Assalamu Alaykum Warahmathaullahi Wabarakatuhu...
Nahmaduhu Wanusalli Ala Rasoolihil Kareem Wal Mahdi’al Moud Alayhis-Salatu
Wat- Tasleem Ammabaad Faqad Qalallahu Tabarak Wata’ala Fee Kalamihil Qadeem Wal
Furqanil Azeem.
“Aouzu Billahi Minash-Shaita Nerrajeem,Bismillah Hirrahma Nirraheem”
Shuru Allah Ke Naam Se Jo 70 Maa’on Se Badh Kar Hum Se Mohobbath Karne
Wala Hai,Aur Rehem Karne Wala Hai.
Reason for the topic: Ye Topic Isliye Ke Aaj Kal Studies Ke Naam Par Ladkiyan Aur Aurtein Deen Se Door Hoti Hui Chali Jaa Rahi Hain Ya Yun Kahun Ke Dono, Deen O Duniyawi Studies Ko Ek Saat Handle Nahi Kar Paa Rahi Hai To Unke Samne Zarooriyat E Deen O Usooliyat E Deen Ko Samne Rakhna Chahti Hun...
Ye Nacheez Daur E Halaat Ko Madde Nazar Rakhte
Hue Iss Unwaan Ke Zariye Haqeeqat Par Se Parda Uthane Ki Khwahishmand Hai Ke ‘Ek
Aurat Ke Liye Deen O Emaan Ka Dil Me Hona Aur Usooliyaat E Deen Par Chalna Kitna
Zaroori Hai’ Aur ‘Aurat Ka Duniya Me Bheje Jeene Ka Asal Maqsad Kya Hai? Iss Par
Zor Dekar Aap Tamaam Ko Haqeeqat Se Rubaru Karwana Chahungi, Saat Hi Saat Khuda
Ka Shukr Hai Khatimain AHS O Syeddain Rz Ke Sadqe Me Aap Tamaam (Members
Of Mehdavia Times ) Ke Zariye Allah Ne Ye Mouqa Inayat Farmaya Hai Aur Allah Aap
Sab Ko Jazaye Khair Ata Kare.. Aameen.
Sabse Pehle Mai Aap Tamaam Ke Saamne Daur E
Halaat Ko Rakhna Chahungi Ke Aaj Kal Cent % Ladkiyan Aur Aurtein Ye Kehti Hain
Ki “Education Is Everything” Kehti
To Sahi Hain Magar Unka Matlab Ye Hota Hai Ki Ladki/Aurat Ke Liye
Education Jo (Duniyawi Ilm) Hai Wo Bohot Zaroori Hai. Aur Ma Sha Allah Aaj Kal
Bacchiyan Studies Me Unche Unche Moqaam Hasil Kar Rahi Hain, Lekin Education Degree
Hasil Karlena, Job Par Chale Jane Ka Naam Nahi Balke Rishte Sambhalne Ka
Naam Hai. Sabse Pehle To “Khuda Se Bande Ka Rishta” Phir Chalkar “Momin
Ka Rishta” Phir “Khaas Ghour Karein To Ek Sacche Mehdavi Hone Ka” Aur
Baaqi “Insaniyat Ka ” “Khooni Aur Jazbati Rishte” Waghaira Waghaira.
Kehne Ka Moqsad Ye Hai Ki Zamana Jo Samajhta Hai, Ki Ye Sahi Hai,
Haqeeqatan Wo Sahi Nahi Hota.
Mai Apne Unwaan Pe Aana Chahungi Ki, Jo Importance Ladkiyan/Aurtein
Duniyawi Talimaat Ko Deti Hain, Haqeeqat Me ‘Wo Ek Na Ek Din Bekaar Hi Jayegi’
Matlab Ye Ki ‘Duniya Ki Talimaat Duniya Ka Ilm Sirf Duniya Tak Hi Mehdood
Hai’ Magar Kya Koi Ye Jaan Paya Hai Ki Ek Ladki/Aurat Ka Duniya Me Bheje
Jane Ka Maqsad Kya Hai? Agar Jaan Bhi Gaye Hain To Kya Sachme! Kya Waqai Hum
Uspar Kaam Bhi Kar Rahe Hain? Ya Side Me Rakkhe Hue Hain Ki Baadme Dekhlenge?
Mai Ek Hi Baat Pe Baar Baar Zor De Rahi Hun Ki Duniyawi
Talimaat Itni Zaroori Nahi Ki Apni Poori Zindagi Ko Hum Usi Me Lagadein.
Han Mahol Aur Zamane Ke Aitebaar Se Ye Talim Bhi Zaroori Hai Lekin
Iss Had Tak Ke Hum Apne Bacchon Ko Thoda Bohot Basics Sikha Sakein,Aur Zaroorat
Ke Aitebaar Se General Maloomaat Hosake, Ye Baat Aur Hai Ki Ladki Ka Ya Aurat
Ka Job Pe Jana Majboori Hai,Magar Saat Hi Saat Deen Bhi Zaroori Hai. Studies
Kisi Ki Khwahish Bhi Hosakti Hai Kisi Ka Passion Bhi Magar Aisa Nahi Ke Deen Ko
Chod Kar Usi Me Lag Jayein, Dono
Cheezein Barabar Kar Rahe Hain To Baat Aur Hai,Aur Qabile Qubool Hai. Baqi Mera
Aqeeda Aur Mera Yahi Kehna Hai Ki Duniyawi Talimaat Ko Zyada Tarjeeh Dena Aisa
Hai Jaise Ke Heeron Ke Samne Hi Hote Hue, Kisi Khali Dibbe (Box) Ko
Tatolna, Ki Usme Kya Hosakta Hai?
Isi Tarha Agar Ladki/Aurat Samajh Sake To Apne Jeene Ka Asal
Maqsad Hi Khuda Ko Paa Lena Hai Jabke Raasta Samne Moujood Hai,Magar Afsos Ki
Ye Apne Aap Me Duniya Tatolne Me Lagi Hui Hai.
Ek Aurat Ka Education Ye Hai Ke Wo Apne Ghar Ko,Rishton Ko,Apne Farayez
Ko Deendaari Aur Emaandaari Se Sambhal Sake.
Aap Tamaam Ghour Karenge To Aap Hi Dekhenge Ki Ek Aurat/Ladki Ka Job Karna,Bacchon Ko
Sambhalna, Shouhar Ki- Walidain Ki Khidmath Karna,Sabse Pehle Khuda Se Sahi Rishta
Nibhana Ye Sab Ek Saat Theek Se Ho Payega? Koi Ek Kaam Bhi Sukoon O
Itminaan Se Nahi Ho Paata.
Jab Ek Ladki/Aurat Ghar Sambhalna Shuru Kardeti Hai To Wohi Uski
Asal Zindagi Hai. Mai Aapke Saamne Wo Haqeeqat Rakhna Chahungi Jo Hamari Zindagi
Ka Asal Moqsad Hai Aur Jo Humko Doqtar E Rasoolullah Sas,Khatoon E Jannat Hz
Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz Ne Sikhayi Hai Aur Farmaya Ke,
“Jo Shaks Aale Mohommed (SAS) Ki Mohobbath Me Mara Wo
Shaheed Mara, Aye Logon! Khuda Ka Khouf Dil Me Rakkho Aur Apne Har Amal Ki
Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Qaraar Do. Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai. Khuda Ke Azeem Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Shukr Ada Karna Zaroori Hai”.
Subhan Allah, Subhan Allah. Kya Taleem Dii Hai Bibi Ne, Zindagi Ke
Asal Maqsad Ko Hamare Saamne Zahir Kardiya, Ke Hamara Jeena Aur Hamara Marna
Dono Mohommed (Sas) Aur Aale Mohommed (Sas) Se Mohobbath
Karte Hue Hona Chahiye. Kya Moqaam Hai, Hamari Mout Ka!! Jab Wo Aale Mohommed
Ki Mohobbath Me Marein To Shaheed Ka Martaba Hasil Hai!.
Subhan Allah.... To Saaf Baat Hai Ki Kya Hum Use Chodkar Duniya Ki Moh
Maya Me Mashghool Hain?
Aur Bibi Ka Farmaan Hai Ki “Apne Dil Me Khuda Ka Khouf Rakkho Aur Apne
Har Amal Ki Buniyaad Taqwa Aur Parhezgaari Ko Rakkho” To Humko Khud Apni Apni Zindagi
Par Ghour O Fikr Karne Ki Zaroorat Hai,Ki Kya Hum Taqwa Sha’aar Hain? Kya Hum
Me Parhezgaari Hai? Aur Sachme Hum Khuda Ke Har Hukm Ke Mutabiq Kaam Kar Rahe
Hain? Aur “Duniya Se Munh Modkar Aakhirat Se Dil Lagana Hamari Pehchaan Hai”.
Iss Baat Par Bohot Zyada Tawajjo Ki Talib Hun Ke “Kya Duniyawi Degree
Hasil Karna Hi Duniya Se Munh Modna Hai?”Jo Ke Hum Kar Rahe Hain!
Har Koi Marne Se Darta Hai Aur Kehta Hai Ki Mujhe Aur Kamana Hai..
Aur Padhna Hai.. Aur Jeena Hai..Ye Haasil Karna Hai Wo Karna Hai Waghaira
Waghaira.. “Kyun Koi Ye Nahi Soch Rahe Ki Hashr Me Mujhe Khuda Ke Huzoor Pesh
Kiya Jayega, Mujhe Apne Amaal Ke Liye Pucha Jayega,Mai Kya Muh Dikhaoungi Ya
Dikhaounga Khuda Ke Huzoor!?
Kya Ye Duniyawi Degree Kaam Aayegi Wahan? Jiske Liye Hum Khuda Se
Dii Gayi Mohlat Ko Isko Paane Liye Bazl (Kharch/Spending) Kar Rahe Hain?, Jabke
Ye Mohlat Aakhirat Ki Taiyyari K Liye Hai.
Mera Kehne Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Duniyawi Talimaat Se Zyada
Badhkar Hii Usooliyat E Deen Hai. Iss Par Amal Karne Se Hi Aakhirat Me
Humko Najaat Milskati Hai.Ladki/Aurat Ke Dil Me Deen Ke, Emaan Ke Hone Se Kya
Hota Hai Mai Aapko Nabuwwat Se Lekar Aaj Ke Daur Tak Ki Choti Si Sair Karwati Hun,
Sabse Pehle,
- Ibrahim AHS Ke Biwi Hz
Bibi Hajran ‘Jab Ibrahim AHS Apni Aulad Ko Qurban Karne Chale The
To, Bibi Ne Khushi Se Apni Aulad Ko Khuda Ki Nazar Kardena Chaha Jabke Unko
Taweel Muddath Ke Baad Aulad Hui Thi.
- Hz Ayyub AHS Ke Bibi
Rahima Ne 13 Saal Tak Beemari Me Apne Shouhar Ka Saat Nahi Choda,Jab Ke Hz Ko
Sheher Se Bahar Kardiya Gaya Tha,Hatta Ke Bibi Ne Apne Adhe Baal Baech Diye,
Jabke Poore Sheher Me Unn Jaise Khoobsurat Baal Kisi Ke Na The Aur Usse Apne Shouhar
Ki Khidmath Ki
- Hz Shuaib AHS Ki
Betiyon Ne Apne Walid Ke Nabi Hone Ki Gawahi Di. Jabke Poori Qoum Unke Khilaf
Thi,Sirf Unki Betiyan Thi Jo Unpe Emaan Layi Aur Unka Kalma Padha.[Surah Al- Araaf]
- Hz Bibi Sumaiyya Jo Islam Ki
Pehli Shaheed Hain Jo Hz Ammaar Bin Yasir Ki Maa Thi, Jinhone Sabse Pehle Khuda
Ki Rah Me Shahadath Di Aur Ye Paigham Diya Ke Shahadath Se Hi Qoum Zinda Rehti
Hai,Islam Zinda Rehta Hai.
- Hz Bibi Mariyam Jo Hz Esa AHS
Ki Maa Thi, Jinki Gawahi Aur Unki Paak Daamani Ka Saboot Khud 4 Din Ke Chote
Bacche Ne Diya. Ke Mai Allah Ka Nabi Hun..[Surah Maryam].
- Bibi Asiya Firaoun Ki Biwi
Jinhone Hz Moosa AHS Ki Parwarish Ki Aur Apne Emaan Pe Marte Dam Tak
Baqi Rahi, Hatta Ke Firaoun Ne Unke Haat-Pairon Me Keelein Thok Dein.Magar Bibi
Ne Khuda Ki Wehdaniyat Ka Inkaar Na Kiya [ Surah Taha]
- Hz Ummul Momineen Bibi Khatijatul
Kubra Rz :“Jab Rasoolullah SAS Par Pehli Martaba Wahi
Nazil Hui To Aap Sas Ko Jaan Khoo Dene Ka Andeesha Hua To Aap Sas Ne Bibi Se Ye
Kaha, Tab Aap Rz Ne Unko Himmat Di Thi, Ke Aap Saqi Hain,Khuda Aur Uske Bandon
Se Shafaqat Rakhne Wale Hain To Allah
Aapke Inn Amaal Ko Raygan Nahi Jane Dega”
- Doqtar-e-Rasoolullah SAS, Laqte Jigar-e-Rasool SAS Khatoon-e-Jannat Hz Bibi Fatima-Tuz-Zehra Rz
Ne Apne Beton Ko Taleem Dii Ke Apne Nana Ki Talimaat Ko Pesh Karo, Deen Ki
Hifazat Karo, Chaho To Apna Sar Kata Do Magar Emaan Ko Na Chodo Aur Deen Ka Parcham
Buland Karo.
- Hamari Maa Zouja-e-Hz Imamuna
Mahdi Moud AHS,Ummul Musaddiqeen Hz Bibi Ilhadadi Salamullahi Alayha Jo 12 Saal
Jazbe Ki Halat Me Rahe Apne Shouhar Meeranji AHS Ki Khidmat Anjaam
Deti Rahi, Saari Raat Lota Liye Khadi Rahi Ke Jab Aap AHS Bedaar
Hojayein To Pani Dedun, Wo Bibi Jinse Hum Me Faiz E Wilayat Batne Laga.
- Hz Bibi Fatima - Dokhtar-e-Mehdi AHS , Zouja-e-Hz Bandagi Miyan Syed Khundmeer Rz Ka Miyan Ko Jihad Ke Liye Bhejna, Hujjat-e-Mehdi
AHS Ko Poora Karne Ke Liye Unki Dhaal Bane Rehna Unko Ye Kehna Ki
Jayiye Ab Aapka Apna Waada Poora Karne Ka Waqt Aagaya Hai Jaakar Sadaqat-e-Mehdi
Ko Pesh Kijiye, Hujjat-e-Mehdi Ko Poora Kijiye.
- Wo Rangrez Shohda Ki Maa Ki Tarbiyath Ke “Beta Chahe To Apna Sar Kata
Dena, Naam-e-Mehdi Par Apni Jaan Qurban Kardena Magar Apne Deen Se Aur Apne Aqeede
Se Hargiz Mat Palatna”.
Ye Hoti Hain Islam Ki Aurtein, Ye Hoti Hai Taleem, Ye Hota Hai Ilm, Ye
Hota Hai Emaan, Ye Hoti Hai Deendaari Jo Hamari Deen-e-Islam
Ki Aurton Ne Nibhayi Hai. Aur Ye Khususiyat Hamare Daire Ki Aurton Me Paai Jati
Hai.
Wo
Bibi Hajran Ka Tawakkul, Bibi Raheema Ka Sabr, Hz Shuaib AHS Ki
Betiyon Ka Emaan, Bibi Sumaiyya Ki Shahadat, Bibi Maryam Ki Paak Daamani, Bibi Aasiya
Ki Sabit Qadami, Bibi Khadija Tul Kubra Ki Rafaqat, Bibi Fatima-Tuz-Zehra Ki
Tarbiyath, Bibi Ilhadadi Ki Khidmath Unki Shafaqat, Bibi Ayesha Ki
Farmaanbardari O Emaandaari, Rangrez Shohda Ki Maa Ki Taleem.
Inn Tamaam Amaal Se Khullam Khulla Zahir Hai Ki Ek Deendaar Aurat Ki
Zindagi Aur Uska Maqsad Aur Uske Amaal Kya Hote Hain.
- Bilaakhir Ye Sab Ko Aapke Samne Rakhne Ka Yahi Maqsad Hai Ki Aurat
Apni Zindagi Me Rishton Ko Sambhale Yahi Uski Zindagi Ka Asal Moqsad Hai, Jaise.
- Khuda Se Sacchi Aur Sahi
Bandagi Kare, Khuda Aur Bande Ke Rishte Ko Samjhe.
- Mohommed SAS O Aale Mohommed
SAS Se Mohobbath Kare, Amal Saleh Kare, Ibadath O Tilawat Kare, Zikr
O Shukr Kare Jaise Ki Bibi Ka Qoul Hai “Khuda Ke Ehsanaat Ko Yaad Kar Ke Uska
Shukr Karo”,Har Museebat Me Sabr Kare
- Murshideen O Walidain Ki
Farmaanbardari Kare Unki Khidmath Kare Unke Hukm Ki Pabandi Kare.
- Shohar Ki Ita’at Kare, Har Haal
Me Uska Saat De Uski Izzat Kare, Usse Mohobbath Kare, Uske Hukm Ki Pabandi
Kare, Uska Aur Uski Sehat Ka Khayal Rakkhe. Aur Jaise Ke Qur’an E Shareef Me Allah
Ta’ala Ka Irshad Hai, ھُنَّ لِباَسٌ لَکُم وَاَنتُم لِباَسٌلَّھُنَّ۔ “Hunna Libasul-Lakum Wa Antum Libasul Lahunna” Tumhari Aurtein Tumhare Liye Tumhara Libaas Hain Aur Tum Unke
Poshaak. (To Uspar Amal Karsake).
- Bacchon Ko Taleem De, Unki Sahi
Tarbiyath Kare Unko Deen Ki Taraf Raghib Kare.
- Apni Zimmedariyon Ko Emaandaari
Se Sambhale Aur Har Mamile Me Khuda Ko Samne Rakh Kar Ke Apne Kaam Ko Shuru
Kare.
- Sabse Badhkar Apne Maqsad Ko
Jaane, Pehchaane Aur Khud Ko Deendaari Ke Daire Me Rakhte Hue Usooliyat E Deen Par
Chalte Hue Zindagi Basar Kare.
Ye Hoti Hai Ek Deendaar Aurat Ki Pehchaan. To Humko Sochne Ki
Zaroorat Hai Ke, Kya Ehmiyat Aur Zaroorat Hai Deen Ki Aur Usooliyaat E Deen Ki
Har Ladki/Aurat Ke Liye. Jaisa Ke Maine Upar Tamaam Bibiyon Ke Amaal Ko
Pesh Kiya Hai To Aapko Maloom Hai Ki Inn Tamaam Ka Kya Martaba Hai Deen-e-Islam
Me, Mehdaviath Me. To Haqeeqat Par Se Parda Uth Gaya Hai Ke Duniya
Ki Moh Maya Se Kuch Hasil Nahi Hota, Isko Tark Karke Hi Khuda Ko Hasil Kiya Ja Sakta Hai.
Jaise Hz Imamuna Mahdi Moud Ahs Ne Farmaya “Waraye Tark E Duniya
Emaan Neest” - Ke Tark E Duniya Ke Baghair Emaan
Nahi Milsakta. To Hum
Ladkiyon/Aurton Ko Chahiye Ki Duniyawi Taleemaat
Par Se Kuch Der Hi Sahi Nazar Hata Kar, Deen Ki Taraf Loutne Ka Sochein Aur
Apni Aakhirat Ke Liye Khud Ko Taiyyar Karein Aur Usooliyaat E Deen Ko Sahi Se
Samajh Kar Amal Karne Ki Koshish Karein...Allah Hidayat De.
Qur’an E Shareef
Me Irshad E Baarie Ta’ala Hai فَیُضِلُّ
اللہُ مَن یَّشآَءُ وَیَھدِی مَن یَشآَءُ۔ “Fa’yuzilullahu
Mai'n Yasha’u Wa Yahdi Mai’n Yashaa” -
Allah Jise Chahe Gumarah
Kardeta Hai Aur Jise Chahe Hidayath Deta Hai.
Aakhir Me Khudae Ta’ala Se Duago Hun Ke Aye Baarie Ta’ala Tujhe Khatimain
AHS O Syeddain Rz Ka Waasta, Bibiyon Ka Waasta Unke Sadqe Me Hamare
Dilon Se Duniya Ki Mohobbath Aur Duniya Ki Lazzaton Ko Door Karde Aur Hum Ko Emaan
Ki Salamati Ke Saat Usooliyaat-e-Deen Par Chalne Ki Toufeeq Ata Farma. Aameenn Summa
Aameen.
Wa Aaqirud’awana Anil Hamdi Lillahi Rabbul Alameen.
References:1. Aqwal E Zareen Hz Bibi
Fatima-Tuz-Zehra Rz.2. Al Qur’an [ Surah
Ibrahim]3. Al Qur’an [ Surah Al- Araaf]4. Al Qur’an [ Surah Maryam]5. Al Qur’an [ Surah Taha]6. Seerat E Hz Mohommed
Rasoolullah Sas.7. Seerat E Hz Imam E Hussain
Shaheed E Karbala Rz.8. Seerat E Imamuna Mahdi
Moud Ahs.9. Sawane Bandagi Miyan
Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz (Jung E Badr E Wilayath)10. Sawane Bandagi Miyan
Syed Khundmeer Siddiq E Wilayath Rz ( Shahadat E Rangrez Shohda)11. Al Qur’an [ Surah Baqarah
01: Ayah 187]12. Al Qur’an [Surah Ibrahim 14: Ayah 04]
Mazmun aur Mazmun Nigar ke Mutaluk: Tasviyath Mehdi d/o Janab Nabi Khan Saheb, Mureed of Shamsul Ulema,Mufassirul Qur’an, Jalalatul Ilm,Shireen Bayan,Allamatul Asr, Allama Hz. Syed Meeranji Abid Khundmiri Qibla Damathfuyuzuhum. Ahle Channapatna, Karnataka hain. Tasviyath ne PCMB me 12th paas kiya hai aur Mudarrisa ki haisiyath se gharpe bacchon ko tajweed ki taleem deti hai aur apni qidmat anjam derahi hain aur Qoum-e-Mehdavia ku khidmath anjaam dena chahati hai. Tasviyath ka maanna hai ke, apne Murshid Qibla ki talimaat se Allah sarfaraaz farmaya hai ke ye uske liye har degree se badhkar hai.
Ye Mazmun Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Muqabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka hissa hai. Ye Unwan Mukabile ke Roman Urdu Category me First Prize Hasil Kiya hai. Hum Tasviyath ki niyyat aur sapnon ku pura hune ki duwa karte hain, aur chahate hain ke Allah isku har qadam pe kamiyabi ata kare, aur uske maa, baap aur khas taur se murshid qibla ki ummeedon pe khari uthre. Aameen Summa Aameen. Is Mazmun Nawesi Muqabile ke nataij dekne ke liye is link par click kijiye->>>
Note: We will be publishing selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com .
Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com