Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Wednesday, June 2, 2021

Insan ki Soch - Az - Tasviyath Mehdi

Ye topic isliye ki insan ki soch aaj kal bohot muqtalif hogayi hai, Sahi ko ghalat aur ghalat jo sahi samjha jane laga hai, isliye asal soch kaisi honi chahiye iske taluq se chand haqeeqatein pesh karna chahti hun.

 Assalamu Alaykum wa Rahmathaullahi Wabarakatuhu.

Aouzu Billahi Minash-Shaita Nirrajeem, Bismillah hirrahma Nirraheem

Shuru uss parwardigaar ke naam se Jo tamaam aalamon ka Rab hai. har Zahir-o-batin ka janne wala hai aur behtareen kaarsaaz hai.

Khudae ta’ala ka ehsaan-e-Azeem hai ki Allah ne iss nacheez ko mouqa inayat farmaya hai jisse ye Apna Izhar e khayal Kar sake.

Aur Mehdavia Times team ne humko ye jo platform diya hai taaki hum tamaam deen par tawajjo desakein aur Talimaat-e-Mehdaviath ko samajhte hue amal pair hosakein. Bandi aap tamaam ki iss Soch ko aur iss irade ko salam karti hai aur bohot khush dili ke saat aapka shukr ada karti hai.

1. Allah ta’ala ne insan ko mitti se paida kiya aur usme tamaam jazbaton (emotions) aur bohot se ehsaas (sense) ko daala hai. Jisse insan apni khushi,dard,gussa dukh inn tamaam cheezon ko zahir karta hai. Inhi ehsaasaat me se ek ehsaas “Soch”hai.

Allah swt ne sochne ki salahiyath hum me di hai, to humko chahiye ki hamari 'soch' jo khudae ta’ala ki taraf se ek nemath-e-azeem hai isko kaise rakhni chahiye. Soch ka gehra taluq hamari niyyath-o-aqlaaq se hota hai. Aur hamari Soch hamari taleem-o-tarbiyath se bhi hoti hai. Jaise ke bachpan se Maa Baap humko jo taleem dete hain uspar anhasaar (depend) hoti hai. Bacchon ko acchi baatein sikhayenge aur dusron ke saat husne sulook karenge aur dusron ke liye accha sochenge to bacche bhi wahi iqtiyaar karte hain jo apne walidain ko karte dekhte hain. Aur jaise ke abhi upar maine likkha ki ‘sochka gehra taluq ‘Niyyath’ se hota hai. Huzoor pur Noor Hz. Mohommed Mustafa sas ne farmaya “Innamal Aamaalu Bin Niyaath” (Hadees-e-Sahih Buqari). Iss Hadees ko aapke samne rakhne ka maqsad ye hai ki 'soch' Niyyath se hoti hai. Agar niyyath paak hai to ‘soch’ bhi paak hoti hai aur Aqa sas ke farmaan se ye zahir hota hai ki aamaal ka daromadaar/anhasaar (dependence) Niyyaton par hota hai.  Yaani agar hum apni ‘soch’ apni niyyath ko paak-o-saaf rakhkar, husne sulook, silah-Rehmi o Rehem-dili o ehsaan ka sulook karenge to khudae ta’ala ke pass o aamaal qabil-e-qubool honge, wagarna buri niyyat aur buri ‘soch’ ka anjaam-o-badla bhi bura hi hota hai.

2. Hz Imamauna Syed Mohommed Juanpuri Mehdi-e-Moud ahs ne to hame taleem di hai. Hamari 'soch' ko niyyath ko paak karne ka nadir-o-nayaab tareeqa bataya hai jisse dil, dimagh, Soch-o-Aqlaaq sab paak-o-saaf hojate hain aur qalis khuda baqi rehta hai. Aur wo nayaab nusqa “Laa ilaha Hun Nahi, Illallah Tu Hai” hai...yaani ‘Aye Khuda Mai Nahi bas Tu hai Tere siwa koi nahi'

Isse tamaam aazaa paak hojate hain.

‘Soch’ tab hi kharab hoti hai jab dil me ‘ana’ paida hojaye, aur insan apne aap ko bohot bada samajhne lagjaye.

Hz Ali karramallahu wajhu farmate Hain, teen cheezen insan ko Allah se door karti hain.

  1. Apne Amaal ka zyada samajhna.
  2. Apna gunahon Ko bhool jana
  3. Apne aap ko sabse behtar samajhna.

A    Allahu Akbar, Allah hum ku isse mehfooz rakkhe

Ye uski ‘soch’ hi hoti hai ke insan apne aap ko kisi dusre ke muqabil khudko aala samjhe aur soche ki ‘uske pass ye nahi hai mere pass ye hai’ ya ‘wo kam zarf hai aur mai aala zarf hun’ ya ‘wo chote khandan se hai aur mai aala khandan se' waghaira waghaira.

Jab Hz.Rasoolullah sas ke saat ghalat sulook kiya jaata tha, gaaliyan di jati thi, unpar kura karkat phenka jata tha, patthar maare gaye magar Aap sas ne uff tak naa ki, bas khuda se dua kiya karte the ki Allah unko hidayath de. Jab Mehboobe khuda ka ye amal tha! unki ye soch thi! to hum to unke ummati hain kya ye hamara farz nahi ke hum zulm, hasad, dawa, bugz, keena, nafrat ye tamaam cheezon ko chodhkar Allah se tauba karte hue, Apne tamaam maamilaat ko uspar chod dein?

Humko chahiye ki khud ko sabse kamtar samjhein aur sirf khuda ko aala.

3. Hz Mehdi-e-Moud ahs ne farmaya “Apna ek qadam nafs par rakkho to tumhara dusra qadam khuda ke pass hoga”.

To mere aqa ke iss farmaan se saaf zahir hai ki insan ka nafs hi usko khuda se door karta hai. Jab nafs hum par haawi hojata hai to hum me khwahishaat-e-nafsani, ananiyat, dikhawa, hirs-o-hawas, hasad ye sab paida hone lag jate hain to insan ki soch din ba din ghatiya Hoti hui chali jati hai.

Insan ko chahiye ki apni ‘soch’ ko paak rakkhe, kyunke khudae ta'ala ne saaf kehdiya hai ki hashr me koi kisi rishte ya daulath ya ameeri se badaa ya aala naa hoga balke wo apne amaal se pehchana jayega aur usko uske mutabiq uska badla diya jayega.

To insan ko sochna chahiye ki mai kuch bhi nahi hun bas Allah hai Jo “sabse aala aur Izzath-o-Martabe wala hai”. Agar ye ‘soch’ har insan ki ho to zindagi ko jeena asaan hojata hai, wagarna khali jhagde fasad hote rehte hain, ‘kisi ke taluq se bura sochna apne khud ke liye burai mol-lena hai'.

Apni ‘soch’ ko paak kaise karein aur kaise sudhar sakte hain chand misaalein (examples) apke samne rakhti chalun. 

  • Agar ek insan kisi dusre insan ko dhoka de to, dhoka khane wale ko chahiye ki sabr se kaam lein aur ye soche ki ‘chahe isne mujhe jaan bujhkar dhoka kyun na diya ho lekin mai iska badla khuda ko sounpta hun, wo behtar silah dene wala hai’ to ek jhagda bhi ruk jata hai, du gharane bhi tootne se bach jate hain aur to aur uski ek neki bhi badhjati hai Ju aakhirat me kaam aane wali hogi. 
  • Jab ek ladki ko sasural me kisi baat par raay di jaye ya seekh di jaye to usko ye sochna chahiye ki ye jo bhi keh rahe hain isme meri hi bhalai hai. Aur sasural walon ko bhi sochna aur samajhna chahiye ki ye bhi unhi ki beti hai jo unko dekhne wali aur unki khidmath karne wali hai. Hamare liye apne ghar ko chodhkar aayi hai. Jab ek ladki khudke walidain se badhkar apne saas sasur aur unke gharwalon ko pyaar, mohobbath bante aur unki khidmath anjaam de to wo koi bojh nahi utha rahi hai balke, apne farz ko anjaam de rahi hai. Khuda ne jis maqsad se usko paida kiya hai usme ka, ye ek ahem hissa hai, jis se wo apni aakhirat ko sanwarti hai. Aur sasural wale use apni beti apni behen samajhkar rakkhenge to wo unke ghar ko sanwarti hai aur gharko hi nahi balke poore khandan ko leke chalne wali hoti hai. [Bahu aur sasural dono ko zaroori hai ki har rishta imaandaari se aur deendaari se nibhane ki koshish kare to InSha Allah Zindagi kamiyab hojayegi]. Hum apni ek soch se apni zindagi sanwaar bhi sakte hain aur bigaad bhi sakte hain wo aise ki koi bhi mamile ko positivity ke saat lenge aur usse seekhenge to sanwregi aur negative way me lenge to bigdegi. To, Be positive aur samjho ki Jo kuch bhi hota hai Khuda ki taraf se hai.

Kehna ka maqsad kuch yun hai ke, hum apni soch se apni zindagi ko sanwar sakte hain aur khuda ki khushnudi hasil karsakte hain.

4. Insan ki ‘soch’ hi hoti hai jo khudae ta’ala ka pasandeeda amal hoti hai, kyunke kuch accha kaam kardene se insan poori tarah accha nahi hojata kaam ek zahiri cheez hai lekin ‘soch’ ek baatini cheez hoti hai ke wo khudae ta’ala ke siwa kisi aur ko dikhai na desake. 

  • Aur iss daur ke maa baap to apne bacchon ko sirf duniyawi studies me zor dete hain halanke ek waqt ka khana dene ke liye bhi mana kardenge agar bacche ne home work nahi kiya ho to. Magar kya koi walidain bacchon ko ye taleem dete hain ki beta deen zyada zaroori hai? aakhir ho kya gaya hai aaj ki awaam ko? .Ye soch kab tak rahegi ki beti chalta hai madresa baad bhi padhlena pehle school / college ki, exam ki padhai karlo?.

Ye ghatiya soch ko badalne ki zaroorat hai ki deen ko side me rakkho thodi der, ab school, college padhlene do phir deendaari karleinge. Aur wo waqt kabhi aata hi nahi kyun?. Kyunki humko duniya se fursat mile tab na?. 

To soch ko paak rakkha karo, doston ab to sudhar jao ye ghatiya soch rakhne ke bajaye aap ye Soch rakkho ki Allah ki khushnudi hasil karna sabse pehla farz hai, phir uske hukm ko maanlena aur amal karna asal zindagi hai . To tab chalkar kahin soch ka asar dil par hoga aur In Sha Allah tab Allah hum ko wo toufeeq dega ki chalo mera banda sacche dil se ye soch rakhta hai aur humko hidayat ke raaste par chalayega.

5. Hz Ali karamallahu wajhu farmate Hain “Insan ko acchi ‘soch’ pe wo In'aam milta hai jo acche amaal pe bhi naa milta ho, kyunke ‘soch’ me dikhawa nahi hota”.

To insan ko chahiye ki apni ‘soch’ ko paak-o-saaf rakkhe taake khudae ta’ala humse hamari ‘soch’ se khush ho.

Duniya me hamara maqsad bas 'khudae ta'ala ki khushnudi hasil karna' hona chahiye. Apni har ‘soch’ me khuda ko samne rakkhein phir koi kaam karein to beshak hamari ‘soch’ bhi paak rahegi aur kaam bhi.

Inhi chand haqeeqaton se waqif karate hue khuda se duago hun ke aye Baariye Ta'ala hamari Soch ko paak-o-saaf rakh, aur aye khuda hamari soch ko itni paak karde ki koi hamara kuch bura bhi kare to hum usko hidayath ki dua de kar uska badla tere supurd kardein aur humko har pal tere zikr-o-shukr me rehne ki toufeeq ata farma.

Aameen Summa aameen yaa rabbul alameen.

References:

  1. Sahih Bukhari (Hadees No: 01)
  2. Naqliyaat e Imamuna Mahdi Moud Ahs.
  3. Talimaat e Imamuna Ahs.
  4. Qoul-e-Hz Ali karramallahu wajhu.


Mazmun aur M
azmun Nigar ke Mutaluk: Tasviyath Mehdi d/o Janab Nabi Khan Saheb, Mureed of Shamsul Ulema,Mufassirul Qur’an, Jalalatul Ilm,Shireen Bayan,Allamatul Asr, Allama Hz. Syed Meeranji Abid Khundmiri Qibla Damathfuyuzuhum. Ahle Channapatna, Karnataka hain. Tasviyath ne PCMB me 12th paas kiya hai aur Mudarrisa ki haisiyath se gharpe bacchon ko tajweed ki taleem deti hai aur apni qidmat anjam derahi hain aur Qoum-e-Mehdavia ku khidmath anjaam dena chahati hai. Tasviyath ka maanna hai ke, anpe Murshid Qibla ki talimaat se Allah sarfaraaz farmaya hai ke ye uske liye har degree se badhkar hai.  Ye Mazmun Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Muqabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka hissa hai. Ye Unwan Mukabile me Roman Urdu Category me Commendation ke inaam se nawaza gaya hai. 

Hum Tasviyath ki niyyat aur sapnon ku pura hune ki duwa karte hain, aur chahate hain ke Allah isku har qadam pe kamiyabi ata kare, aur uske maa, baap aur khas taur se murshid qibla ki ummeedon pe khari uthre. Aameen Summa Aameen. 

Is Mazmun Nawesi Muqabile ke nataij dekne ke liye is link par click kijiye->>> https://mehdaviatimes.blogspot.com/2021/05/announcement-of-results-of-second.html

Note: We will be publishing daily one selected essay in this Ramazan for you to read. We take this opportunity to thank and congratulate all the participants, winners and evaluators and those who were directly or indirectly involved to make this initiative a grand success. Fresh Write-ups/Articles/Essays are always solicited you may send them to MehdaviaTimes@gmail.com . 

Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com

14 comments:

  1. Subhanallah...writer has depicted d current scenario of our society in detail,have emphasized d need of rectification of this sins,it's d need of time and a call for whole Ummah and to follow this message...
    Whole and soul this writing delivers a message of...CLARITY OF MIND AND PYRITY OF HEART..
    May almighty bestow on us d grace nd save us from d evil thinking nd vision..
    May almighty bestow his grace and divinity on d writer to help d community with his divine ALQALAM nd grant him d heights of success..

    Thanking you

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jazak Allahu khairan kaseera for your kind words and Aameen Summa aameen..

      Delete
  2. Wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barkatuh..
    Allah paak aap ki khidmaat ko qubool kare aur kamiyabiyo ko aap ke qadmo me rakhe. ❤️

    ReplyDelete
  3. Kisi insan ke liye negative aur man-ghadat ghuman insaan ki buri soch kehlata hota hai,

    Iska ek ilaaj ye bhi hai ki ham samne wale insan me wo bhalayi talash kare jo usne hamare saath ki hai ya uski koi choti si hi bhalayi par mutasir ho kar apne dil ko behla le aur bad-gumani ko wahi kuchal de.. taaki wo aage badh kar hasad, kina,badla jaise bade bade gunaho me na tabdeel ho jaye..

    Ya Allah tu hamare dilon ko ye aag me jhok dene wale gunaho se bacha aur Deen ki sahih samjh A'ta farma.. aameen summa aameen..

    Keep going dearest sister ❤️

    ReplyDelete
    Replies
    1. Beshak mere Behen Tumne Sahi Kaha... Aameen Summa aameen

      Delete
  4. Iss mazmun m bahoot sahi bat rakhi hy, Allah Hume Imamuna ki talim per chalay aur sirate mustaqim per chalay Ameen Aajkal logo ki soch bahut negative ho gai hy ayse me Aap ne ye mazmun se logo ki soch badal ne acchi koshis ki hy 👌 Zazakallah... Najiullah khundmiri Baroda

    ReplyDelete
  5. Iss mazmun m bahoot sahi bat rakhi hy, Allah Hume Imamuna ki talim per chalay aur sirate mustaqim per chalay Ameen Aajkal logo ki soch bahut negative ho gai hy ayse me Aap ne ye mazmun se logo ki soch badal ne acchi koshis ki hy 👌 Zazakallah... Najiullah khundmiri Baroda

    ReplyDelete
  6. Iss mazmun m bahoot sahi bat rakhi hy, Allah Hume Imamuna ki talim per chalay aur sirate mustaqim per chalay Ameen Aajkal logo ki soch bahut negative ho gai hy ayse me Aap ne ye mazmun se logo ki soch badal ne acchi koshis ki hy 👌 Zazakallah... Najiullah khundmiri Baroda

    ReplyDelete
  7. All the best Tasviyath Mehdi , it was pleasure going through your write-up, and we hope to read more from you. As we said in our valedictory webinar - 'miles to go we sleep, miles to go before we sleep' we have to do a lot more to be done... and this is just a beginning.
    I once again congratulate you and all the other winners and participants of the 2nd Mehdavia Times International Essay Writing Competition.
    👍🏻👍🏻 Keep it up.

    I personally thank all the readers for your valuable comments and encouragement for both Team Mehdavia Times and All the participants.

    Regards
    Inayath Ulla Khan
    Mehdavia Times

    ReplyDelete
    Replies
    1. In Sha Allah will keep on trying and will be glad and blfeel blessed by sadqa Of my Murshid Qibla and also getting all your support as well as from my family and friends and brothers and sisters in faith.. jazak Allahu khairan kaseera

      Delete
    2. This comment has been removed by the author.

      Delete