Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Sunday, June 14, 2020

Karnataka SSLC Examination -2020 me kis tarha kamiyabi Hasail Karen - Mehdavia Times ka ek anokha Webinar - HasanMahedi Kalekazi ki ek report

Bangalore - 14 June 2020: Ye baat batate huve behad Khushi mehsoos horahi hai ke Mehdavia Times Welfare Trust ne SSLC Tulba ki zarurat ku pura karne ke liye ek anokha Webinar 'Karnataka SSLC Examination 2020 me kistarha kamiyabi Hasail Karen' ka aghaaz kiya. Is programme ka maqsad sirf tulba ko SSLC EXAMINATION 2020 me ache marks lane me madad karnahi nahi tha balke inko ek zimmedar aur qabil shahri (citizen) bhi banana tha ta ke o qoam aur mulk ki taraqqi me hath bata sake.

Is progamme ki shruwat 13 June 2020 ki sham 7:00 baje MEHDAVIA TIMES ke founder Janab Inayath Ulla Khan Saheb ki sureli awaz me QURAN-PAK ki tilawat se huwi.  Rasme isteqbaliya bhi aap hi ke zimme thi jise aapne bahtreen andaz me anjam diya.

7:05pm Janab HasanMahedi Kalekazi Saheb ne ek nirale andaz me aaye huwe mahemano ka taruf (introduction)  karaya jis se hazreen (audience) ko pata chala ke jin se a malumat hasil karne wale hai o koi mamuli hastiyan (personalities) nahi hain balke a apne aap me ilm ka samander rakhte hain in se jitna bhi istafada kiya jaye kam hai.

Karnataka ke muktalif (various) mukamat se zeel (below) ke mahireen-e-talim ko jama kiya gaya tha;

Mr. H.N Ramesh:- Shahr-e-Mandya ke mashur o maruf senior teacher hain. Aap ke educational videos aksar  DD CHANDANA par shai hote rahte hai. Aap ko SSLC students ke saat saat Pre University College ke bacho ko bhi padhane ka ek gahera tajruba hai.

Mr.AbdulKhader Kalekazi:- Aap CSS High School Chikkodi me bahaisiyat-e Mathematics teacher khidmat anjam de rahe hai. Chikkodi Talimi zilla ke best teachers me aap ka shumar hota hai. Aap ke Maths aur Science padhane ke tricks ko log beinteha pasand karte hai aur apnate bhi hai.

Mr. ImranKhan Gawandi:- Ju ek English Ustaad ki haisiyat se Govt High School - Kallol, Chikkodi taluka me khidmat anjaam de rahe hain. Chikkodi taluk me jab bhi teachers ko English training ki bat hoti hai to organisers ke zuban par sab se pahele sirf aaphi ka nam hota hai. Aap Pre University Colleges me Lecturer ki Qidmat ke liye aap ka selection Govt Pre University College aur Minority Pre University College me huwa hai. Aap ne K-SET bhi qualify kiya hai aur ASSISTANT PROFESSOR ke liye koshish jari hai.

7:10pm Mr.H.N Ramesh Sir ne aam faham zuban me SSLC EXAMINATION ke bunyadi chizon ko bahot hi ache andaz me samjhane ki koshish ki, jis ko bachon ne khamoshi ke sat sunate huwe apne shukuk (doubts) ko door kiya.

7:20pm Mr. AbdulKhader Kalekazi Sir ne bade hi pyare andaz me science aur maths ke mutaluq anmol malumat faraham ki jis se bacho ke aksar shukuk door ho gaye. Aap ne chand tricks bataye jise bacho ne bahut pasand kiya. Maths aur science me pesh ane wale aham masail ko pesh karte huwe inka hal bhi bataya.

7:40pm Mr. ImranKhan Gawandi Sir ne muktasr waqt me anokhe andaz me sawali parcha (question paper) kis taraha hota he aur hamara jawabi parcha (answer paper) kaisa hona chahiye is ke mutaluk  bataya jis se bacho ko pata chala ke kis sawal ko kis taraha likhna hai. Jis se hum waqt ka sahi istamal kar sake aur ziyada se ziyada marks la sake. Aap ne chand qeemati baten batai jis se bacho me umid jagi ke o apni umid se ziyada marks layege.

7:55 Sri. H.N Ramesh Sir ne bacho ki malumat me izafa karte huwe apne nirale andaz me social science ke mutaluk bahot si aham malumat fraham ki jo bacho ko social science me ache marks lane me fayadamand hongi. Aap ne bacho ko self confidence ki ahemiyat batayi aur apne tajurbati andaz me samjate huwe bacho ke ander khud ayetamadi paida ki jo bacho ke chahero ki muskurahat se zahir horahi thi. 

8:10 se 8:20 tak sawal o jawab ka session raha jis me is progamme me shamil bacho aur ornganisers ki janib se mukhtalif sawalat kiye gaye jiska aye huwe respected resource persons ne itminan baksh jawabat dete huwe bacho ke ayetamad (confidence) ko aur badaya.

8:20 - Janab Inayath Ulla Khan Sahab ne tamam tulba ki himmat afzayi karte huwe tulba ko apna manzil-e-maqsud uncha rakhne ki nasihat ki. Aap ne tulba ko engineering aur doctori ke alawa IAS, KAS aur doosre Aala options ki ahemiyat aur zaroorat se roshanaz karaya. Tulba se kaha ke aap koi bhi shobe me kaam karna chahen, us shobe me behtar banane ki koshish kare. Apne ander har din improvements laate rahen  aur saabit karen ke YOU ARE THE BEST.

8:25 Janab Tausif Dilawar Sayyed Sahab ne is programme ki akhri kadi rasme shukriya (vote of thanks) ko apne hi ek anokhe andaz me anjam dete huwe is programme ka ikhtatam kiya.

Is programme ki khas bat a rahi ke jo bhi isme shamil huwe o akhri lamhe tak apne ap ko alag nahi kar paye is se a bat zahir hoti he ke tamam hazreen ko a pasand aya jo is programme ki kamyabi ka sabut hai.

Mehdavia Times wishes ALL THE BEST to all the Students who are appearing for KARNATAKA SSLC EXAMS 2020.

No comments:

Post a Comment