Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Saturday, May 8, 2021

Behr-e-Aam - Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Ishaq Taseer Ishaqi (RA) 25 Ramazan.

اَلسَّــلَامُ عَلَيْـــكُمْ وَرَحْمَةُاللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
Aaj (25 Ramazan) Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Ishaq Taseer Ishaqui (RA) Ibn Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Zainul Abideen Taqdeer Mannu Miya (RA) ka Behr-e-aam hai aur kal (26 Ramazan) ke din Urs-e-Mubar hai.  Aap Nabira-e-Hz. Bandagi Miyan Syed Ishaq Bara Bani Israil (Daulatabad) ibn Hz.Bandagi Miyan Shah Yaqoob Husn-e-Vilayath (rz) hain. Hz. Ishaq Miyan Mehdavia Sadath Masjid, Guthal Road Mandya me san 1969 se 1995 tak apni deeni aur mashi qidmat anjam derahe the.

Is mauqe par aap sabke saat Murshidse jude chand yaadgar lamhon ku qalamband karne ki saadat hasil karna chahatahoon.
 
Hz. Ishaq Miyan Nihayath hi Muttaqi, Parezgaar, Saabit Qadam aur Qidmagar the. Aap ka Na sirf Mehdavi Biradari me balke Ghair Mehdavion aur Ghair Musalmano me bhi badi izzat aur ihteram tha. Uswaqt Mohalle ke halat bahuthi faqon se guzar raha tha. Aur Khas taur se Murshid ke ghar me tu do teen din ka faqa rehta tha. Murshid ka ye amal rahtatha ke Mohalle me jab bi koi bimaar hojata tu murshid uske ghar pahunch jate the aur uski mijaz purasti karte aur sehat ke liye na sirf dua balke apni hakimi dawavon se navazte the. Aur jab koi serious hojatatha aur hospital me dakhila lena padta tha tu Murshid unke saat chale jate the chahe wo din ho ya raat, ya adhi raat. Mandya Government Hospital ke doctors murshid ki bahut izzat kiya karte the, aur murshid ki baat koi nahi taltatha. 

Murshid ka hamare ghar se ek khaas rishta tha, aur my unka favorite mureed tha. Mujhe bachpan me garmi ki shikayat thi, tu murshid ammi ku salah diye the ke mujhe bhaaji aur bhaaji ka pani khilyakaren, tabhi se mujhe bhaaji bahut pasand huvi ju usse pahile na pasand thi. Aaj bhi hamare yahan jis din bhaji pakti murshid ku yaad karte hain.

Murshid ka ek aur amal mujhe yaad araha hai ke jab bi hum Rajab ke jumeraton me Ziyarat Jate the, aur khas taur par Shaban ki raat me tamaam muhalle wale Khabristan chalkar jayakarte the, aur har koi ziyarat ke liye apne apne phool laate the. Khabristan me daakhil hokar Murshid ek kinare par apni chadar bhichadetethe aur tamaam log apne apne phool us chadar me daldete. Phir jistarha Behr-e-Aam ka hum naariza letehain, usi tarha sablogon ku phoolon ki saviyath kartethe. Isha ke baad sab milkar jathe aur saath hi atethe. Ab wo baat ya wo Amal nahi raha. Uswaqt mulalle me sirf chand hi scootes huva karte the (shayed sirf 10-12), aur ab Alhamdulillah, khabristan ke paas parking ke liye bhi jagah nahi milti.  

Alhamdulillah, mujhe Hz.Isaq Miyan ka Mureed banneka Sharf hasil huva. Ammi ke paas Naziratul Quran karne ke baad my Murshid ke paas Dauraraha tha aur saat saat Urdu zuban bhi sikraha tha. Jis din hum Mandya walon ke sar se Murshid ka saya utha tha wo din  Ramazan ka 26wan roza chalraha tha yani 26 Ramazan, 1415 Hijri, aur us din subha Murshid Mujhe Masjid me akhri bar Urdu ka sabaq diye the aur Chiraag-e-Deen-e-Nabavi kitaab padne ka mashoura diye the, aur usi din mujhe kitab milne ka pata dekar Chanpatana me Hz.Jowharba ke ke paas bheje the.  Wapsi me mujhe bus me pata chala ke Murshid ab nahi rahe. إِنَّا لِلَّٰهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

Murshid ke inteqal ki jaisehi khabar phaili hamare mohalle me aur pure Mandya District aur padus ke dairon me jaise Chanpatan, Kirgaval, Bannur, Mysore me bahut hi ranj-o-gham ka mahaul chagaya tha.  

Murshid ke baad unke Janashin Hz. Syed Hussain Ishaqui ku Mufti Hz.Syed Yaqoob Ishaqui se Baiyaath kiye aur unhe Irshadi di gayi. Aur Hz. Peer-o-Murshid Syed Hussain Ishaqui ne Murshid ki Namaz-e-Janaza Padhaye the.

Aur Janaze me tu manu kamse kam 2 KM se ziyada lambi jamat thi. Main road (Mysore Bangalore State Highway / MC Road) par Janaze ki jamat ki safety aur smooth traffic movement ke liye mohalle ke bacche aur naujavan haat se haat band kar janaze ke duno taraf human chain banaye huve the ju taqriban 500 meters lambi thi, is kaam me mere chacha Marhum Zabi Ulla Khan sabse aage the, ju haal hi me COVID ke shikar hogaye.  Murshid ke chahane walon aur mureedon ke is gham-bahre ijtema se mohalle me aur khabrastan me mano pair rakne jagah nahi thi. Aisa hum Mandya me pahili baar dekhe the. Murshid Qibla, Hazira-e-Mehdavia, Mandya ke Sahib-e-Hazira hain.

Hum Mehdaviyon me Chabisveen - Lailatul Qadr ka khas ehtemaam huva karta hai. Har Koi iski tayyari me mahino se lahe hote hain. Khas taur par us waqt Mahe Shaban se hi tayyari me rehtethe - kyun ke wo isa daur tha - log sirf Ramzan me hi naye kapde kharidtethe, aur hamareyahan naye Kapde chabisveen ki raat ko pahenneka tarikha hai. Lekin San 1995 ka Ramzan isa nahi tha,  kyun ke har koi ghamgheen tha, tadfeen ke fauran baad taziyati Jalsa tha - log dur dur se aye huve the, abki tarha har ek ke paas gadiyan bhi nahi thi, waqt se pahile pahunchna tha, kyun ke usi raat Dugana Lailatul Qadr bhi tha. Ise me chahanewalon ne naye kapde pehne baghair hi Lailatul Qadr ada kiye.

Murshid ke ghar ka mahul aur ghamgheen tha, har saal Masjid me Marhum Murshid Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Ishaq Taseer Ishaqui Saheb hi Ihteqaf me baitne ka farz nibhate the. Ab wo na rahe, ab ju ab Hz. Peer-o-Murshid Syed Hussain Ishaqui saheb ye farz nibhane masjid agaye, ju lailatul qadr ki namaz ke baad se eid ka chand dikne tak baitha jatahai. Chand hi mahino baad Bade Murshid ke Bibi. Hazratha Bibi Kadbanu Saheba ka inteqal hugaya. إِنَّا لِلَّٰهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

 Murshid ke bade farzand Peer-o-Murshid Alhaj Syed Hussain Ishaqui
Hz.Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui Miyan
Peer-o-Murshid Alhaj Syed Hussain Ishaqui
 Miyan
se Bayiyat lete huve

 (Tark-e-Duyan 1995) aur unke bhai 
Hz.Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui (Tark-e-Dunya - June 2019) ju hal hi me tark-e-Dunya kiye, Mehdavia Sadath Masjid me qhidmat anjam de rahe hain. Aur Ye duno Mohalle aur Daire me ek Deeni Mahaul Banarakhe hain. Jiske Natije se har din Masjid me namazion se bharihuvi rehati.

Insha Allah, aur bahut kuch likna baqi hai... fil haal itna kafi hai. Insha Allah Ramzan ke baad is unvan ku aur details me likne ki koshish karonga.

Aap sab se guzarish hai ke Murshid ke had me dua kijiye. Allah Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Ishaq Taseer Ishaqui (RA) Ibn Hazrath Mashayaq Hakeem Syed Zainul Abideen Taqdeer Mannu Miya (RA) ku Apne Khas deedar se nawaze, aur Jannat me aala Maqam Ata kare. Aamee. Summa Aameen.

Jazak Allah Khair.
Inayath Ulla Khan 
s/o Faqeer Abdul Khader Khan, Mandya

5 comments:

  1. اللّٰہ حضرت کو اپنے دیدار میں رکھے آمین

    ReplyDelete
  2. Peromursheed ko Allah in ki khidmath ka ajar dea aure in ke janashin dono murshadeen ko inhi ki trha khidmath karne ki tofiq ataa Karen

    ReplyDelete