Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Saturday, June 12, 2021

Murshid kya hai? Kya baiyyat zaroori hai? - Az- Tasviyath Mehdi

Aouzu Billahi Minash-Shaita Nerrajeem,

Bismillah Hirrahma Nirraheem

Ye Topic Isliye Ki Chand Logon ko Murshid Aur Baiyyat Ye Dono Cheezein Ahem Nahi Lagti Aaj Kal,Kehte Hain Ki Kya Zaroorat Hai Murshid Ki? Jab Hamare Liye Bas Allah Kafi Hai, To Isliye, Asal Haqeeqat Tamaam Ke Saamne Rakhna Maqsad Hai Mera, Aur Basics Needs Ke Saat Logon Ki Ankhon Par Se Parda Hatane Ki Koshish Karungi. Alhamdulillah Ye 5th Year Hai Murshid Qibla Ke Haat Par Baiyyat Kiye, Khuda Ka Ehsaan Hai Bandi Duniyawi Padayi To Nahi Karti Degree To Nahi Hai Magar Mere Murshid Qibla Ki Talimaat Se Allah Ne Sarfaraaz Farrmaya Hai Ye Mere Liye Har Degree Se Badhkar Hai,Bandi Gharpe Bacchon Ko Tajweed Ki Taleem Deti Aayi Hai. Mera Hamesha Se Ye Intension Raha Hai Ki Mai Khud Amal Saleh Karun Aur Qoum-e-Mehdavia Ki Khidmath Anjaam Desakun.

Assalamu Alaykum Warahmathaullahi Wabarakatuhu...

Sabse Pehle Allah Subhan Wata’ala Ka Shukr Baja Laati Hun Ke Allah Ne Humko Apni Aqeedath Zahir Karne Ka Mouqa Inayat Farmaya Hai Aur Mai Aap Hazraat Ka Aur Poori  Mehdavia Times Team Ka Bhi Shukr Ada Karti Hun Ke Aap Ne Iss Nazuk Mod Par Aaj Ki Awaam Ko Ye Mouqa Diya Hai Ki Tamaam Apni Aqeedath Aur Apne Khayal Ko Zahir Karsakein Aur Aapki Ye Qidmath Qabil-e-Tareef Hai, Allah Qubool Kare Aur Jazaye Khair Ata Kare... Aameen

Bandi Ne Iss Unwaan (Murshid Kya Hai ? Aur Kya Baiyyath Zaroori Hai? ) Par Apni Aqeedath Ko Zahir Karte Hue,Usko Qalamband Karne Ki Koshish Ki Hai Ghour Farrmayein...

Murshid Ki Zaat Se Mutalluq Chand Ash’aar Ke Saat Apne Iss Tehreeri Mazmoon Ko Shuru Karna Chahungi Ke,

“Bin Murshid Itminaan Nahi,

Bin Murshid Sukoon-e-Jaan Nahi,

Bin Murshid Aqeede Ki Pehchaan Nahi,

Bin Murshid Apni Pehchaan Nahi,

Bin Murshid Mehdi Ka Faizan Nahi

Aur Sabse Badhkar..

Bin Murshid Barabar Emaan Nahi”

Bandi Ki Aqeedath Kuch Yun Hai..

1. Murshid Wo Kaamil Hasti Hai Jo Deen-o-Duniya Dono Me Hamari Rehbari Karti Hai.

2. Murshid Wo Ustaad Hai Jo Har Ek Bacche Ko Taleem-o-Tarbiyath Deta Hai. Jaise Ke Aap Aur Hum Jante Hain Ke Paida Hote Hi Bacche Ke Kaan Me Azan Aur Iqamat Dekar Usko Usi Waqt Se Deen Ki Taraf Mutawajjo Karte Hain. Ab Rahi Baat Azan Aur Iqamat Ki To Koi Bhi Desakta Hai Lekin Hum Iss Amal-e-Farz Ko Murshid Se Isliye Karwate Hain Ki Murshid Ek Aisi Hasti Hoti Hai Jo Taqwa Sha’aar,Tarik-e-Duniya Aur Allah Wali Hoti Hai. Jiske Dil Me Duniya Ki Mohobbath Na Rehte Hue Qalis Khuda Ki Zaat Paai Jati Hai,Jisse Bacche Par Qalis Khuda Parasti Ka Asar Hosake.

3. Murshid Wo Taqwa Sha’aar Hasti Hai Jiske Pass Khuda Aur Buzurgan-e-Deen Ka Faiz Moujood Hai. Jaise Ke Qur’an-e-Shareef Me Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai,

اِنَّ الَّزِینَ یُبَایُعُونَکَ اِنَّماَ یُباَیِعُونَ اللّٰہَ۔ یَدُ اللّٰہَ فَوقاَ عَیدِیھِم۔

Innal-Lazeena Yuba-Yunaka Innama Yuba-Yoonallaha.Yadullaha Fauqa Aydihim.” [Surah Al-Fath 48 Ayah 10]

Unn Logon Ke Haat Par Allah Ka Haat Hai. Unn Logon Se Muraad Baiyyat Karne Walon Se Hai. Aap Iss Ayat Par Ghour Karein To Aapko Maloom Hoga Ke Khudae Ta’ala Ne Yahan Murshid Ke Moqaam Ko Bhi Bataya Hai,Kehne Ka Matlab Ye Ki Mureed Jab Apne Haat Ko Murshid Ke Haat Me Dedeta Hai To Allah Ka Farmaan Hai Ke Wo Allah Ka Haat Hai,Subhan Allah...

Kya Moqaam Hai Baiyyat Aur Murshid Ka Ke Hum Apne Aap Ko Allah Ke Hawale Kardete Hain,Aur Allah Tak Pahunchane Wali Zaat Hi Murshid Ki Hasti Hai Ye Saaf Maloom Hogaya Hai. “Goya Murshid Ka Haat Allah Ka Haat Hai”.

4. Murshid Wo Hasti Hai Jo Hame Deen-o-Duniya Dono Me Zindagi Basar Karna Sikhati Hai, Murshid Ki Hasti Kyun Zaroori Hai? Baiyyat Kyun Zaroori Hai? Mai Aapko Ek Riwayat Ke Zariye Waashkaaf Andaaz Me Batana Chahungi Ke [Muslim,Abu Dawood,Nasai] Me Riwayat Hai Ke Hz Aouf Bin Malik Aashji Rh Farmate Hain Ke Hz Rasoolullah Ke Saat Ek Martaba Baithe Hue The To Rasoolullah Ne Pucha Ki Kya Tum Log Rasoolullah Se Baiyyat Nahi Karoge? To Aap (Rh) Aur Tamaam Sahaba Ne Pucha Ke Kin Umoor Par Aapki Baiyyat Barein Yaa Rasoolullah (Saw)? To Aap (Saw) Ne Irshad Farmaya “Inn Umoor Par Ke Tum Ek Allah Ki Ibadath Karo Usko Kisi Ke Saat Shareek Mat Karo,Panj Waqta Namaz Padho (Ahkaam) Suno Aur Unko Tasleem Karo” Iss Riwayat Se Humko Ye Bhi Maloom Hota Hai Ki Murshid Se BaiyyathHi Wo Cheez Hai Jo Hame Sirat-e-Mustaqeem Par Sabit Qadam Rakhti Hai. Ghour Karne Ki Baat Hai Tamaam Sahaba Huzoor Ke Saat Ibadath Me Rehne Wale The,Sobbat Me Aqa Ki Rehne Wale The Phir Bhi Huzoor Ne Baiyyat Ki Takeed Ki, Yahan Rasoolullah Ne Ummat Ko Sikhana Tha Ki Murshid Ke Haat Par Baiyyath Karna Zaroori Hai.. Aur Ek Jagah Qur’an Me Khudae Ta'ala Ka Irshaad Hai,

لَقَد رَضِ اللّٰہُ عَنَ المُومِنِینَ اِذ یُباَیَعُونَکَ تَحتَ الشَّجَرَتَہ۔

Laqad Raziallahu Annal Momineena Iz Yuba-Yunaka Tahtash-Shajarah” [Surah Al Fatah 48 Ayah 18]

   - Tehqeeq Allah Ta’ala Inn Momino Se Khush Hua Jabke Ye Log AapSe Daraqt Ke Niche Baiyyat Karte The.

To Maloom Ye Hua Ki Baiyyat Allah Ko Kitni Pasand Aai Thi Ke Allah Unse Raazi Hogaya. Hamara Baiyyat Karne Ka Maqsad Bhi Allah Ko Raazi Karna Hai.

Fatwae Razviya Me Maine Padha Hai Ke..

Jiska Koi Peer Nahi Hota,

Uska Peer Shaitan Hota Hai.

Phir Kuun Kar Baiyyat Zaroori Nahi?

Kya Kisi Murshid Ke  Haat Pe Baiyyat Naa Hokar Shaitan Ke Mureed Bane Rahenge?

Baiyyat Kya Hai?

·   Shariyat Ki Kisi Baat Ke Liye Logon Se Ahed Liya Jaata Hai Ke Wo Iss Kaam Ko Anjaam Denge,Khwah Poori Shariyat Ka Ahed Liya Jaye Ya Kisi Baat Ka Usko Baiyyat Kehte Hain.

Baiyyat Ke Taluq Se Ek Aur Hadees Aapke Samne Rakhna  Chahungi Ki Bukhari Shareef Me Riwayat Hai Ki,

باَیَعتُ رَسُولَ اللّٰہِ صَلّٰی اللّٰہُ عَلَیہِ وَسَلّمَ عَلَ إِقاَمِالصَّلاَتہِ وَإِیتاَ ازَّکاَتِہ وَانُّصِحِ لِکُلِّ مُسلِمٍ۔

·      Hz Jarir Bin Abdullah Farmate Hain Ke Maine Rasoolullah ﷺ Ke Dast-e-Mubarak Par Namaz Qayim Karne, Zakaat Dene Aur Har Musalmaan Ke Saat Khair Khwahi Karne Par Baiyyat Ki..

Baiyyat Kayii Tarha Ki Ahed Ka Naam Hai Jaise: Jihad,Hijrat Aur Kuch Khaas Umoor Ka Ahed Karna... Aam Taur Par Baiyyat Ke Maani Khareed-o-Firoqt Karne Ke Hote Hain,Aur Hum Jab Baiyyat Karte Hain Kisi Murshid-e-Kaamil Ke Haat Par To Hum Ye Ahed Lete Hain Hum Apne Aap Ko Allah Ke Hawale Karte Hain Ke Hum Apne Aapko Allah Ko Firoqt Kardete Hain, Yani Apni Zaat Ko Allah Ke Huzoor Bech Dete Hain,

Khudae Ta’ala Ka Saaf Taur Par Irshaad Hai,

اِنَّ اللّٰہَ اشتَرٰی مِنَ المُؤمِنِینَ اَنفُسَھُم وَاَموَالَھُم بِاَنَّ لَھُم اجَنّتہ۔

Innallahash Tara Minal Momineena An’fusahum Wa-Amwalahum Bi-Anna Lahum Jannah” [Surah Tawbah 09 Ayah 111]

·       Allah Ne Momino Se Unki Jaanein Aur Unke Maal Khareed Liye Hain Iss Qeemat Par Ke Inhe Jannat Dii Jayegi

·         Aur Ek Hadees Aapke Samne Rakhti Chalun Ke, Hz Soban Rz Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sas Ne Farmaya,

·         فبایعوہ ولو حبوا علی الثلج فانہ خلیفۃ اللّٰہ المھدی۔

Yaani Pass Uski Baiyyat Karo Agarche Tum Ko Barf Par Se Rengna Pade. Isliye Ke Wo Allah Ka Khalifa Mahdi Hai.

[Muqaddamae Moulood Shareef (Zamanae Zahoor e Mahdi. Pg.No : 90]

To Baiyyat Nabuwat Ke Daur Se Hai Aur Rasoolullah Sas Ka Amal Hai Aur Iss Riwayat Se,Hadees Se Ye Sabit Hai Ki Baiyyat Kitni Zaroori Hai.Ek Masoom Anil Khata Dusre Masoom Anil Khata,Jo Ki Aap Sas Ke Humsar Hain, Unke Taluq Se Ye Hukm Hai..Ye Koi Naya Amal Nahiq Laaya Gaya Hai Jo Koi Aiteraaz Karsake.

5. Mere Murshid Mere Liye “Huwwal Awwal wa huwwal Aakhar” Hain. Nacheez Ki Aqeedath Yahi Hai Ke Murshid Hamare Liye Sabse Awwal Hain Aur Wahi Sabse Aakhar Bhi..

Iska Matlab Ye Hai Ki Ek Wahi Hasti Hai Jo Humko Khuda Tak Pahunchane Wali Hai,Wo Ek Pul (Bridge) Hai, Seedi (Ladder) Hai, Jo Hame Khuda Ke Pass Lejati Hai. Jaise Ke Aap Jante Hain,Ki Ek Kahin Unche Moqaam Ko Pahunchne Ke Liye Ek Zariya Chahiye Hota Hai Jiske Zariye Aap Uss Moqaam Tak Pahunchte Hain,Waise Hi Khuda Azwajal Ki Zaat Ko To jlJante Hi Hain Wo Ek Hi Wahid Zaat Hai, Ek Hi Hasti Hai, Jo Saari Kayenaat Ka Malik Hai, Tamaam Aalamon Ka Palne Wala Hai.Aur Uss Tak Pahunchne Ke Liye Aapko Waaste Aur Waseele Ki Zaroorat Darpesh Hai, Wahi Waasta Aur Waseela, Murshid Ki Hasti Hai. Jo Ke Aapko Khuda Tak Pahunchne Ka Zariya Hai Murshid Wo Zaat Hai Jiske Baghair Huumko Emaan Nahi Milsakta,Jaise Ke Maine Shuru’aat Me Ash’aar Pesh Kiye Hain..

Qur’an-e-Shareef Me Allah Ta’ala Farmata hai,

یَااَیُّھَا الَّزِینَ آمَنُو اتَّقُوا اللّٰہٰ وَابتَغُوالَیہِ الوَسِیلَتُہ وَجَاھَدُوا فِی سَبِیلِہِ لَعَلَکُم تُفلِحُونَ۔

Yaa Ayyuhal-Lazeena Aamanu-Taqullaha Wabtaghu Ilayhil Waseelatu Wajaa-Hadu Fee Sabeelihi La-Allakum Tuflihoon” [Surah Al Mayedah 05 Ayah 53]

-  Aye Emaan Walon Allah Se Daro Aur Uss Ki Taraf Jaane Ka Waseela Dhundo Aur Allah Ki Raah Me Jihad Karo,Ummeed Ke Tum Kamiyab Hojaoge.

6. Murshid Hamare Ruhani Baap Hain, Murshid Allah Ki Ata Karda Wo Nemat Hain Jo Humko Ghalat Raah Se Bacha Kar,Sukoon,Itminaan Aur Sahuliyat Ke Saat Raahe KhudavMe Lejate Hain Aur Uss Raah Me Touheed,Haqeeqat,Tareeqat,Marifat, Sadaqat, Aqeedath Aur Sabse Pehle Bandagi Se Rubaru Karate Hain.

·   Murshid wo Hain Jo Rasoolullah Sas Ki Ita’at Se Lekar Mahdi Moud Ahs Ki Tasdeeq Karna Sikhate Hain Aur Hamare Emaan Ko Hamesha Sarahte (Sanwaarte) Hain. Hum Me Ishq-e-Khuda,Ishq-e-Khatimain Ahs, Aur Ishq-e-Buzargane Deen Ki Chingaari Paida Karte Hain.

·  Murshid Wo Hasti Hai Jo Duniya Ko Hamare Dil Se Nikal Kar Qalis Khuda Ki Zaat Ko Hamare Dilon Me Samoti Hai, Ba-Shart Ye Ke Mureed Ko Uski Talab Ho.

Kya Khoob Kaha Gai Kisi Ne “Ek Saccha Mureed Jhoote Peer Se Sab Kuch Paa Leta Hai,Magar Ek Jhoota Mureed Sacche Peer Se Bhi Kuch Hasil Nahi Karsakta”

Matlab Ye Ki Mureed Ke Andar Sacchi Talab Ka Hona Zaroori Hai,To Khuda Faiz Ata Kardeta Hai.

·  Murshid Wo Jo Hum Jaise Nacheez Adna Se Sholon Ko Ishq Ki Aag Me Hawa Dekar Humko Kundan Banate Hain

·  Murshid Wo Hai Jo Na Sirf Duniya Me Balke Aakhirat Me Bhi Kaam Aane Wali Hasti Hoti Hai, Unke HaHaaSe Mili Musht-e-Khaak Bhi Aakhirat Me Najaat Dilane Wali Hoti Hai..

7. Ab Mai Ek Waqiya Aapko Yaad Dilana Chahungi Jo Maine Apne Murshid Afzalul-Ulema Syed Taseen Agha Arshi Khundmiri Sahab Qibla Ki Zubani Suna Hai Aur Uska Zikr Seerat-e-Bandagi Miyan Syed Khundmeer Siddiq-e-Wilayath Haamile Baare Amanath Syeddush Shohda Rz Me Moujood Hai.. ‘Ek Roz Hz Bandagi Miyan Rz Sahaba Ke Saat Baithe Hue The,Tab Aap Rz Ne Zameen Par Pade Hue Kankar Ko Uthaya Aur Unn Se Pucha Ke Batao Bhaiyon Ye Kya Hai To Tamaam Sahaba Ne Kaha Ye Kankar Hai To Aap Rz Ne Kaha Ke Agar Mai Kahun Ki Iss Kankar Ko Mahdi Ahs Ne Jauhar Kaha Hai To Batao Tum Kya Kahoge? To Sahaba Ne Farmaya Ki Agar Mahdi Ahs Ne Iss Kankar Ko Jauhar Kaha Hai To Hum Usko Jauhar Kahenge Kabhi Kankar Nahi Kahenge... Subhan Allah Subhan Allah Kya Amal Hai, Kya Aqeedath Hai, Kya Adab Hai Murshid Ka.. Sahaba Ke Iss Amal Se Humko Ye Samajhne Ki Zaroorat Hai Ki Murshid Ki Pairwi Me Hi Asal Bandagi Hai, Dar Haqeeqat Sacche Mureed Ki Yahi Nishani Hai Ke Apne Murshid Ke Har HukmHPar Aamanna Wasaddaqana Kahe Aur Uspar Amal Karta Hua Apni Tamaam Umr Basar Kare.. “Murshid Ka Har Hukm Wo Farmaan, khuda Ka Hukm Wo Farmaan Hai”.

Alhamdulillah Summa Alhamdulillah Ke Allah Ne Nacheez Ko Hz Meeranji Abid Khundmiri Qibla Ki Mureed Hone Ka Sharf Bakhsha Hai.. Aur Mai Mere Murshid Qibla Ki Shukr Guzaar Hun Ki Unki Jootiyon Ki Dhool Ke Sadqe Hi Nacheez Ki Zindagi Hai..Unki Nazre Karam Se Hi Isko Faiz Hasil Hai,In Sha Allah.. Khuda Se Ummeed Hai Ye Silsila Taa qayamath Salamath Rahega.

  Apne Murshid ki Mohobbath Me Chand Ash’aar Ko Pesh Karte Hue Apne Iss Mazmoon Ko Iqtetaam Par Pahunchana Chahti Hun,

·   Hai Emaan Mera Shariyat Hain Murshid,Sarapa Khuda Ki Mohobbath Hain Murshid.

·   Zamana Badle Bhala Rang Apna Aqeedath Ki Meri Zamanath Hain Murshid.

·   Hai Paighaam Tasviyath Ka Jahan Ko,Mujhe Deen-o-Duniya Ki Daulat Hain Murshid.

Aakhir Me Khudae Ta’ala Se Duago Hun Ke

Qudoome Murshid-e-Aala Ki Khaak Hojoun,

Mai Iss Bahane Do Alam Me Paak Hojaoun”.

Allah Khatimain Ah Wo Syeddain Rz Ke Sadqe Aur Murshid Ke Tufail Me Hum Ko Murshid Ke Farmaanbardaar Mureed Bane Rehne Ki, Aur Unki Talimaat Par Amal Paira Rehne Ki Toufeeq Ata Farmaye Jo Ki Asal Khuda Se Farmaanbardari Hogi..

Aameen Summa Aameen.

Wa Aaqirud’awana Anil’hamdu Lillahi Rabbul Aalameen.

Mere Murshid Ki Mohobbath Me Jo Hz Yousuf Miyan Mehdavi Sahab Rasiq Ne Ash'aar Likkhe Hain Usko Pur Aqeedath Padhne Ki Nacheez Ne Koshish Ki Hai Samat Farmayiyega.

References:

References:

1.      Al Qur’an [48:10] (Surah Al-Fath Ayah 10)

2.      Muslim, Abu Dawood, Nasai.

3.      Aapki baat Allama Abid Khundmiri ke saat [ Question no 20, Page no: 30 Volume 1]

4.      Al Qur’an [48:18] (Surah Al-Fath Ayah 18)

5.      Al Qur’an [09:111] (Surah Tawbah Ayah 111)

6.      Seerat e Hz Bandagi Miyan Syed Khundmeer siddiq e wilayath haamile baare Amanath syeddush shohda Rz

7.      Hadees e Sahih Bukhari #524

8.      Fatwae Razviya (vol.No: 12 Pg No: 199)

9.      Muqaddamae Moulood shareef (zamanae zahoor e Mahdi. Pg.No:90)

10.  Al Qur’an [05:53] (Surah Mayedah Ayah 53)

Mazmun aur Mazmun Nigar ke Mutaluk: Tasviyath Mehdi d/o Janab Nabi Khan Saheb, Mureed of Shamsul Ulema,Mufassirul Qur’an, Jalalatul Ilm,Shireen Bayan,Allamatul Asr, Allama Hz. Syed Meeranji Abid Khundmiri Qibla Damathfuyuzuhum. Ahle Channapatna, Karnataka hain. Tasviyath ne PCMB me 12th paas kiya hai aur Mudarrisa ki haisiyath se gharpe bacchon ko tajweed ki taleem deti hai aur apni qidmat anjam derahi hain aur Qoum-e-Mehdavia ku khidmath anjaam dena chahati hai. Tasviyath ka maanna hai ke, anpe Murshid Qibla ki talimaat se Allah sarfaraaz farmaya hai ke ye uske liye har degree se badhkar hai.  

Ye Mazmun Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Muqabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka hissa hai. Ye Unwan Mukabile ke Roman Urdu Category ka ek Umda mazmun hai. 

Hum Tasviyath ki niyyat aur sapnon ku pura hune ki duwa karte hain, aur chahate hain ke Allah isku har qadam pe kamiyabi ata kare, aur uske maa, baap aur khas taur se murshid qibla ki ummeedon pe khari uthre. Aameen Summa Aameen. 

Is Mazmun Nawesi Muqabile ke nataij dekne ke liye is link par click kijiye->>> https://mehdaviatimes.blogspot.com/2021/05/announcement-of-results-of-second.html

Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com . 

Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com


17 comments:

  1. SubhanAllaah SubhanAllaah...
    Jzakallaahu Khair AL jzaayi for sharing this with us...
    Wassalaam.

    ReplyDelete
  2. Ismazmoon ka sara lubbe lubaab writer mohatrama ki tehreer main maujood hai ke:

    "Kya Khoob Kaha Gai Kisi Ne “Ek Saccha Mureed Jhoote Peer Se Sab Kuch Paa Leta Hai,Magar Ek Jhoota Mureed Sacche Peer Se Bhi Kuch Hasil Nahi Karsakta”

    Matlab Ye Ki Mureed Ke Andar Sacchi Talab Ka Hona Zaroori Hai,To Khuda Faiz Ata Kardeta Hai.

    Sara daro madaar bande khud ke amaal per hi munahsar hai.

    "Ba-amal maqbool be-amal mardood"

    ReplyDelete
  3. Masha Allah... Subhan Allah...

    ReplyDelete
  4. Mashallah!
    Allah mubarak kare...
    Bhot behtar topic choose ki aapne, Beshaq murshid ki zaat hamare haq mai bhtt bada fazal-e-Kareem wo nemat-e-Raheem hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jazak Allahu khairan kaseera behen.. aapko bhi bohit mubarak aage aapko bhi padhne ki khwahishmand hun

      Delete
    2. Jazak Allahu khairan kaseera behen.. aapko bhi bohit mubarak aage aapko bhi padhne ki khwahishmand hun

      Delete
  5. Mashallah subhanallah .....

    Bahot acha muaad faraham karne ke liye shukriya.

    Allah hame aur aane wali hamari nasal ko ta qiyamat tak peer o murshad ka Faiz hasil farmaye . Ameen

    ReplyDelete
  6. Subhanallah kya bath hai bahooth achchay samchaya hai jazakalla har fard ka frz hai padhayn aur Amal karayn murshidon ki qadar karayn

    ReplyDelete
  7. Assalamualaykum warahmatullahi wabarkatahu behna,

    Subhanallah Mashaallah jazakallah

    allah aaap ke ilm me or barkat de

    aap ne bahoot behtareen tarikh se dono moju par clearing diya h or apne ilm ka Nichoorrr Humari Janib Pesh Kiya hai,

    Allah se duaa hai allah jal le Sanahu aap ki is khidmat ko,
    Aap ke is jazbe ko,
    Aap ke is Kaar e Kher Ko Aap ke Liye Ba'ese Nazat Ka saman zariya Banae or Allah apne Fazal main or Rasoolﷺ_o_mehdiؑ ke sadqe Main Allah aap ko Apne Deedar e Khas Se Nawaze,
    or Huzur Nabiye Kareemﷺ ki Safa'at Me
    Mehdi-e-maudؑ ki Misqeeni wali duaaon Main Jo Ki Lailatul-Qadr ke din aapؑ Ne Ki thi
    or Bandagimiyan Syed Khundmeer Siddiq e Vilayatؓ ke Ishq me shamil e haaal rakhe,

    duaa ki gujarish ke sath Allahhafiz...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jazak Allahu khairan kaseera Bhai, Bohot Khushi hui aapki duonnse Allah in Qubool farmaye aur Aapke haq me bhi yahi dua hai iss Behen ki

      Delete
  8. Assalamualaykum warahmatullahi wabarkatahu behna,

    Subhanallah Mashaallah jazakallah

    allah aaap ke ilm me or barkat de

    aap ne bahoot behtareen tarikh se dono moju par clearing diya h or apne ilm ka Nichoorrr Humari Janib Pesh Kiya hai,

    Allah se duaa hai allah jal le Sanahu aap ki is khidmat ko,
    Aap ke is jazbe ko,
    Aap ke is Kaar e Kher Ko Aap ke Liye Ba'ese Nazat Ka saman zariya Banae or Allah apne Fazal main or Rasoolﷺ_o_mehdiؑ ke sadqe Main Allah aap ko Apne Deedar e Khas Se Nawaze,
    or Huzur Nabiye Kareemﷺ ki Safa'at Me
    Mehdi-e-maudؑ ki Misqeeni wali duaaon Main Jo Ki Lailatul-Qadr ke din aapؑ Ne Ki thi
    or Bandagimiyan Syed Khundmeer Siddiq e Vilayatؓ ke Ishq me shamil e haaal rakhe,

    duaa ki gujarish ke sath Allahhafiz...

    ReplyDelete