Assalamu Alaykum Warahmathaullahi Wabarakatuhu.
Aaj Ka Unwaan “Gheebat Aur Bohtan” Hai. Ye Ek Ahem Unwaan Hai Jisko Aaj
Ke Daur Me Aam Amal Ke Aitebaar Se Leliya Gaya Hai.
Chand Haqeeqaton Aur Hamari Khud Ki Ghalatiyon Ko Samne Rakhte Hue Mai
Iss Unwaan Ke Tehet Aap Sabko Aaj Ke Daur Ki Aur Apne Halaat Ki Choti Moti Sair
Karwati Hun.
Pehle Aayiye Jante Hai Ki Gheebath Kya Hai? Aur Bohtan Kya
Hai?
Gheebath Ye Ke Kisi Ki Peet Piche Uski Aisi Burai Karna Ke Uske
Saamne Ki Jaye To Usko Ranj Ho, Agarche Wo Burai Usme Moujood Ho. Agar Wo Burai Usme Moujood Naa Ho To Wo Bohtan
Hai.
Gheebath Yaani Peet Piche Wo Burai Bayan Karna Jo Usme Moujood Hai,
Aur Qur’an Isse Manaa Karte Hue Kehta Hai Gheebath Karna Aisa Hi Hai Jaise Ke
Koi Apne Murda Bhai Ka Gosht Khae, Zahir Hai Ke Koi Shaqs Apne Murda Bhai Ka
Gosht Khana Pasand Nahi Karega.
Aan Hazrat Sas Ne Shab-E-Meraj Me Ek
Jama’ath Ko Dekha Jo Apne Lambe Naqunoon Se Apne Muh Noch Rahe Hain, Jibrael
Ahs Se Pucha To Unhone Kaha Ye Wo Log Hain Jo Logon Ki Gheebath Karte The
Aur Unn Ki Izzath Par Hamla Karte The.
Allahu Akbar, Passs Unn Tamaam Mamilaat Me Allah Se Darna Chahiye.
Khudae Ta’alaka Irshad Hai
یَٰأَیُّھَا الَّذِینَ ءَامَنُواْاجتَنِبُواْکَثِیرًامِنَالظَّنِّ إِنَّ بَعضِ الظَّنِّ إِثمُ وَلاَ تَجَسَّسُواْ وَلاَ یَغتَب بَّعضُکُم بَعضاً أَیُحِبُّ أَحَدُکُم أن یَأکُلَ لَحمہَ أَخِیرمَیتًا فَکَرِ ھتُمُوہُ وَاتَّقُواللَّہَ إِنَّاللَّہَ تَوَّابُ رَّحِیمُ ۔
Aye Emaan Walon Bohot Se Gumaano Se Bachte Raho Kyun Ke Baaz Gumaan Gunah Hote HainAur Ek Dusre Ke Ehwaal Ki Jasoosi Mat Karo Aur Naa Koi Dusre Ki Gheebath Karo. Kya Tum Me Se Koi Iss Baat Ko Pasand Karega Ke Wo Apne Murda Bhai Ka Gosht Khae? Isse Tum Nafrat Karoge Aur Allah Se Daro, Beshak Allah Tauba Qubool Karne Wala Meherban Hai
To Humko Chahiye Ki Logon Ki Gheebath Karne Se Bachein, Hum Apni Ghalatiyon Ko Sudhaarna Chodkar, Hum Bas Dusron Me Aaib Talash Karte Hain. Hamari Ye Bad-Naseebi Hai Ki Hum Khudko Aakhirat Ke Liye Taiyyar Karne Ki Mohlat Ko Kisi Aur Ki Gheebath Me (Kharch) Bazl Karte Hain. Humko Chahiye Ki Hum Apni Islah Karein Jaise Ki, Kuch Amsaal Pesh Karna Chahungi Ke Islah Kaise Karsakte Hain Aur Hum Gheebath Kaise Kiya Karte Hain?
1. Humko Chahiye Ki Hum Agar Khud Kuch Acche Kaam Nahi Karte Apne Aamaal Ko Paak Nahi Rakhte To Naa Sahi, Kisi Aur Ki Choti Se Choti Ghalati Ko Badawa Dekar Pesh Nahi Karna Chahiye.
Jaise Ke
Ek Sentence To Aaj Bohot Aam Hogaya Hai “Arey Haaan Wo Ladki Falan Ki Beti, Wo
To Bad Chalan Hai,Kaisa Wo Ladka Han Usne Aisa Kiya Waisa Kiya”Waghaira. Kyun?
Aakhir
Kyun Kaha Jata Hai? Isi Ko Gheebath Kehte Hain.
Agar Koi Ghalat Bhi Hai To Humko Kya? Kya Zaroorat Hai Hame Kisi Ke Sahi Ghalat Hone Ki? Hum Koun Hote Hain Kisi Ko Sahi Ghalat Sikhane Wale? Anauzubillah Hum Khuda To Nahi Hain.. To Phir Kis Haq Se Kisi Ke Ghar Ki Izzath Yun Sare Aam Uchala Karte Hain? Ghalatiyan Har Insan Se Hoti Hain Magar Wo Ghalatiyan Jisne Bhi Kii Ho Aur Jiske Saat Bhi Usse Agar Muafi Mangli Jaye To Wo Bhi Aur Khuda Bhi Muaf Kardeta Hai To Hum Koun Hote Hain Kisi Ki Ghalati Ko Lekar Use Judge Karne Wale?
2. Humko Chahiye Ki Hum Dusron Ki Zindagi Me Dakhal Dena Chod Ke Apni Zindagi Kitni Paani Me Hai Ghour Karein Aur Humko Zaroorat Hai Ki Hum Apni Chaan Been Karein Ki Hamari Zindagi Deeni Aitebaar Se Kitne Meyaar Ki Hai?
Aur Rahi Baat Bohtan Ki, Ye To Wo Hai Jo Aksar Hum Kiya Karte Hain Ki Dusron Ki Zindagi Me Taak Jhaak Karte Hain Koi Kuch Bole Usko Sunlein Phir Sach Maanlein Aur Apni Taraf Se Uss Insan Ke Taluq Se Manghadat Baatein Pesh Kardein Logon Ke Aage, Isi Ko Bohtan Ka Naam Diya Jata Hai. Aur Bohtan Lagana Khuda Ke Pass Bohot Bada Gunah Hai. Jab Hum Kisi Ko Jante Tak Nahi Uske Taluq Se Ek Apni Hi Bani Banai Story (Kahani) Ko Pesh Karna Kitna Ghalat Hai Maloom To Hai Na? Agar Uss Insan Me Aapki Kahi Gayi Baaton Me Se Ek Bhi Baat Moujood Naa Ho Ya Ek Bhi Sach Naa Ho To Uske Saare Gunah Aap Par Ajate Hain Aur Aapke Saare Acche Aamaal Uske Hisse Me Ginhe Jaayenge. Allahu Akbar.
Aur Khaas Kar Kisi Ke Ghar Ki Izzath (Beti) Par Bohtan Lagana Bohot Bada Gunah Hota Hai. Aur Ek Baat Chahe Koi Bhi Ladki Kitni Bhi Bad-Aqlaaq Kyun Na Ho Wo Apne Maa-Baap Aur Apno Ki Izzath Ka Qayal Zaroor Rakhti Hai.
Beti Wo Nemath Hoti Hai Jo Apne Baap Ki Mehnat Ko Dekh Apne Liye Wo Cheezon Ka Inkaar Karti Hai Jisme Uske Baap Ko Laa Dene Me Takleef Hojaye. Beti Wo Nemath Hoti Hai Jo Apni Maa Ki Ankhon Me Ek Ansu Tak Na Dekh Sake, Beti Wo Nemath Hoti Hai Jo Poore Ghar Ko Hamesha Khush Karne Ki Koshish Me Lagi Rehti Hai. Apni Saari Khushiyon (Bhai Behen Ke Nat-Khat Jhagde,Bachpan Me Khilone Kapde, Mehenge Tohfe Waghaira) Ko Pare (Door) Rakh Wo Apne Walidain Ki Khushi Ke Liye Jeeti Hai. Jab Ek Beti Apne Walidain Ko Khush Dekhna Chahti Hai To Koi Aisa Kaam Nahi Karti Jisse Unko Thess Pahunche.
To Aap Aur Hum Koun Hote Hain
Ek Beti Par Tohmat Bandhne Wale?
Aur Har Ladki Ghalat Nahi Hoti Kisi Se Ghalati Ka Hona Ye Bhi Chand Walidain Ki Dii Gayi Tarbiyath O Choot Se Hua Karti Hai.Ke Apne Bacchon Ko Bass Har Waqt Duniyawi Talimaat Ke Liye Zor Dete Hain Isi Dauran Koi Ghalati,Unch Neech Hojaye To ‘Raai Ka Pahad'.Walidain Ke Zimme Ye Hota Hai Ki Apne Bacchon Ko Deeni Talimaat Dein Unko Rishton Ki Qadar, Walidain Ki Izzath, Halal O Haraam, Jayez O Najayez, Sahi O Ghalat Ki Taleem Dein. Naa Ki Uss Waqt Ka Intezaar Karein Ki Bacche Koi Ghalati Karein Phir Log Ungliyan Uthayein,Sawal Khade Karein Phir Hum Afsos Karein. Koi Hamari Gheebath Kare Humko Wahan Tak Lejana Hi Nahi Chahiye, Wahin Gheebath Ka Sar Qalam Karna Chahiye Ki Hamare Walidain Ne Hame Beshak Aur Alhamdulillah Bohot Pakiza Tarbiyath Dii Hai.
Duniya Me Ye Jo Society Hai Society Ke Naam Pe Bachna Chodiye, Usi Society Me Hum Bhi Shamil Hain. Chahe Koi Accha Kaam Kare,Aage Badh Jaye To Humse Dekha Nahi Jata Ye Kyun?
Log Taane Dene Lag Jate Hain Tohmat Bandhte Hai. Khair “Kuch To Log Kahenge Logon Ka Kaam Hai Kehna” Acche Kaam Ke Liye Aage Badhna Chahiye Baghair Kisi Ke Darr Ke,Qouf Sirf Khuda Ka Hona Chahiye Tabhi Chalkar Sahi Kaam Hote Hain. Kehne Ka Matlab Ye Hai Ki Aap Sabne Suna Hi Hoga Ke “Jo Kare So Paae” Ye Aise Hi Nahi Kaha Gaya Tha, Hum Kisike Taluq Se Jaisi Soch Rakkhenge Kal Ko Koi Aur Hamare Taluq Se Wahi Sochega. Humko Apni Soch Ko Aur Niyyath Ko Paak Karne Ki Zaroorat Hai. Phir Chalkar Saari Zindagi Khushiyon Se, Sukoon Se Aur Itminan Se Guzregi Warna Khali Har Kisi Ki Kahaniyo Me Uljhe Hi Rahenge.
4. Mai Bhi Ek Ladki Hun Kisi Ki Beti Hun Shayad Hi Mai Gunahgaar Hun, Aasi Hun, Badhkaar Hun Aur Mai Bade Hi Afsos Ke Saat Aur Bina Kisi Sharam Ke Ye Likh Rahi Hun Ke Allah Waaste Hum Sab Ko Kisi Ke Ghar Ki Izzath (Beti) Par Tohmat Bandhna, Band Karna Chahiye. Ye Har Uss Ladki Uss Beti Ki Zindagi Ko Tabah Karne Wala Gunah Hai Jo Hum Kiya Karte Hain. Tohmat, Ilazaam, Bohtan Ye Sab Sunkar To Bohot Accha Lagta Hai Kisi Ke Bhi Taluq Se Magar Jab Bhi Baat Apne Ghar Ki Izzath Ki Aati Hai To Hi Samajh Ata Hai.
Allah Waaste Hum Sab Apni Apni Islah Karein To Hamari Aakhirat Ke Liye Humko Khudko Taiyyar Karne Ka Waqt Milega.Aise Dusron Ki Taak Jhaak Me Waqt Guzar Denge To Aakhirat Me Barbadi Ke Alawa Kuch Nahi Milega.
Allah Hum Tamaam Ko Aise Gunahon Se Bachaye Aur Har Buri Soch Se Mehfooz Rakkhe. Aur Kisi Ke Kuch Kehdene Ya Kardene Se Kisi Ki Zindagi Tabah Nahi Hoti Balke.
| وا توئزّو من تشاء وا تذلومن تشاء | “Allah Wahid Izzath O Martaba Ata Karne Wala Hai”
Log Kehte Hain Ki “Aurat Chughal Khor, Gheebat Karne Wali, Tohmath Bandhne Wali Ka Naam Hai” To Hum Ko Chahiye Ki Hum Apni Apni Islah Karein Aur Aurat Zaat Se Ye Jo Qayalaat Logon Ke Zehno Me Hain In Sab Ka Tag Hatayein Aur Aur Amal E Saleh Karke Dikhayein Ki Aurat Ka Moqaam Islam Ki Roushni Me Kya Hai Aur Aurat Asal Me Hai Kya?
Aap Tamaam Padhne Walon Se Tahe Dil Se Ye Nacheez Muafi Chahti Hai Ke Isne Ye Sab Likhne Ki Himmath Kii Hai To Iss Ziyadati Ke Liye. Magar Jo Bhi Baat Nacheez Ne Pesh Ki Hai Wo Haq Hai. Khudara Hum Apni Apni Islah Karein Aur Khud Ko Khuda Ke Huzoor Pesh Karne Ki Taiyyari Karein.
Jazak Allahu Khairan Kaseera
- Kohinoor Mehdi.
Disclaimer: The opinions expressed in this publication are those of the authors. They do not purport to reflect the opinions or views of the Mehdavia Times Welfare Trust or its members. Reproduction of the material contained in this publication may be made only with the written permission of Mehdavia Times Welfare Trust. To Err is Human, Please ignore any typos or concepts which you may find in his / her write-up. If you come across, any major typos kindly write to us on mehdaviatimes@gmail.com
Beshak haq baat hai
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete