Bandi Shukr Guzar Hai Us Paak Parwardigar
Ki Jisne Ye Dusra Mouqa Inayat Kiya Is Essay Competition Me Participation
Karneka. Aur Shukr Guzar Hu Team Mehdavia Times Ki Jo Mujh Jaise Kayin Mehdavi Students
Ki Housla Afzayi Karte Hai, Allah Paak Aap Ku Jazaa-e-Khair A'ta Kare. Isbaar Bandi
Aap Ke Samne Wo Essay Le Kar Moujood Hai Jiska Unwan Hamare Liye Paththar Ki
Lakir Hai Aur Usko Hamari Zindagani Se Jodna Hamari Rasayi Khuda Tak Karwa
Sakta Hai.
Unwan ka Maqsad:- Maqsad Ye Hai Ki
Ham Sab Zahiri Umoor Par Hi Nahi Balke Har Aitebaar Se Sachche Pakke Mahedvi Bane,
Aur Bandi Ka Ye Essay Mere Saath Saath Aap Sab Readers Ke Liye Bhi Kabil-e-Ghaur-o-Fikr
Bane.
Amma Baad, Irshaad-e-Baari Ta'aala,
اِنَّ اللّٰہَ
یُحِبُّ الۡمُتَّقِیۡنَ
وَ اعۡلَمُوۡۤا اَنَّ
اللّٰہَ مَعَ الۡمُتَّقِیۡنَ.
…..(1)
Is Tarah Digar Maqamat Par Allah Swt
Ne Quran Kareem Me Saaf Keh Diya Hai Ki "Allah Muttaqiyon Se Mohabbat Karta
Hai."
Ab Bandi Ka In Aayaaton Ko Yahan Pesh
Karne Ka Maqsad Samajhte Hai. Muttaqi Ke Ma'ane Hota Hai Taqwa Shiyar, Parhezgaar,
Ba-A'mal, Khuda Ka Khouf Khane Wale Bande.
Ab Parhezgaari Kya Hoti Hai? Jawab Ye Rakhti Hu Ki Wo Har A'mal Jisse Khuda
Naraz Ho Us Se Door Rehna, Khilaaf-e-Nafs A'mal Karna, Dusro Se Ziyada Khud Pe
Nazar Karna, Riyakari Se Bachna. For Example; Ramzan Ke Roze Hame Taqwa Sikhate
Hai, Khuda Ki Raah Me Zakaat Dena Ye Bhi Ek Parhezgaari Wala A'mal Hai, Isko
Mamooli A'mal Na Samjhiyega, Iske Bayis To Ishq-e-Khuda Jo Hamre Qalb Me Hai
Usme Izaafa Hota Hai, Aise Har Neik A'mal Bando Se Lekar Allah Apni Mohabbat Se
Hamare Qalb Ko Munawwar Karte Rehte Hai.
Maloom Ye Hota Hai Ki Jo Huqm-e-Khudawandi Aur Sunnat-e-Rasoolullah Saw. Par A'mal Paira Hai Wo Muttaqi Hai. Aur Muttaqi Apne Har Taqwiyat Wale A'mal Se Khuda Ki Mohabbat Ka Mustahiq Banta Hai. Alhamdu Lillahil A’zeem.
Ab Ham Taalimaat-e-Khalifatullah Mahedi Muradullah AS. Par Ghor Karte Hai. Jo Khuda Se Milane Wali Taalimaat Hai, (Zahoor-e-Mahdi AS. Ka Maqsad Hi Ummat-e-Mohammad SAW Ko Halaqat Se Bachana Aur Deedar-e-Khuda Ko Aam Karna Hai)
Sab Se Pehle Jante Hai 'What's The Meaning of Khalifatullah?’
"Khalifatullah Wo Hota Hai Jisse
Khuda Khud Mukhatib Hota Hai, Unpar Farishto Ke Zariye Nahi Balke Bilawasta Khuda
Unse Kalaam Farmata Hai" (2)
Subhan Allah!
Hamare Aaqa Meeran Sayyad Mohammad
Mahedi AS. Farmate Hai, "Ullimtu
Minallahi Bila Wastatin Jadidul Youm" (3) [Bande Ko Roz Bila Wasta
(Bagair Koi Jariye Ke) Allah SWT Se Taaza Taalim Haasil Hoti Hai] Alhamdu
Lillah!
Ye Hota Hai Khalifatullah Ka Maqaam! Zahir
Hai Jo Khalifatullah Ka Farman Hai Wo Allah SWT Ka Hi Farman Hai.
Ab Dekhte Hai Allah Ke Kya Farman Hai
Jo Ham Tak Khalifatullah Ke Jariye Aaye Hain. Briefly Yahan Par Rakhna
Chahungi;
Seerat-e-Khalifatullah Mahedi Muradullah AS Me
Padha Hai; Jab Hazrat Khizar AS. Wo Amaanat Jo Unhe Khatim-e-Nabuwwat
Sarwar-e-Doaalam Mohammad Mustafa SAW Se Mili Thi Use Mahedi AS
Ke Hawale Karte Hai, Jo Ke,
First Ek Taala Laga Hua Sandooq Jisme Ehkaam-e-Vilayat The.
Second Paskhurda-e-Khazoor (Dates) Tha.
Sandooq Me Zikre Khafi Ki Taalim Aur Ye Ehkaam-e-Vilayat Moujood The:-
- Tasdeeq-e-Mahedi AS Farz Ast
- Tark-e-Duniya
- Talab-e-Deedar-e-Khuda
- Uzlat-e-Az-Khalq
- Hama Waqt Zikr-e-Khuda Karna
- Tawakkul Tamaam Bar Zaat-e-Khuda
- Sohbat-e-Sadiqeen
- Inkaar-e-Mahedi AS Ko Kufr Janna
- Hijrat-e-Azwatan
- Ushur
- Noubat Jagna
- Saviyat (Allah Diya Jo Haasil Ho Use Sab Me Equal Hisse Me Taqseem Karna) ....... (4)
Ye Ehkamat Jinhen Farayiz-e-Vilayat Ke
Naam Se Bhi Yard Kiya Jaata Hai, Jo Dar Haqeeqat Khuda Ke Deedar Ke Khazano Ki
Chabiya (Keys) Hai,
Unwan Ke Talluq Se Mahedi AS.
Ke Kuch Farameen Pesh Karna Chahungi;
- Bande Ko Qubool Karna A'mal Saleh Karna Hai Wagarna Be A'mal Qubooliyat Mardood Hai. (A) (Ba A'mal Maqbool, Be A'mal Mardood)
- Mahedi AS. Ki Tasdeeq A'mal Se Hai, Na Ke Sirf Iqraar-o-Aiteqaad (Admit). (B)
- A'mal Karo, Be A'mal Agar Bande Ki Posst (Skin) Bhi Pahen Len To Hargiz Najaat Na Paayega Jab Tak Ki Bande Ki Taalimaat Par A'mal Na Ho. (C) …. (5)
In Farameen Ka Nichod Hai Ye Ek Farman,
TASDEEQ-e-BANDA A'MAL AST [Bande Ki Tasdeeq (Karna) A'mal (Karna) Hai.]
Wajeh Hua Ki Aaqa AS. Ki
Taalimaat Jo Ham Ehkaam-e-Vilayat Me Dekhe Hai Us Par Sakhtayi Se Ba Khushu-o-Khuzu
A'mal Karna Hi Ek Sachche Mahedavi Musaddiq / Musaddiqa Hona Hai.
Aaqa AS. Ne Jo A’mal Ast
Kaha Usse Sirf Ahekam-e-Vilayat Hi Nahi Balke Kitabullah Aur Itteba-e-Rasoolullah
SAW Bhi Muraad Hai. Kya Ham Is Par Waqeyi Me A'mal Paira Hai? Chaliye
Aaj Khud Se Sawal Karte Hai. Kya Ham Sahih Amount Me Ushar Nikalte Hai? Kya Do
Waqt Ka Zikr Karte Hai? Tarq-e-Duniya Sahih Umar (Age) Me Hosh-o-Hawaas Ke
Saath Karne Ka Irada Kiya Hai? Kya Hijrat Ke Jariye Tabligh-e-Mahedviat Ko Aam
Karne Ka Irada Kiya Hai? Allah Hu Akbar. Hamare Buzurgane Deen Ne Apni
Zindagiya Qurbaan Kar Di, Tosha-e-Vilayat Ki Hifazat Ke Waste Apno Se Kinara
Kash Ho Gaye, Allah Ko Paane Ki Talab Ne Unhein Deewana Kar Diya, Unke A'maal
Ne Unko Urooz Par Pahocha Diya. Ye Baatein Sirf Sun Ne Tak Mehdood Nahi Rehni
Chahiye Balke Hamein To Buzurgon Ko Ideal Maan Kar Chalna Chahiye Aur Ravish-e-Mahedi
AS Ko Zinda Rakhne Ko Hamara Maqsad Banana Chahiye.
Lekin !!! Bandi Ko Ye Kehte Hue Bahot
Afsos Ho Raha Hai Ki Aaj Ke Dour Me Aisa Nahi Raha, Walidain Ko Bachcho Ke
Future Ki Fikr Duniya Ke Aitebar Se Hoti Hai Na Ke Unke Imaan-o-Aquide Ki Hifazat
Ke Aitebar Se. Allah Hu Akbar! Mahdi AS Ne Kya Farmaya Aap Sab Bhi
Jante Hai Ki Jo Hamare Hai Wo Khuda Ko Dekhte Dikhate Marenge To Kya Ye
Silsila Khatam Ho Chuka Hai?? Astagfirullah. Agar Aisa Hai To Fir Hamne To Goya
Aankho Pe Patti Bandh Ke Haq Ko Na Dekhne Ki Thaan Rakhi Hai.
Kya Ham Hazrat Imamuna Mahedi AS.
Ki Jo Aakhri Waqt Me Batayi Baat Ko Bhul Gaye? Chaliye Aaj Fir Se Yaad Karte
Hai Kyuki Wo Isi Unwan Se Judi Hui Hai. Mukhtasar Andaz Me Pesh Karti Hu Ki Jab
Miyan Shah Naimat Farooq-e-Vilayat RZ Ke Rone Ki Awaz Ko Imamuna As Ne
Suna To Farmaya :- “Miyan Naimat Abhi Waqt Rone Ka Nahi Hai, Abhi To Banda
Tumme Moujood Hai, Jab Tak Bande Ki Rawish Par Chaloge Muddua-o-Maqsad Ko
Pesh-e-Nazar Rakhte Hue Bande Ke Sunaaye Ahekamat-e-Ilahi Par A'mal Karoge To
Samjho Ke Banda Tum Me Hai, Aur Rone Ka Waqt To Wo Hoga Jab Banda Tumme Nahi
Hoga (Yaani Jab A’mal Chut Jaega)” Allaah Allaah!!.
Ek Baat Yaad Aa Rahi Hai Ki Hazrat
Khwaja Hasan Basri RH Ko Kisi Ne Pucha Ki Kya Aap Ne Yaaran-e-Mustafa
SAW (Sahaba-e-Rasoolullah SAW) Dekha Hai? To Farmaya. ‘Haa’
Logo Ne Kaha Ki Yaaro Ka Haal Kaisa Tha? Jawab Diya Ki “Agar Tum Ko Yaran-e-Mustafa
SAW Dekhe To Tumko Kaafir Kahe Aur Tum Yaran-E-Mustafa Saw Ko Dekho
To Tum Unko Deewana Kaho”..(6) To Is
Dour Me Hamein Yaaran-e-Mahedi AS. Dekhe To Kya Kahenge? Isbaat Par
Lamha Ghor-o-Fikr Kijiyega.
So Change Is Required, Fine! phir Aaj Wada Karte Hai Apne Aap Se Ki Deedar Khuda Ki Talab Aur Ba-A’mal Hone Ko Ham Apna Odhna Bichona Bana Lenge. (Allah Hame Kamiyabi De.)
Ab Ham Ek Step Aage Badhte Hai, Jaise Tasdeeq-e-Mahedi AS Ke Liye Jaise A'mal Saleh Zaroori Hai Waise A'mal Bhi Tab Qabil-e-Qubool Hota Hai Jab Niyyat Saaf Ho.
Sahih Bukhari Sharif Ki Pehli Hi Hadees
Hai Ki,
Rasoolullah SAW ne Farmaya:-
"A'mal Ka Dar-o-Madar Niyyat Par Hai." ..(7)
Bandi Ne Ek Ek Baat Kuch Na Kuch
Maqsad Ke Saath Pesh Ki Hai. Chaliye Is Hadees Ka Yahan Hone Ka Maqsad Samjhte
Hai. Tasdeeq Tab Sahih Hogi Jab A'mal Hoga, Aur A'mal Tab
Sahih Hoga Jab Niyyat Paak Hogi. Yahan Niyyat Me Khot Se Muraad Riyakaari
Hai. (Riyakaari-Dikhawa, Show Off). Riyakaari Wo Gunaah Hai Jiska Root Shirk Kehlaata
Hai. Kyuki Insan Dusre Insan Ko Dikhane (Gairullah Ke Liye) A'mal Karta Hai To
Kya Youm-e-Hashr Insan Insan Ko A'mal Ka Sawab Dega ? Ya Allah SWT Denge?
Nauzubillah. Khud Pe Kitna Bada Zulm Hai Riyakaari. Aaj To Ye Fitna Itna Aam Ho
Chuka Hai Social Sites Ke Zariye Logo Ko Yahi Padi Hai Ki Duniya Wale Jaane Bas
Ki Me Kitna Deendaar Hu Mere Status, Posts, DP’s Wagaira Achche Achche Ho. Halan
Ke Insaan Khud Janne Ki Koshish Hi Nahi Karta Ki Wo Kitne Paani Me Hai. Bandi Cell
Phones Ke Khilaaf Nahi Hai, Social Sites Ke Khilaaf Nahi Hai Lekin Uska Sahih
Se Use Kare To Koi Baat Bane. Bas Kehne Ka Maqsad Ye Hai Ki Bagair Ilm Ke Ye
Nahi Dikhana Hai Ki I Have Something / Almost Everything. Ek Kahawat Hai Na 'Empty Vessels Make The
Most Noise.' Yaad Rakhe Hame Is Slogan Ka Example Nahi Banna Hai.
·
Ab
Riyakaari Se Kaise Bache Aur Apne A'mal Ko Kaise Paak Kiya Jaaye ? Taaki Hamari
Tasdeeq Se Waqeyi Hamari Haqqaniyat Jhalke.
ü To Iska Ek Ilaaj Ye Hai Ki Allah Swt.
Ko Har Waqt Haazir-o-Nazir Janna. Dekhiye Allah SWT Ke 99 Names (Asma
Ul Husna) Me Se Ek Naam Ash-Shaheed Bhi Hai. Jiska Matlab Hota Hai Wo
Zaat Jo Haazir-o-Nazir Hai (Shahid - The Witness). Jab Hamein Ye Naam Yaad Reh Jaaye
Aur Baar Baar Yaad Aata Rahe To Ye Insaan Me Do Tarah Ke Ehsaas Paida Karta Hai
o
Ek
To Khusi Dilaata Hai Us Waqt Jab Banda-e-Momin Achcha Kaam Kar Raha Hota Hai Ki
Haan Mujhe Mera Allah Dekh Raha Hai Aur Sukoon Milta Hai.
o
Dusra
Ehsaas Ki Khouf Taari Karta Hai Jaise Ki Ham Koi Gunaah Kar Rahe Hai To Uswaqt Allah
SWT Ki Ye Sifat Hamein Yaad Aa Jaye To Shayad Ham Bach Jaye Gunah
Se. Ki Nahi Koi Bhale Hi Nahi Dekh Raha Lekin Mera Allah Yahan Moujood Hai Aur
Mujhe Dekh Raha Hai, Youm-e- Hashr Ye Gunaah Mere Liye Ruswaayi Ka Sabab Ban
Sakta Hai. Ye Sonch Kar Ham Gunaah Se Baaz Aa Sakte Hai.
Lekin Is Case Ke Liye Ek Shart Hai Ki
Insaan Khud Se Sach Bole. Gunaah Hai To Use Gunaah Hi Samjhe. Phir Aisa Nahi Ki
Chalo Koi Ni Isme Kya? Ye To Mamooli Baat Hai, Sab Kar Lete Hai. Nahi, Hargiz
Nahi, Yahan Par Bandi Ko Hazrat Peer-o-Murshid Faqeer Sayyad Khundmeer Mehdvi Sahab
Ki Ek Taqreer Me Mohtaram Hazrat Ne Jo Baat Batayi Thi Wo Yaad Aa Rahi Hai Jo
Kabil-e-Ghor Hai. Unka Sentence Ye Tha Ki Gunaah Bhi Gunaah Nazar Nahi Aata,
Isse Badi Jhahiliyat Aur Isse Badi Bad Naseebi Aur Kya Ho Sakti Hai? Allaah
Hu Akbar.!
Yaa Allah! Tu Hi Hai Jo Apne Bando Ke
Dilon Ko Pher Sakta Hai. Aur Unse A’mal-e-Saleh Le Sakta Hai. Rasool-e-Akram SAW.
Baar Baar Ye Dua Kiya Karte Ya Muqallibal Quloob! Sabbit Qalbi Ala Deenika Aur
Iske Addition Me Ye Dua Bhi Padhte Ya Musarriful Quloob! Sarrif Qalbi Ala
Ta'atika. (Yaani Aye Dilon Ko Pherne
Wale, Mere Dil Ko Apne Deen Par Sabit Qadam Rakh Aur Use Apni Ita'at Karne Wala
Bana De. Aameen)
Allah Se Dua Hai Wo Hamein Saaleh A'mal
Karne Ki Taufiq A’ta Kare Aur Hamari Niyyaton Ko Paak Kare Aur Haqeeqat Me Musaddiq-e-Mahedi
AS. Banaye.
Subhanaka Allahumma Wa Bihamdika Wa
Ashhadu Anlã Ilaha Illa Anta Wa Astagfiruka Wa A'tubu Ilayh.
Jazaak Allah Hu Khair!
References:-
- 1) Al Quran (09:07) , (09:36)
- 2) Al Aqaid, Hissa Awwat Safha No. 7
- 3) Naqliyat E Hz. Bandagimiyan Abdurrshid, 09
- 4) Sirat E Imamuna Mahedi As. , Safa No. 10 Ta 12
- 5) A)Hashiya Insafnama, N.213
- B) Naqliyat, Miyan Abdurrshid, N. 193
- C) Naqliyat, Miyan Abdurrashid, N. 238
- 6) Insafnama(Matan Shareef)N. 129
- 7)Sahih Bukhari H.01
Masha Allah subhan Allah behen, many more congratulations to you keep going, very beautifully you have explained it... May Allah accept from you and may Allah grant you with eternal success.. Much more to read you and many more to do with you.. Jazak Allahu khairan kaseera
ReplyDeleteAameen Summa aameen
ReplyDeleteMashAllah Subhan allah...bahot khub
ReplyDeleteAaj mujhe itmenaan hua ke Mehdaviyat ki taalimaat ko ek graduate student samajh paa raha hae
ReplyDeletewarna college ki sidhiyan chadne wale students Mehdaviyat se aksar door nazar aate haen
Aaj kal phir zaruri ho gaya hae ke har naujawan ladka aur ladki Mehdaviyat ki talimat hasil karen
Bahot hi knowledgeble article hae.
Good going.
Ek ache suljhe hue Mehdavi ka qalam nazar ata hae.ek aam Mehdavi is tarah se thos subut aur dalil pesh nahi kar sakta.
Bahot bahot mubarak ho.
Masha alllah
ReplyDeleteMay Allah peace upon you and your family
Mashallh bahot khob
ReplyDeleteMashallah!!
ReplyDeleteAllah aap ko aur taraqi de
aur khuda talah mehdavia times ki ye khidamat zaari wo saari rakhe
aur unhe is ka behtar ajar de
Rabbul alameen se fua hai ke Malik in tamam khidmat ko qubool farmaye...
Ameen