اَلسَّــلَامُ عَلَيْـــكُمْ وَرَحْمَةُاللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
Bhaiyon aur Behno, Hum Hamara Pahila Aalami Mazmun Nawesi Mukabila ju pichle Ramzaan 1441 H / 2020 ju bahut hi kamiyab raha, aur Participants aur doston ke demand par ab Dusra Mehdavia Times Aalami Mazmun Nawesi Mukabila - Ramzaan 1442 H / 2021 ka elan karne ki saadath hasil karte hai.
Haalan ki ye mukhabila 01 May 2021 ke din hi Eglish me elan huchuka hai. Aur ab English nahi jannewalon ki sahulat ke liye, roman urdu me dubara elan kar rahe hai.
Unwaan: Pichle saal diye gaye mukarrara unwaan par hi likhne ki pabandi thi magar iss saal is pabandi ko hata diya gaya hai. taake aap apne takhliki khayalat wo soch ke mutabik unwaan ka intekhab karsake. isliye iss saal Unwaan ki koi kaid nahi he, ha magar apka mazmun samaji, mazhabi aur maujuda haalat se taaluaq rakhna zaruri hai. Quran , hadees, naqliyat busrgane deen ke aqwal ka zikr bhi zaruri hai.
Categories
- Junior Category - 15 saal tak
- Senior Category - 15 saal se bade
Zubaan
- Urdu
- Roman Urdu
- English
Note: Mazamin ke saat niche batayi gayi mazid malumat ka bhi bhejna zaruri hai
- Mazamun ka Unwaan:
- Unwaan ki wajah:
- Pura Naam:
- Walid ka Naam:
- Murshid ka Naam:
- Ghar ka pata:
- Address:
- Mobile No:
- Whatsapp No:
- Email Id:
- Facebook id:
- Aap ke baare me (kam se kam 5 lines):
- Qualifications:
- Profession:
- Bank Account ke Details (Account Name, Bank, Branch IFSC Code):
Time Lines: Mazamun bhejne ki aakhri tarikh 29 Ramazan 1442H / 12 May 2021 ki sham tak email ke zariye MS Word format me ( MehdaviaTimes@gmail.com ) bhej de. (India ke hisab se Eid ki Chandraat se pahile).
Akhari tarik ke bad aane wale mazamin ko mukhabile me shamil nahi kiya jayega, balke hamare agle muqabile me shamil kiya jayega.
Ummid hai ke pichli baar ki tarha is baar bhi zyada se zyada participants is mukabile me hissa lenge.
Jazak Allah Khair
Team Mehdavia Times Welfare Trust
Assalamo akaikum,
ReplyDeleteCan anyone tell me the meaning of "mazamum ka unwaan" please?
Assalamo akaikum,
ReplyDeleteCan anyone tell me the meaning of "mazamum ka unwaan" please?
Topic of the Essay
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete