Alhamdulillah, 27 July 2025, Sunday / Itwar ku Mahdavia Farah Masjid, Nayandhalli Bengaluru Me Huzur Mubaiyan e Kalam Allah Hazrat Syed Mohammed Mahdi Maud Alaihissalam Ke Viladat-e-Basadat Ke 600 sala Celebrations Ke Silsile Ke Tahat AZMAT-e-QURAN Ke Unwan Me Azim-o-Shan Jalsa Munaqid Kiya Gaya. Jis Me Teen (3) Kamsin Hiffaz Bachiyun Samet 33 Huffaz Karam Ko Khiraj-e-Tahseen Pesh Ki Gayi.
Jalse Ka Aghaz Hazrat Faqir Syed Shahabuddin Ahle Dharamkatta Ki Tilawat-e-Quran Azeem Se Huwa. Janab Faizulla Faiz Ibrahimi Saheb Ne Bargah-e-Risalat Ma’ab Me Nazrana Pesh Kiya. Imamuna Hazrat Mahdi Alaihissalam Ke Huzur Me Janab Sanaulla Khan Sana Ne Naat Shareef Pesh Ki.
Hazrat Peero Murshid Syed Abdul Hai Ibrahimi Saheb, Sadr-e-Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mahdavia, Channapatna Ne Jalse Ki Sadarat Ki. Zuhar Se Pahle Session Me Hazrat Maulana Peer-o-Murshid Syed Waliullah Miyan Ibrahimi Saheb Ne ‘Azmat-e-Quran’ Unwan Par, Hazrat Maulana Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui Saheb Mandya Ne ‘Quran Ek Maujiza’ Ke Unwan Par Khitab Kiya, Hazrat Maulana Mashaikh Qari Syed Meeran Ashrafi Saheb Ahle Dharamkatta, Ne ‘Hifz-e-Quran ki Ahmiyath’ Ke Mauzo Par Taqreer Ki.
Jalse Me Shareek Tamam Hazireen Ke Liye Allah Diya Ta’am Ka Intezam Kiya Qaya. Namaz-e-Zuhur Ke Baad Jalse Ka Dusra Session Hz Maulana Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui, Saheb Mandya Ki Qirat-e-Quran Se Shuru Huwa. Hafiz-e-Quran Peer-o-Murshid Hz. Shah Naseeruddin Miyan Nizami, Ne ’Hifz-e-Quran’ par Roashni Dali.
Jalse me Hz. Peer-o-Murshid Syed Meeranji Miyan Yadullahi Saheb Qibla Gangavati, Hz. Peer-o-Murshid Maulana Syed Yadullah Miyan Yadullahi Saheb Qibla, Gangavati, Hz. Peer-o-Murshid Maulana Syed Walisha Miyan Khundmiri Saheb Qibla, Donabagatta Mehmanaan-e-Ezazi Rahe.
Is Mauqe Par Janab Sha Suhail Nizami Aur Hyderabad ke Mashhoor Shaer Janab Mohammed Shabbir Ali Khan Shabbir Ne Huffaz Karam Ke Ezaz me Tahniyati Kalaam Padhe. Is Maoqe Par Ulma-e-Karam Ne Quran Pak Ki Ahmiat, Hifz-e-Quran Ki Afadiyat Aur Is Ki Infaradi wa Ijtamai Afadiyat Par Baseerat Afroz Khotabat Kiye. Mokharireen Ne Hafiz-e-Quran Ko Din Ki Hifazat Ka Ek Mazboot Zaria Qarar Dete Huvay Kaha Ke Aaj Ke Is Challenging Daur Mai Quran Se Wabistagi Hi Najat Ki Zamant Hai.
Jalse Me Shirkat Ke Liye Aye Tamam Mahumanan-e-Khususi, Ezazi Maduyin, Mukhtalif Milli, Taalimi Wa Samaji Idaron Ke Zimedaran, Badi Taadad Me Mard Wo Khawateen Shareek Huve. Jalse Ki Khaas Baat Ye Thi Ke Mukhtalif Areas Aur Sheron Se Aaye Huvay Hofaz Karam Ka Walahana Istaqbal Kiya Gaya, Aur Un Ke Ezaz Me Nihayat Purkhulus Andaz Me Tahaif Wa Tauseef Namey Pesh Kiye Gaye.
Darj Zel HUFFAZ-e-KERAM Tehniyati Jalse Me Sharik Rahe.
- Hz. Hafiz Mohammed Abbas Ali Saheb, Donabgatta
- Hz. Hafiz Faqeer Maulvi Mohammed Khizar Saheb, Mehdavia Farah Masjid, Nayandhalli, Bangalore
- Hz. Maulvi Hafiz Faqeer Abu Hurairah Madani Saheb, Jamiat-e-Mahdavia, Matadahalli, Bangalore
- Hz. Maulvi Hafiz Faqeer Syed Akber Saheb, Khurshid Masjid, Mysore
- Hz. Hafiz Syed Nayaz Ashrafi Saheb, Noorani Masjid, Bahdravati
- Hz. Hafiz Faqeer Syed Murtaza Ashrafi Saheb, Masjid-e-Aqsa, Donabagatta
- Hz. Maulvi Hafiz Faqeer Mashayaq Syed Meeran Noorani Miyan Saheb,Tadsa
- Hz. Maulvi Hafiz Faqeer Mohammed Ziaullah Saheb, Masjid-e-Azam, Donabagatta
- Hz. Afzal-ul-Ulama Hafiz Mohammed Zubair Khan Saheb, Manvi
- Hz. Maulvi Hafiz Shah Shahabuddin Nizami Saheb (@ Tabrez), Palacode
- Hz. Maulvi Hafiz Mohammed Aleem Pasha Saheb, Manvi
- Hz. Maulvi Hafiz Syed Roohulla Saheb, Farah Masjid, Donabagatta
- Hz. Maulvi Hafiz Imran Khan Saheb, Noorani Masjid, Donabagatta
- Hz. Maulvi Hafiz Mohammed Khan Nadvi Saheb, Donabagatta
- Hz. Hafiz Syed Umar Saheb Ishaqui Saheb, Mysore
- Hz. Hafiz Mohammed Abdul Musavvir Pasha Saheb, Raichur
- Hz. Hafiz Mohammed Khundmir Saheb, Manvi
- Hz. Hafiz Mohammed Sheeraz Pasha Saheb, Manvi
- Hz. Hafiz Shaikh Taufeeq Saheb, Gulbarga
- Hz. Hafiz Tamseel Mahdi Saheb, Chanpatan
- Azeezam Hafiz Syed Umar Zaki Khundmiri Saheb, Donabagatta
- Azeezam Hafiz Syed Imaduddin Yadullahi, Saheb, Tadsa
- Azeezah Hafiza Nashrah Bint-e-Sadath Ali Saheb, Donabagatta
- Azeezah Hafiza Zuriyath Sallamaha, Walida Sayeeda Farida Banu Saheba Mysore
- Azeezam Hafiz Syed Tauseef s/o Syed Yusuf Saheb, Mysuru
- Hafiza Syeda Nudra Huzaifi D/o Syed Waheed Ashraf Saheb
- Hafiz Syed Abdul Aziz Ahsan, Hyderabad
- Qari Mohammed Haroon Akbar, Hyderabad
- Hafiz Syed Altaf Mahdi, Hyderabad
- Hafiz Mohammad Khizer Ali Khan, Hyderabad
Afsoos Ke Saat Marhum Hz. Hafiz-e-Quran Faqeer Syed Alam Ibrahimi Saheb, Channapatna Ku Yaad Karte Huve Kaha Ke Inka Inteqal Ke Din Hogaya, Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajiwoon. Marhum Ki Ghair Hazri Me Inke Bade Bhai, Ju Sadr-e-Jalsa Bhi Hain, Hazrat Peero Murshid Syed Abdul Hai Ibrahimi Saheb Ku Hazrat Maulana Peer-o-Murshid Syed Waliullah Miyan Ibrahimi Saheb ke Zariye Tehniyat Aur Gulposhi Ada Ki Gai .
Resolution for the Unity, Advancement of the teachings of the Quran and Prosperity of the Huffaz-e Kiram On the occassion of the Jalsa of “Azmat-e Quran” conducted as part of the 600 years celebration of Meelad-e Hazrat Syed Muhammad Jaunpuri Mahdi Mau’ood Alaihis Salaam
All the scholars, the elder Mashaiqeen, the respected Huffaz, honorable people and intellectuals of the community, trustees of the Madrasas and Tanzeems and all the people assembled in this honoured gathering adopt the following resolutions:
- The belief of Khatm-e Nabuwwat (Seal of Prophethood) is a fundamentalbelief in Islam. Every Mahdavi Muslim possesses this belief. Allah has given finality to this belief in the Quran and the Prophet ﷺ himself said, “I am the Khatam-un-Nabieen. There is no Prophet after me.” And, in obeyance of the glad tidings given by the Prophet ﷺ we believe that Imamul Kaayinat Huzoor Meeran Syed Muhammad Jaunpuri Mahdi Mau’ood Alaihis Salam is Khalifatullah, Khatim-ul-Awliya, Mahdi Aakhir-uz-Zamaan and we believe that his teachings are the essence of Islam.
- We emphasise the fact the Mahdaviyat is the essence of Islam. Therefore it is required that sincere steps are taken to disseminate and educate the true teachings of our beliefs to the youth and to kindle religious fervour in them.
- Considering that Ittehad-ul-Muslimeen (Unity among Muslims) is the need of the hour, we pledge that we will adhere to and follow the Mahdavia faith, which is the essence of Islam, without involving ourselves in sectarian and marginal differences. After giving primacy to our Mahdavia beliefs we will always abstain from involving in marginal differences. Further, the efforts for Unity among Muslims will continue. And we will advance the unity, oneness and brotherhood in the Muslim Ummah.
- We consider it obligatory upon us to respect and revere the scholars and the respected Mashayiqeen. We consider is necessary that by remaining in their circle of devotion we strengthen our spiritual connection and beliefs.
- Without doubt, the understanding of the Quran is the only way to save the Mahdavia youth from going astray, decline in morals and waywardness, because the community and society which aligns with the Quran will never be disgraced. Therefore, we will propogate the message of the Quran.
- We appeal to the Guides of the Shariat, the Protectors of the Tariqat, and the Honorable Mashaiqeen to take these Huffaz under their companionship and to guide them so that the Mahdavia community can benefit from them.
- We are delighted to learn that a special committee has been setup in Hyderabad for the religious and worldly guidance of the Honorable Huffaz. We wish that the Honorable Huffaz of Karnataka take benefit from this committee so that effective steps are taken for the betterment of their education, well-being, welfare, livelihood and their status in the society.
Dated: 27th July, 2025
This resolution was adopted with the acceptance of all attendees during the Jalsa for Felicitation of Honorable Huffaz at Mahdavia Farah Masjid (Gangondana Halli) Nayanda Halli, Bangalore. May Allah bestow upon us guidance to adhere to this. Aameen.
MuslimMahdavia Farah Masjid wo Madrasa Charitable Trust, Farah Skill Development Charitable Trust and Mahdavia Madrasa Sufiya (Gangonda Halli), Nayand Halli, Bangalore – 39
Is Mauqe Par Muslim Mehdavia Farah Masjid & Madarasa Charitable Trust ® Ke Buzurq Khidmatgar aur Bani Arakeen Faqir Syed Najmuddin Ashrafi, Sabiq Sadar Aur Faqir Syed Mahboob Miyan Arzoo, Sabiq Sadar Jin Ki Khidmat Shuru Se hi Rahi, Aur Aaj Bhi Agni Sarparasti Aur Apne Andaz Me Masjid Khidmat Ku Sarahte Huve In Dono Buzurg Shakshiyaton Ki Tehniyat Ki Gayi.
Hz Maulana Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui, Saheb Mandya Ne Is Mauqe Par Multazimeen-e-Jalsa Janab Sharfuddin Syed Sahab, President, Aur Janab Shah Nizam Saheb, Secretary - Muslim Mehdavia Farah Masjid & Madarasa Charitable Trust ® Ki Tehniyat-o-Gulposhi Kiye, Inhone In Dono Ki Sarparasti Ki Khub Taarif Ki Ju Bangalore Ke Farah Masjid Me Kai Saalon Se Khidmat Anjam Derahe Hai.
Isi Dauran Hz Maulana Peer-o-Murshid Syed Mubarak Miyan Ishaqui, Saheb Mandya Ne Badi Khushi Ke Saat Mehdavia Times Welfare Trust ® Ke Bani Janab Inayath Ullah Khan Saheb s/o Faqeer Abdul Khader Khan Saheb, Mandya Ki Online Deeni Qidmat Ku Sarate Huve Tehniyat-o-Gulposhi Kiye, Ju Farah Masjid Aur Doosre Maqamaat Se Har Jalsa-o-Deeni Mehfilon Ku Mehdavia Times ke Zariye [LIVE] telecast Karte Arahe Hain.
Farah Skill Development Trust Ke Sadr Janab Syed Shahabuddin Ashrafi Ne Jalse Ko Kamiyab Banane Me Taaun Karne Wale Tamam Ahbab, Bilkhusus Mehman Ulama, Muaziz Haazireen, Volunteers of Jalsah, Mehdavia Times Welfare Trust ® ke Bani Janab Inayath Ullah Khan Saheb Ka Tahe Dil Se Shukria Ada Kiya. Jalse Ki Nizamath Janab Sharfuddin Syed Sahab Ne Ki.
Jalsa Ek Dini Josh Wa Jazbe, Quran Ki Roshani Aur Musiddiqan-e-Mahdi ahs Ki Dini Qurbaniyon Ki Khushbo Liye Huwe Akhtatam Pazeer Hawa.
Is Purnoor Jalsa-e-Tehniyat Ka Nazara Mehdavia Times Ke YouTube Channel Par Dekha Jasakta Hai.