Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Tuesday, May 3, 2022

Ah! Hz. Mashayaq Syed Najmi Miyan Khudmiri Saheb Apni Bibi aur Ek Bachche Ke Saat Ke Car Accident Me Inteqaal Kargaye..

  

Update:  Namaz e Janaza Baad e Zuhur,(2:30pm) @Mehdaviya Eidgah, B.M Road Channapatna on Wednesday, 2nd Shawwal 1443h /  04th May 2022

Chanpatna 1 Shawwal 1443h / 3 May 2022:
Bade Ranj-o-Afsoos Ke Saat ye Ittela Dijati hai Ke Hazarth Mashayaq Peer-o-Murshid Alhaj Syed Mahmood Najmi Miyan Khudmiri Saheb ibn Peer-o-Murshid Syed Khundmir Siddique Khundmiri Saheb Apni Bibi Aur Do Bachchon Ka Aaj Dopaher Car Accident Hogaya.

Accident Me Murshid (42 years), Bibi (30 Years) aur Ek 2 Saal Ka Masoom Baccaha Syed Taqhi Khundmiri Inteqaal Kargaye 
إِنَّا لِلَّٰهِ وَإِنَّ إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

Alhamdullilah Bada Bacha Syed Naqhi Khundmiri (5 Years) Khatre Se Bahar Hai Aur Adichunchungiri Hospital, Bellur Cross me Zere Ilaj Hai.

Dua Hai Ke Allah Ta'ala Haadse Se Shikar Huve Marhumeen Ki Maqfirat Farmaye, Jannatul Firdouse Me Aala Darja Ata Kare, Apne Habeeb Hz. Muhammad Mustafa (sas) aur Khalifatulla Hz. Syed Muhammad Juanpuri Mehdi Maud (ahs) Ke Sadqe-o-Tufail Se Apne Khas Deedar Se Musharraf Kare, Aur Tamaam Pasmandan Ku Sabr-e-Jameel Ata Kare. Ameen Summa Ameen.
Inshallah Namaz-e-Janazah Ki Ettela isi Post Me Update Ki Jayegi

Ju Bacha Abhi Zer-e-Ilaj Hai Uske Liye Aap Sabhi Bhayiyon aur Behno Se Dua Ki Khaas Darqwast Hai. Allah Us Bacche Ko Shifa-e-Kamila Ata Farmaye Aur Jald Se Jald Sehet-o-Tandurusti Ata Kare.Ameen Summa Ameen..

Accident Kaise Hua: Hazarth Mashayaq Peer-o-Murshid Alhaj Syed Mahmood Najmi Miyan Khudmiri Saheb Aaj Subhe Chanpatan Me Eid-ul Fitr Adakarne Ke Baad Apni Masjid Me Zuhur Ki Namaz Ada Ki Aur Apni Ahliya Aur Do Bachon Ke Saat Apne Sasural Tadasa (Bhadravati, Shimogga) Ke Liye Apni Santro Me Ravana Huve.  Aur Raaste Me Honnamachanahalli Taluk Ke Huliyoorudurga Hobli Palace Ke Paas Hyderabad Se Kerala Jane Wali Ek Tipper Lorry  Car Se Takragayi Aur Teen Logon Ke Mauqe Par Hi Maut Hogayi. 
Shadeed Zaqmi Bache Ku Kunigal Ki Government Hospital Me Ilaaj Karne Kiya Gay Aur  Aala Ilaj Ke Liye Nagamangala Ke Adichunchungiri Hospital Me Daaqil Karayagaya Hai.

Marhoom Ke Rishtedaar aur Chanpatan Ke Kai Samaji Khidmatgaar Hospital Pahunch Chuke Hain, Aur Aageki Karawayi, aur Marhumeen Ku Chanptan Lane Ki Karguzari Kar Rahe Hain. Insha Allah Kal Namaz-e-Janaza Hogi, Aur Timings Yahan Par Update Karenge.
Ye Qabar Sabhi Chanpatan walon Ke Liye Aur Khaas Taur Par Mehdaviyon Ke Liye Bada Sadma Layi Hai. Jab Ke Aaj Saare Aalam Me Do Saal Ke Baad Eid Manayajarahe Hain Aur Ye Hadeesa Aaj Eid Ke Din Howa Hai. 

Hum Mehdavia Times Welfare Trust Ki Jaanib Se Marhumeen Ki Maqfirat aur Zer-e-Ilaj Bacche Ki Sehat Ke Liye Dua Karte Hain, Aur Aap Tamaam Se Dua Ki Gujarish Karte Hain Unke Liye Dua Kijiye. Aur Samaji Karkun ( Syed Iqbal Baig, Sha Zakeer, Tiger Team Ke Memberan aur doosre sab)  Ju Hospital Pahunche Hain, Unka Sabka Shukriya Ada Karte Hain.

Appeal:  Dekha Jaraha hai ke Kai Social Media aur WhatsApp Groups me Accident Ke Tasaavir Forward Horahe Hain, Ju Theek Nahi Hai. Hame Kai Murshideen-e-Ikram Ke Phones Aye Hain Aur Advice Kiye Hain Ke Logon Ku Taakit Karne Ke Is Accident Ke Pictures Na Forward Karen, Khususan Bibi Aur Bachon Ke. Hum Murshideen Ki Jaanib Se Aap Sabhi Bhaiyon Se Adaban Guzarish Karte Hain Ke Pictures Na Forward Karen. Agar Hosakta Hai Tu Jald Se Jald Delete For All Karden.

Sawgawar: 
Mehdavia Times Welfare Trust ®

News In Local Media: 
ಘಟನೆ ವಿವರ : ಮಂಗಳವಾರ ಸೈಯದ್‌ಮೊಹಮದ್ ನಜ್ಮಿ ಅವರು ತನ್ನ ಪತ್ನಿ ನಾಜೀಯಾ ಹಾಗೂ ಮಕ್ಕಳಾದ ಸೈಹದ್‌ಖುದ್ ಮೀರ್ ನಬಿ, ಸೈಹದ್‌ಖುದ್ ಮೀರ್ ಹಸಿ ಅವರೊಂದಿಗೆ ರಂಜಾನ್ ಹಬ್ಬ ಮುಗಿಸಿಕೊಂಡು, ಚನ್ನಪಟ್ಟಣದಿಂದ ತನ್ನ ಸಂಬಂಧಿಕರ ಮೆನೆ ಭದ್ರಾವತಿಗೆ ಸ್ಯಾಂಟ್ರೋ ಕಾರಿನಲ್ಲಿ ತೆರಳುತ್ತಿರಬೇಕಾದರೆ, ತಾಲೂಕಿನ ಹುಲಿಯೂರುದುರ್ಗ ಹೋಬಳಿ ಅರಮನೆ ಹೊನ್ನಮಾಚನಹಳ್ಳಿ. ಸಮೀಪ ಹೈದರಾಬಾದ್‌ನಿಂದ ಕೇರಳಕ್ಕೆ ತೆರಳುತ್ತಿದ್ದ ಲಾರಿ ಕಾರಿಗೆ ಡಿಕ್ಕಿ ಹೊಡೆದು ಈ ಅವಘಡ ಸಂಬವಿಸಿದೆ ಎನ್ನಲಾಗಿದ್ದು ಸ್ಥಳದಲ್ಲೇ ಮೂರು ಮಂದಿ ಮೃತಪಟ್ಟರು, ತೀವ್ರವಾಗಿ ಗಾಯಗಾಯಗೊಂಡ ಸೈಹದ್‌ಖುದ್ ಮೀರ್ ನಬಿನನ್ನು ಕುಣಿಗಲ್ ಸರ್ಕಾರಿ ಆಸ್ಪತ್ರೆಯಲ್ಲಿ ಪ್ರಥಮ ಚಿಕಿತ್ಸೆ ನೀಡಿ ಹೆಚ್ಚಿನ ಚಿಕಿತ್ಸೆಗಾಗಿ ನಾಗಮಂಗಲ ತಾಲೂಕು ಆದಿಚುಂಚನಗಿರಿ ಆಸ್ಪತ್ರೆಗೆ ದಾಖಲಿಸಲಾಗಿದೆ, ಘಟನಾ ಸ್ಥಳಕ್ಕೆ ಪಿಎಸ್‌ಐ ಚೇತನ್ ಭೇಟಿ ನೀಡಿ ಪರಿಶೀಲನೆ ನಡೆಸಿ ತನಿಖೆ ಕೈಗೊಂಡಿದ್ದಾರೆ.



2 comments:

  1. Such a tragic incident!😢
    Allaah paak marhumeen ki maghfirat farmaaye, aur apne khaas deedaar se Sarfaraz kare. 'Inna lillaahi wa inna ilayhi rajioon.'

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete