Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Monday, May 18, 2020

Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia, Chanpatan ka Ek Ahem Faisal



Bismillah Ir Rahman nir Raheem
Alhamdulillah Alakulhal wa Salatu As Salaam Alakhatimain al Karamain
Saamain wa Nazeerin
As salamu alaikum Rahmathulahi Wa Barakatahu
Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia, Chanpatan ka ek Ahem Faisla.

Aap Sab Ku Malum Hai Ke Corona Virus Waba Aur Hukumat Ki Jaanib Se Lock-Down Khanoon Ke Pesh-e-Nazar Humne Is Maahe Mukhaddas Ki Tamaam Ibdatun Ku Bade Hi Sabr-O-Saabit Ke Saat Apne Apne Gharon Me Ada Kiya. Ek Ek Din Ke Panch Panch Farz Namazen, Namaz-E-Jumma Ke Bajaye Namaz-e-Zuhur, Namaz-e-Tarawee Apnehi Gharon Me Ada Kiye. Ab Hamare Saamne Shab-e-Qadr Ki Aham Ibadath Hai. Ijma-E-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia, Chanpatan Ne Mulk Ke Maujuda Haalat Ke Madd-e-Nazar Ye Faisla Kiya Hai, Ke Is Saal Namaz-e-Shab-e-Qadr Apne Apne Gharon Me Hi Ada Karenge. Tamaam Murideen, Muqtadeen, Ku Aagha Kiya Jatahai – Hum Sab Apne Apne Gharon Me Apni Family Ke Saat Namaz-e-Shab-E-Qadr Ada Karen. Murshideen Ki Masjid Me Dairon Tak Aane Ki Zehmat Na Karen. Namaz-e-Shab-e-Qadr Qoum-e-Mehdavia Ki Khusisiat Hai, Isku Bataur Farz Apne Murshideen Ki Iqteda Me Ada Kijatihai. Magar Is Haalat Me Jab Aap Apne Ghar Me Namaaz Padrahehain Tu Apne Aapki Murshid Ki Ijazat Zaruri Hai, Dugana Shab-e-Qadar Ada Karne Ka Tareeqah Namaz-e-Shab-e-Qadr Ki Niyaat, Imamat Ki Niyat Dugan-e-Shab-e-Qadr Ke Baad Padijane Wali Duwaen, Ye Sab Baaten Ijma Ki Taraf Se Shaya Kigayi Hain. Aap Apne Murshid Ke Paas Se Hasil Karsakte Hain. Neez Ijma-e-Haaza Ye Chahatihai Ke Aap Shab-e-Qadr Ki Raat Me Ghoomne Phirne Rasm-O-Riwaj Baja Lanese Parhez Karen. Hukumat Ki Taraf Se Jaari Pabandion Ka Khaas Lihas Karen. Allahtala Ki Qoob Ibadat Karen, Quran-E-Majid Ki Tilawat Zikr-O-Aksar, Tauba-O-Astaqfar, Wird-e-Darood-O-Paak Me Masroof O Mashghool Rahen. Isitarha Eid-ul-Fitr Bhi Saadgi Ke Saat Manayen. Kapdon Ki Khareedi Deegar Fuzool Baton Se Parhez Karen. Apne Paas Padusi, Azeezon, Gareebo Ki Madat Karen. Namaz-e-Eid-ul-Fitr Bhi Masjid Aur Eidgah Me Ada Nahi Kijayegi. Namaaz Eid-ul-Fitr Shukrane Ke Taur Par Hai. Lihaza Apne Gharon Me Naha Dhoo Kar Umda Libas Pahene Bataur Shukriya Ke Namaaz Ada Karen. Allahtala Humsabki Ibdaton, Riyazaton Ku Qabool Farmaye. Aameen.
Sadr-e-Ijma – Faqeer Syed Jafar Ashrafi 
Moatamid-e-Ijma Faqeer Syed Waliullah
Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia, Chanpatan

No comments:

Post a Comment