Pairhwi Karega Wo Na Duniya Me Gumrah Hoga Na Aakhirat Me Taklif Me Padega.

Fazail-e-Quran.......Ahadees Ki Roshni Me: Aap (SAW) Ne Farmaaya Jo Koyi Sarkashi Se Quran Ko Chode Ga Allah Taala Us Ko Khuchal Kar Rakh Dega Aur Jis Ne Use Chod Kar Kisi Aur Jagah Se Hidaayat Haasil Karne Ki Koshish Ki Allah Ise Gumrah Kardega. Ye Quran Hi Allah Ki Mazboot Rassi Hai Jiski Pairhwi Se Khayalaatkujise Mehfooz Rehte Hain Aurr Ulma Kabhi Isse Sair Nahi Hosakte Aur Baar Baar Padhne Se Purana Nahi Hota. Jo Quran-e-Majid Ke Mutabbik Karega Wo Sachhi Baat Karega,Jo Iske Mutabbik Amal Karega Yakinan Ajar Payega, Jo Iske Mutabbik Faisla Karega Zaroor Adal Ka Faisla Karega. 

Quran Se Hamara Matloob Rawaiyya: Quran Isliye Naazil Hua Ke Ham Ise Padhe ,Samjhe Aur Is Par Amal Karen. Kitne Afsos Ki Baat Hai Ke Agar Ham Quran Padh To Lein Lekin Iske Maani Na Samajhteho, Aur Jis Shakhs Ke Qalb Me Quran Ka Koyi Hissabhi Maujood Naho Wo Viraan Ghar Ki Tarha Hai. Aur Wo Shakhs Quran Par Imaan Nahi Laaya Jis Ne Iski Haraam Ki Huyi Cheezon Ko Halaal Kar Liya. Sirf Du Hi Qismke Log Qaabil-e-Rashk Hain: Ek Wo Jisko Allah Ne Quran-e-Majidka Ilm Ataa Kiya Aur Wo Din Raat Is Ko Padhne Padhane Me Mashghool Rehta Hai. Dusra Wo Jisko Allah Ne Maal Wa Daulat Se Nawaza Aur Wo Shab-d-Roz Isko Allah Ki Raah Me Kharch Karta Rehta Hai. Tum Me Se Behtar Wo Log Hain Jo Khud Quran Seekhe Aur Phir Dusron ko Sikhaye. Allah Ke Kalaam Ki Fazeelat Baaki Tamaam Kalaamon Par Aisi Hai Jaisi Allah Taala Ki Apni Makhlook Par.

Quran Se Muh Modne Ka Anjaam: Jab Koyi Musalmaan Quran Ki Qiraat Me Isko Samajhne Me Ya Amal Karne Me Koyi Kotahi Karega Tu Goya Usne Quran Chod Diya. Aur Jo Koyi Hamari Nasihat Se Moo Modega To Iski Zindagi Tangi Me Guzregi Aur Qiyaamat Ke Din Ham Ise Andha Uthainge Wo Kahega Aye Mere Rab Tune Mujhe Andha Kar Ke Kiyun Uthaya? Mai To Duniya Me Achha Khasa Dekhne Wala Tha. Irshad Hoga: Han Isi Tarha Hona Tha. Tere Pass Jab Hamari Aayatein Aayi Thi To Tune Inhe Bhula Diya Tha. Isi Tarha Aaj Tu Bhi Bhula Diya Gaya Hai.

Quran Ki Haisiyat: Quran-e-Majid Us Kitaab Ka Naam Hai Jise Allah Ne Jibrayil (AS) Ke Zariye Rasool Allah (Saw) Par Naazil Kiya. Ye Kitaab 23 Saal Ke Arse Me Huzoor (SAW) Par Naazil Hoti Rahi Aur Paaye-e-Takmeel Ko Pahonchi. Yeh Kitaab Deen-e-Islaam Ki Buniyaadi Dastawez Hai. Jis Aqeeda Wa Amal Ko Ye Haq Qaraar De,Wo Haq Hai Aur Jis Faqr Wa Amal Ko Ye Galat Qaraar De , Wo Galat Hai. Goya Quraan-e-Majid Islaam Ki Kasoti Hai. Surah-e-Furqan Me Allah Taala Ka Irshad Hai “Badi Ba Barkat Hai Wo Zaat Jisne Apne Bande Par Haq Wa Baatil Me Tameez Karne Wali Kitaab Utaari”. Goya Quraan-e-Majid Hi Hame Ye Batayega Ke Deen Kya Hai Aur Kya Nahi Hai.

Amal Bil Quran: Ji Haan, Quran-e-Majid Par Amal Karna Har Musalmaan Ke Liye Laazim Hai. Hamare Deen Me Ilm Bila Amal Ka Koyi Tasawur Nahi Paya Jata. Surah-e-Inaam Me Irshad Hai. “Ye Ek Barkat Wali Kitaab Hamne Naazil Ki Hai. Pas Tum Iski Pairhwi Karo Aur Taqwa Ki Rosh Ikhtiyaar Karo,Taake Tum Par Raham Kiya Jaye”.

Taalim-ul-Quran: Ji Haan, Har Musalmaan Ke Liye Ye Baat Nihhayat Pasandida Hai Ke Wo Apni Istataa`at Ki Had Tak, Apne Ahal Wa Ayaal, Apne Rishtedaaron, Apne Hamsaayon, Apne Maahol Me Rehne Walon Aur Apne Muashre Ke Kaarfarma Tabqaat Ko Quran-e-Majid Ka Paigaam Pahonchaye. Kisi Bhi Insaan Ko Deen Ki Deewat Dene Ka Sabse Kaarigar Tareeqa Usko Quran-e-Majid Se Roshnaas Qaraar Dena Hai. Surah-e-Qaaf Me Irshad Hai. “Is Quran Ke Zariye Se Har Us Shakhs Ko Yaad-e-Dahaani Karao Jo Aakhirat Ke Din Ka Khauf Rakhta Ho”.

Quran Ishq Nama Ast: Musalmaano Ko Jis Tarah Allah Se Mohabbat Hai Isi Tarah Is Mansil-e-Kalaam Se Bhi Ishq Huna Zarori Hai. Hazrat Imamuna Mahedi Maud (AA) Ka Irshad-e-Giraami Hai Ke “Quran Ishq Naam Ast” Iske Maani Ba Aasaani Samajhe Me Is Tarah Aate Hain. Ye Khuda Ka Bandon Ke Naam Nihaayath Dosth Rakhe Jaane Ke Qaabil-e-Khath Ya Maktoob Hai Jis Me Khuch Shak Wo Shuba Nahi. Hazrat Mahdi (AS) Ne Musalmano Ko In Alfaz Me Takid Farmayi:- "Musalmaano! Apna Haal Quran Ke Muwafik Karo, Agar Wo Quran Ke Muwafik Hai To Wo Tumare Haq Me Bashaarat Hai” 

                  Wo Muazziz The Zamaane Me Musalmaan Hokar

                 Ham Khwaar Huye Taarik-e-Quran Hokar

Khulaasa: Khulasa-e-Kalam Ye Hai Ke Ummat-e-Muslima Ko Quran Se Apna Rishta Mazboot Karne Ki Zaroorat Hai. Madaaris, Makaatib Aur Membar Wa Mahraab Ki Aabiyaari Karni Chahiye. Ulmaa-e-Kiraam Aur Huffaaz-e-Izzaam Ki Housla Afzaaye Honi Chahiye. Har Masjid Me Quran Ke Makaatib Bachhon Aur Baligaan Ke Liye Khole Jaaye. Quran Ke Maani Aur Tafseer Ko Samajhne Ke Liye Masaajid Me Majaalis Munaqid Hone Chahiye. Tab Jaakar Ummat Ka Quran Se Rishta Mazbooth Hojaye Ga. Aur Ye Qoum Khair-e-Ummath Ban Kar Ubharegi. Jis Ka Jikr Quran-e-Muqaddas me Is Tarah Farmaaya Hai.

Kuntum Khaira Ummatin Ukhrijat Linnaas, Ta`Amuruna Bil Ma`Roof Wa Tanhauna Anil Munkar Wa Tu`Aminuna Billah.

About the writer and write-up/Essay: Zubermahedi Momin s/o Janab Riyaz Ahmed Saheb and Mureed of Peer O Murshid Hazrat Sayyed Aziz Mohammed Akelavi (Razi Miya) Ahle Hyderabad. He is a resident of Pachhapur, Hukkeri Taluk of BELAGAVI district, Karnataka State and currently pursuing Diploma in Presidion Manufacturing. This Essay is a part of the International Essay Writing Competition conducted by MehdaviaTimes & IGM during the last year Ramazan i.e; Ramazan of 1441 hijri / 2020 taking the opportunity of the Pandemic Lock-down. Zubermahedi Momin had secured the Second Price in this Competition in the in Junior Roman Urdu Category. We Wish All the Best for his future endeavors, May Allah Bless him with success in both the worlds. Aameen.

The results of the competition can be seen here; : https://mehdaviatimes.blogspot.com/2020/05/announcement-of-results-of.html



Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com.

Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com

2 comments: