Bangalore - 30 Oct 2022: Alhamdulliah, Kal Shaam barooz-e-Hafta, 29th October 2022, Muslim Mehdavia Farha Masjid-o-Charitable, Nayandhalli, Bangalore me Jalsa-e-Seerat-e-Imamul Kainaat (ﷺ) Kamiyaab Raha. Jisme Muqarireen ne Huzoor (ﷺ) ki seerat par apne apne andaaz me roshni daali, naathkhwan hazraath Nazrana-e-Aqeedat pesh kiye. aur kaseer tedaad me jalsagah aur online me bhi hazireen maujood rahe.
Janaab Hafiz-e-Quran Maulana Abu Hurairah Saheb, Khateeb-o-Imam – Jamiat-e-Mahdavia, Matadahalli, Bangalore, Janaab Hafiz-e-Quran Maulana Faqeer Mohammed Khizar Saheb, Khateeb-o-Imam – Farha Masjid, Nayandhalli, Bangalore, Janaab Hafiz-e-Quran Maulana Shah Manzoor Nizami Saheb, Chanpatan aur Hz. Peer-o-Murshid Hz. Maulana Syed Mubarak Ishaqui Saheb, Mehdavia Sadath Masjid, Mandya ne Seerat-e-Imamul Kainat (ﷺ) par taqareer kiye. Qari-ul-Quran, Hz. Mashayaq Maulana Syed Meeran Ashrafi Saheb, Dodamghatta ne Sadarathi khitaab adakiye.
Syed Mahaboob Miyan Aarzoo Saheb, Syed Najammuddin Ashrafi Saheb, Janab Syed Anwar Saheb, Janab Basheer Khan Saheb, Janab Syed Faiz Ibrahimi Saheb, Janab Syed Jawad Saheb, Janab Syed Nuzamuddin Ashrafi Saheb aur Hz. Faqeer Mohammed Suhail Ibrahimi Saheb Guldasta-e-Naat-e-Rasool (ﷺ) ka Nazrana-e-Aqeedath Pesh Kiye. Madrase ke Bachchon ne bhi badchadkar Hissa liya aur Naaten Padhi. Janab Syed Shahbuddin Saheb be Isteqbaliya aur Syed Janab Syed Sharfuddin Saheb ne Nizamath aur Shukriya ke faraiz ada kiye. Is purnoor Jalse ku Mehdavia Times ne apne youtube channel par Live Telecast kiya.
Jalsegah (masjid) me Kaseer tedaad me hazireen maujood rahe aur Madarase me aurten bhi kaafi tedaad me shirkat ki. Iske Alava Online bhi Bahut logon ne Jalse ka lutf-o-Faiz uthaye.
Is mauqe par Muslim Mehdavia Farha Masjid aur Madrasa Charitable Trust ki Janib se Muslim Mehdavia Charitable Trust ke Sadr Janab Mohammed Zahiruddin Saheb, aur Janab Fairoz Khan Saheb, Jamiat-e-Mahdavia ke Secretary Janab Syed Amjad Sujawandi Saheb - Secretary aur Treasurer Hz. Faqeer Mohammed Suhail Ibrahimi Saheb aur Mehdavia Times Welfare Trust ke Founder Janab Inayath Ulla Khan Saheb ki gulposhi ki gayi.
Namaz-e-Isha aur Tazbi ke saat Jalsa Iqtetaam ku pahuncha aur tabarukkan dinner ka intezaam bhi kiya gaya tha.
Janab Shah Nizam Nizami Saheb - Secretary, Janab Sayed Azam Saheb, Janab Syed Zahir Dilawari Saheb aur Janab Syed Mustaq Saheb, Janab Syed Shafi Mahboob Miyan Saheb, Janab Bashrath Ali Khan Saheb, Janaab Fayaz Ali Khan Saheb, Janaab Syed Nouphil Saheb, Janaab Syed Wajid Saheb aur Janaab Peer Khan Saheb ki intemazia me behtareen karguzari rahi.
Note: The first 3 parts were streamed live on our channel, but due to a network issue, the live streaming was stopped and recorded on the device, which is uploaded in parts 4 to part 7. Please listen one by one and share with your family and friends.
Jazak Allah Khair.
No comments:
Post a Comment