Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Wednesday, July 7, 2021

Eid Ul Zuha - Important aspects, rules and consideration for Qurbani

 Dear Brothers & Sisters in Faith

‏اَلسَّلَامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

======================================================= 
Important Announcement for this year:
The last day for cutting hair & nails who are intending to sacrifice is 29th Dhul Qadah, on 9th July 2021 (Middle east) Friday and 10th July (INDIA) Saturday.  

Jo Shaqs Qurbani ki niyaat kiya ho aur Jaanwar ki Qurbani karne wale ho to unke liye Nakhun aur Baal katwane ka aakhri din 29th Dhul Qadah yaani 9 July 2021 (Middle East) Friday aur 10 July (India) Saturday hai.
=======================================================

 Quran mein Allah Ta'ala Ka Farmaan hai:

لَنْ يَّنَالَ اللّٰهَ لُحُوْمُهَا وَلَا دِمَاۤؤُهَا وَلٰكِنْ يَّنَالُهُ التَّقْوٰى مِنْكُمْۗ كَذٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمْ لِتُكَبِّرُوا اللّٰهَ عَلٰى مَا هَدٰىكُمْ ۗ وَبَشِّرِ الْمُحْسِنِيْنَ

Tarjuma: "Allah Ta'ala tak Na Unka Gosht pahunchta hai aur na Khoon Balke us tak tumhari parhezgari pahunch ti hai." (Suratul Haj : 37)

"Neither their meat nor blood reaches Allah. Rather, it is your piety that reaches Him. This is how He has subjected them to you so that you may proclaim the greatness of Allah for what He has guided you to, and give good news to the good-doers"

RasoolAllah ﷺ ne farmaya in dino (ZilHajjah ki Chand raat se Qurbani hone tak)  ke amal se zyada kisi bhi dino  ke amal ki fazilat nahi. Sahaba ne pucha aur kya jihad me bhi nahi ? Aap ﷺ ne farmaya haan jihad me bhi nahi, siwaye us shaks ke jo apni jaan aur maal khatre me daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi na laya, (yani her cheez Allah ki raah me Qurban kar diya)." (Reference: Bukhari Shareef, 969)

Zil’hajjah Islamic calendar mutabik saal ka aakhari mahina hai. Urdu mein is mahine ko Zil’hajjah aur Arabi mein Zul’Hijjah kahte hain. 

Zil’hajjah ki fazilat is maah ke ashrae awwal (shuru ke das dino) ki waja se hai, Jin mein Hajj ke din, aur Eid Uz-Zuha shamil hai, aur isi waja se is ka naam bhi Hajj se mansoob hua.

Gujista saal aur iss saal bhi lagbhag sabhi mulko ko Haj e Baytullah ka mauka Alami waba ke wajah se nahi mil praha hai, behr haal tawajjah iss Mahine ki Fazilat aur khususan Qurbani ke ehtemaam ke baare me kuch likhne ki sahadat haasil karna chahta hu.

Hz Abu qatadah Rz se riwayat hai Hz Muhammed RasoolAllah SWS ne farmaya ke “Yaum-e Arafat yani 9 Zil’Hajjah ka roza aik saal guzishta aur aik saal aindah gunaho.n ka kaffara hai. (Sahih Muslim).

Hadees e RasoolAllah SWS: Umm-ul Momineen Bibi Ayesha Rz se riwayat hai ke RasoolAllah SWS ne farmaya ke “Eid ke din Allah ke nazdeek bande ka sab se pasandeedah amal janwar ka Khoon bahana hai, Banda Qiyamat ke din apne qurbani ke seengo
Khuro.n aur Khaal ke sath Allah ki baargah mein pesh hota hai aur qurbani ka khoon zameen par girne se pahle Allah ke nazdeek sharf-e qubooliyat hasil kar leta hai.Lehaza chahiye ke aadmi khush dili se qurbani ada kare. (Tirmizi, Ibn-e Maja)

Farmaya RasoolAllah SWS ne ke jo shakhs isteta’at (haisiyat) ke bawajood qurbani nahin deta wo Eid gaah (masjid) ke qareeb bhi na phatke (Musnad Ahmed, Ibn-e Maja)

Qurbani kin kin par wajib hai?
Qurabni 6 sharton se wajib hoti hai:
  1. Musalman hona (Ghair muslim ki qurbani jayez nahin aur agar de toh qubool nahin) 
  2. Muqeem hona (Musafir par wajib nahin). Agar kisi jaga do hafton se zyada kisi ka qiyam ho gaya toh wo muqeem mein shamil hoga warna musafir hi mana jayega. 
  3. Azad hona (Ghulam par qurbani wajib nahin) 
  4. Balegh hona (Na-balegh par qurbani wajib nahin) 
  5. Aaqel hona (Majnoon / deewane par qurbani wajib nahin) 
  6. Tawangar hona (yani sahib-e nisab hona miskeen aur faqeer par qurbani wajib nahin)
Qurbani ki Dua / Niyyat:  Hz RasoolAllah SWS ne ba-waqt-e zubah ye dua parhi thi jis ka tarjuma ye hai Tarjuma: “Main Apna rukh us zaat ki taraf karta hun jis ne zameen aur aasman ki takhleeq farmayi aur ye ke main poore imaan ke sath Deen-e-Ibrahim par qayam hun aur yaqeenan main shirk karney walon mein se nahin hun aur bila shuba meri namaz aur meri qurbani aur mera Jeena aur mera marna sab Allah-RabbulAalameen ke liye hai jiska koi sharik nahin hai aur mujhe isi ka hukm diya gaya hai aur main hukm ki Ita’at karne walon mein se hun. Ay Allah ye Qurbani teri hi Ata se hai aur teri hi raza ke liye hai, Muhammad Sallallahu Alayhi Wa Sallam ki taraf se aur uski Ummat ki taraf se Allah ke naam ke saath aur Allah sabse bada hai.” (Sunan Abu Dawud). iske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne janwar ko zubah farmaya.

Hum ko bhi chahiye ke ye pyari si dua jo Hz RasoolAllah SWS ne ba-waqt-e qurbani parhi thi yaad kar len:

“Inni wajjahtu wajhiya lillazi fataras’samawaati wal arza hanifaw wa maa ana minal mushrikeen. Innas salati wa nusuki wa mahyaya wa mamati lillahi Rabbil a'lameen. La sharika lahu wa bizaalika umirtu wa ana minal muslimeen. Allahumma minka wa lak. An ……………………… Bismillahi Allahu Akbar (Yahan “an” ke baad jo jaga khali hai wahan qurbani dene wale ka naam liya jaay). 
Agar ye dua yaad na ho toh is choti si dua ko bhi parh sakte hain. 
Nawaetu’an azbiha bi hazal ……………. an ………….. Fa subhanAllahi wa Bismillahi Allahu akbar.

Aakhir me Allah se dua hai ki ham sab ko ZilHaj ke muqaddas mahine ki tamaam Fazilate ata farma, aur ham se aisa kaam karwa jisse Tu raazi hojaye, aur hamara khaatma Imaan par ho...
Ba Sadaqe Tufail Khaatimain Alayhi Salam.

Aameen ya Rabbal Aalameen.

JazakAllah Kheyr
Tausif D Sayyed
Team Mehdavia Times

No comments:

Post a Comment