Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Saturday, July 24, 2021

زندوں کی دعائیں مرحومین کی مغفرت کیلئے مددگار ثابت ہوتی ہیں

Zindoun ki Duwaen Marhumeen ki Maghfirat ke Liye Madadgaar Saabith Hotihai. 

Roznaama Aawaz-e-Karnatak ke Zer-e-Ihtemaam Munqadah Taziyathi Nishist se Sharkaaka izhaar-e-Qayal.


Chanpatan, Jumeraat 22 July ko Chanpatan me Roz Nama Aawaz-e-Karnatak ki janib se, Kainaat-e-Adab,Bangalore ke Sadar, Inayath Ulla khan ke walid Faqeer Abdul Khader Khan urf Abdul ke inteqaal par ek Taziyathi Nishist ka ihtemaam kiya gaya. Sadar-e-Anjumane Mehdavia, Sabirullah ki sadarat me chali iss nishist se khitab karte hue Mudeer Syed Abdul Kareem ne kaha, ke 'har insan ko iss duniya se jana hai,lekin jinke apne bichadte hain,inhein iska gham bohot zyada hota hai. Hum dua karte hain ke Allah ta'ala inki maghfirat kare, Jannatul firdaus me aala moqaam de aur Apne deedar se musharraf farmaye.' Aameen

Suhail Nizami ne kaha ke, Ba qoul-e-Inayath ullah khan inke walid e mohtarm ne 9 saal ki umar se hi mehnat karni shuru kardi thi, Apne Ghar ki zimmedariyon ko uthane me inhone koi kasar nahi chodi, taleem ki ehmiyat ko wo samajhte the, Inayath Ullah Khan ki taleemi qabiliyat se iska andaaza hota hai. Inhone kaha ke, 'Insan marne ke baad iske awsaaf acche andaaz me bayan kiye jane chahiye. Aaj shehr-e-Mandya me, Abdul khader Khan urf Abdul ki acchaion ko yaad kiya jata hai,aur inki mehnat aur lagan ke charche hote hain. Yahi baat inki maghfirat ka bayis bansakti hai'. Inayath Ullah Khan ne walid-e-mohtarm ki yaad me taziyathi nishist ka ihtemaam karne par, Aawaaz Karnatak ke Mudeer Syed Abdul Kareem ka shukriya ada karte hue kaha ki, 'aisi nishiston ka ihtemaam maghfirat ka bayis hoti hain.' Nishist me moujood tamaam logon ka inhone shukriya ada karte hue kaha, ke 'duaon se hi maghfirat mumkin hai. Insan ki zindagi me jo Amal hota hai, wahi marne ke baad kaam aata hai. Lekin zindaoun ki taraf se kii Jane wali Duaein maghfirat me madadgaar sabit hoti hain'. 

Iss mouqe par Inayath Ulla Khan ne isale sawab ke liye banaye gaye Tasbeeh ke taghre tohfatan shirkaa ko pesh kiye. Nishist me Mohommed Sabirullah, Sadar-e-Muslim Anjuman-e-Mehdavia, Nayeb e sadar Syed Rafeeq Ahmad Khundmiri, Hotel Shahi Taj ke partner Imran Khan, Bazm-e-Gulzar-e-Adab, Chanpatan ke motamid Syed Burhanuddin Zouq aur Roz Nama Sahara ke zila Reporter Syed Yahiya Moujood rahe.

Report by Suhail Nizami.
Transliteration by Tasviyath Mehdi

No comments:

Post a Comment