Ek Roz Bandagi Miyan Syed
Khundmir Rz Ke Ghulam Zerak Rz Ne Hazrat Se Arz Kiya Agar Aap Mujhe Aazaad
Karde Toh Main Khuda Ki Bahot Ibadat Karunga Hazrat Ne Usko Aazad Kardiya Lekin
Ye Farmaya Ke Bahot Ibadat Karne Se Zerak Ko Jannat Mil Jayegi Deedar Naseeb
Nahi Hoga, Ye Toh Murshid Ki Sohbat Aur Zikrullah Se Hasil Hota Hai.
Taleem Ke Liye Zuban Ka Masla
Paida Ho Sakta Hai Lekin Sohbat Apna Khamosh Asar Dikhati Hai. Sohbat Zuban Se
Beniyaz Hai Jis Ki Sohbat Mein Rehte Hain Uski Guftar, Uska Kirdar, Dusron Ko
Zarur Mutasir Karta Hai. Rasool S.A.W.S Ne Toh Ek Behtrin Misaal Sohbat Ki Di
Hai, Aap Ne Farmaya Attar Ki Dukan Par Jaao Toh Baujud Iske Ke Tum Ne Kuch Bhi
Attar Nahi Kharida Magar Jabtak Tum Wahan Baithe Rahoge Atar Ki Khusbu Toh
Barabar Aati Rahegi. Isi Tarah Koyle Ki Dukan Par Jaaoge Toh Kam Az Kam Kapdo
Par Kuch Na Kuch Kaalik Lag Jayegi.
Isi Tarha Hamein Pata Chalta Hai
Ashabe Kahaf Ke Saath Rehne Wala Ek Kutta Jab Nek Logo Ke Sohbat Mein Raha Toh
Uska Shumar Bhi Nek Logo Mein Hogaya Aur Aanhazrat S.A.W.S Ke Farman Ke
Mutaabiq Wo Kutta Jannat Mein Jayega. (Subhanallah)
Uske Barkhilaf Nooh A.S Ka Beta
Bure Logo Ke Saath Uthne Baithne Laga Toh Wo Nabuwat Ke Khandaan Se Be Behra
Hogaya Aur Kaafiron Ke Saath Tufan Mein Dub Gaya. Chunanche Sohabate-e-
Sadiqien Ke Baab Mein Hazrat Meeran Syed Mehdi Maud A.S Se Naqal Hai, Sohdbat-e-
Sadiqien Farz Aein Hai. Lihaza Farman-e-Mehdi A.S Ke Mutaabiq Hum Mehdavi
Bhaiyon Ko Sohabat-e- Sadiqien Par Amal Karna Zaruri Hai Agar Hamara Maqsad
Khuda Ka Deedar Hai.
Har Ek Shaks Par Ye Farz Hai Ke
Wo Sohabat-e- Sadiqien Ikhtiyar Karke Apne Dakhili Wa Khaarji Ahwaal Ki Islah
Kare Aur Sadiqien Ki Sohbat Mein Rehkar Ek Sachcha Momin Banne Ki Koshish Kare
Warna Jo Shaks Sohbate Sadiqien Se Dur Rehekar Ye Daawa Karta Hai Ke Wo Momin
Hai Toh Aisa Shaks Apne Daawe Mein Jhoota Hai. Agar Aaj Hum Moujuda Mahol Aur
Insaniyat Ke Taqazon Par Ghaur Karen Toh Hum Ko Insaani Zindagi Alag Rahon Mein
Bati Hui Milegi. Aaj Ka Bigda Hua Maahol Jis Tarah Insaaniyat Ka Mazaaq Uda
Raha Hai Wo Ek Sanjeeda, Samajhdar Aur Saleh Dil-o-Dimag Rakhne Wale Shaks Par
Makhfi Nahi Hai.
Allah Tabarak Wa Taala Ne Apne
Kalaam Quraan-e-Hakim Mein Kai Martaba Sohbat-e- Sadiqien Ke Taaluq Se Irshaad
Farma Raha Hai. Surah Al-Imran Mein Irshad Farmata Hai,
“Aur Tum Mein Se Ek Jamaat Aisi
Hona Zaruri Hai Jo Logo Ko Khair Ki Taraf Bulaye Aur Nek Kaamon Ka Hukm Kare
Aur Bure Kaamo Se Roka Kare Aur Aisa Karne Wale Log Pure Kaamiyab Honge.”
Ambiyaein Ikraam Mein Hazrat Musaa Kalimullah Ka Jo Martaba Hai Wo Quraan Mein
Chupa Nahi Hai Lekin Aise Jalilul Qadr Paighambr Ko Bhi Allah Ne Khizar A.S
Jaise Saadiq Ki Sohbat Mein Rehne Ka Hukm Diya Tha. Aur Ek Jagah Allah Taala
Farmata Hai, “Aye Imaan Walon
Allah Taala Se Taqwa Karo Aur Saadiqien Ki Sohbat Ikhtiyar Karo.”
Ye Farmane Ilahi Us Amar Par
Dalalat Karta Hai Ke Tamam Musalman Saadiqien Ki Sohbat Mein Rehkar Apne
Akhalaq Aadaadt Aur Kirdar Ko Saware Aur Amar-e-Ilahil Par Khud Karband Ho Kar
Dusron Ko Allah Taala Ki Itaat Aur Uski Khushnodi Ki Taraf Daawat Dein. Saleh
Muashra Usi Waqt Tashkil Pa Sakta Hai Jab Tamaam Log Saadiqien Ki Ijma Par
Yaani In Ke Faislo Par Karband Ho Jaaye. Jo Tabqa Saadiqien Ke Faiz-e-Sohbat Se
Apne Aap Ko Mustaid Kar Sakta Hai Aur Yahi Tabqa Sahi Khidmat Bhi Kar Sakta Hai
Aur Khuda Wala Tabqa Kehlaya Ja Sakta Hai.
Isliye Ke Allah Tabarak Wa Taala
Ne Khud Saadiqien Ki Sohbat Mein Rehne Ki Har Ek Shaks Ko Taakid Ki Hai. Aaj Ki
Is Bigde Huye Insaani Maahol Ko Saadiqien Hi Insaaniyat Se Roshnaas Kara Sakti
Hai Aaj Ka Moujuda Maahol Insaaniyat Soz Hai,
Aur Uska Taqaza Ye Hai Ke Wo Deen Fitrat Yaani Mazhab Islam Ke Usulon Ko
Apnaye Aur Insaaniyat Ki Meraj Ke Hasul Ko Apna Maqsad-e-Hayat Banaye. Magar
Insaaniyat Usi Waqt Meraj Kamal Ko Pahonch Sakti Hai Jab Ke Wo Hazrat Mehdi A.S
Khalifatullah Ke Faramin Mein Par Ghaur Wa Fikar Kare Aur Us Rah Ko Apnaye
Jiski Daawat Hazrat Mehdi A.S Ne Quraan-e-Hakim Ki Roshni Mein Aalame
Insaaniyat Ko Di Hai. Salah Ho Ke Islah Usi Waqt Kargar Ho Sakti Hai Jab Ke
Akhlaqi Qadron Ko Pehchan Kar Dusron Tak Pohchane Wale Qaumo Mein Paida Ho.
Hazrat Mehdi A.S Ke Is Farman “Sohbat-e- Saadiqien Farz” Mein Bhi Qaumo Ki Salah Wo Islah Ka Dars
Poshida Hai.
Aakhir Mein Dua Hai Ke Allah
Taala Hamein Sahi Maano Mein Saadiqon Ki Sohbat Mein Rehne Ki Taoufiq Ata Farma
Aur Apne Khaas Fazal Se Apna Khaas Deedar Ata Farma. (Aameen).
Reference:
- Sohbate Sadiqeen Ki Farziyat Ka Asbaat Farameen Hazrat Syed Mehdi Maoud Khalifatullah A.S. By (Hazrat Moulana Abul Hadi Syed Mahemood Sahab Akelvirh).
- Mojamuddin By (Hazrat Moulana Syed Meeranji Abid Khundmeeri Sahab Qibla).
- Tasdeeq Wa Amal By (Hazrat Moulvi Muhammad Nooruddin Arbirh.
The results of the competition can be seen here; https://mehdaviatimes.blogspot.com/2020/05/announcement-of-results-of.html
Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com .
Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com
Subhan Allah
ReplyDelete