Special Message

As Salamu Alaikum Rahamthullahi wa Barakatahu Keep visiting Mehdavia Times for community updates.

Friday, March 20, 2020

Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia Daira-e-Islam, Chanpatan ki jaanib se Corona Virus ku rokne ke liye Ihtiyati Tadaabir

Muaziz Hazraat, As salaamu aiakum rahmathullahi wa Barakatahu

Aaj baroze Jumma 20 March 2020 Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia Daira-e-Islam, Chanpatan
Aap tamaam ku ittila dijarahi hai ke Corona Virus ke Dabao se bachne ke liye zaruri hai ke paaki saafi ka khas khayal rakha jaye. Aur ruju Allah tauba astaqfar karte huve Namazon Zikullallah aur Quran-e-Paak ki tilawat ki taraf tawajja zarori hai. Apne aapke hifazat kartehuve bachon par nazar rakhen, bahar ki koi shai khane aur istemal karne se manaa Karen. Bachon ku paak o saaf rehne targeeb den. Aur gharon se bahar nikalne se kuch din ke liye manaa Karen.
Ab in tawajja talb baton par khaas qayal rakhen;
1.       Har ek fard par zaroori hai ke paaki safai ka khas khayal rakhen.
2.       Istenja paikhana ya baitul qula apne ghar ka istemal Karen.
3.       Apne haaton ku hamesha saabon se ke zariye paak-o-saaf rakhen aur apne atraaf ka mahoul paak-o-saaf rakhen.
4.       Har hamesha ba wazu rehne ki saadath hasil Karen.
5.       Apni zaati dasti ya towel aur topi alheda istemaal Karen aur ghar se hi wazu banakar masjid jayen. Aur sajde ki jagah apna towel ya dasti rakkar ispar sajda Karen.
6.       Ek dusre se apne haaton ku milane se guzar Karen.
7.       Is dabao ke baare me mashor hai ke naak aur moo se phailti hai, isliye wazu karne walon ke liye ye zaroori hai wo naak ku dikhave ke liye balke naak ke andar ke hisse tak paani pahunchayen. Isitarha kulli karne se bhi paani halaq tak pahunchayen. Neez gusul karne walon ke liye zaroori hai ke wo naak saaf Karen tu paani naak ki upri hisse tak pahunchayen, aur kulli karne tu halaq tak pahunchayen, warna ghusul sahi nahi honga.
8.       Zyada bheed baad me rehne se bachen.
9.       Tamaam masajid me namaaz jumma ka qutba aur namaaz char (4) jumma tak ek se ded baje tak (1:00 pm to 1:30 pm) tazbih par qatm hoga.
10.   Masajid ke zimedaron se guzarish hai ke paaki safai ka qaas qayal rakehn, chan dino tak masajid ke towel aur topiyan nikalden.

Allah rabbul izzat ham sabku har qisam ke dabao aur bimariyonaur qaas kar Carona virus jaisi dabao se mehfooz rakhen.
Aameen Summa Aameen.

Sadr-e-Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia Daira-e-Islam, Chanpatan


No comments:

Post a Comment