Friday, March 20, 2020
Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia Daira-e-Islam, Chanpatan ki jaanib se Corona Virus ku rokne ke liye Ihtiyati Tadaabir
Muaziz Hazraat, As salaamu aiakum rahmathullahi wa
Barakatahu
Aaj baroze Jumma 20 March 2020 Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia
Daira-e-Islam, Chanpatan
Aap tamaam ku ittila dijarahi hai ke Corona Virus ke Dabao
se bachne ke liye zaruri hai ke paaki saafi ka khas khayal rakha jaye. Aur ruju
Allah tauba astaqfar karte huve Namazon Zikullallah aur Quran-e-Paak ki tilawat
ki taraf tawajja zarori hai. Apne aapke hifazat kartehuve bachon par nazar
rakhen, bahar ki koi shai khane aur istemal karne se manaa Karen. Bachon ku
paak o saaf rehne targeeb den. Aur gharon se bahar nikalne se kuch din ke liye
manaa Karen.
Ab in tawajja talb baton par khaas qayal rakhen;
1.
Har ek fard par zaroori hai ke paaki safai ka
khas khayal rakhen.
2.
Istenja paikhana ya baitul qula apne ghar ka
istemal Karen.
3.
Apne haaton ku hamesha saabon se ke zariye paak-o-saaf
rakhen aur apne atraaf ka mahoul paak-o-saaf rakhen.
4.
Har hamesha ba wazu rehne ki saadath hasil Karen.
5.
Apni zaati dasti ya towel aur topi alheda
istemaal Karen aur ghar se hi wazu banakar masjid jayen. Aur sajde ki jagah
apna towel ya dasti rakkar ispar sajda Karen.
6.
Ek dusre se apne haaton ku milane se guzar Karen.
7.
Is dabao ke baare me mashor hai ke naak aur moo
se phailti hai, isliye wazu karne walon ke liye ye zaroori hai wo naak ku
dikhave ke liye balke naak ke andar ke hisse tak paani pahunchayen. Isitarha kulli
karne se bhi paani halaq tak pahunchayen. Neez gusul karne walon ke liye
zaroori hai ke wo naak saaf Karen tu paani naak ki upri hisse tak pahunchayen,
aur kulli karne tu halaq tak pahunchayen, warna ghusul sahi nahi honga.
8.
Zyada bheed baad me rehne se bachen.
9.
Tamaam masajid me namaaz jumma ka qutba aur
namaaz char (4) jumma tak ek se ded baje tak (1:00 pm to 1:30 pm) tazbih par
qatm hoga.
10.
Masajid ke zimedaron se guzarish hai ke paaki
safai ka qaas qayal rakehn, chan dino tak masajid ke towel aur topiyan
nikalden.
Allah rabbul izzat ham sabku har qisam ke dabao aur
bimariyonaur qaas kar Carona virus jaisi dabao se mehfooz rakhen.
Aameen Summa Aameen.
Sadr-e-Ijma-e-Murshideen-e-Groh-e-Mehdavia
Daira-e-Islam, Chanpatan
Labels:
Chanpatna,
Corona,
Corona Virus,
Ijma-e-Murshideen-e-Mehdavia
Thursday, March 19, 2020
Safai Karona Warna Padega Rona - صفائی کرونا ورنہ پڑیگا رونا - عنایت اللہ خان
میرے پیارے بھائیوں اور بہنو,
صفائی کرونا
ورنہ پڑیگا رونا
آپ سب سے ادبان گزارش ہے کے اپنے اپنے صحت کا خیال رکھیں, اور دن کے سارے
نمازوں کو تازہ وضو کے ساتھ اتا کریں.
, اور خسسان اپنے گھروں اور موہللوں کو صاف سترا رکھیں
غیر ضروری طور پر بھیڑ میں نہ جانا
اور خسسان اپنے گھروں اور موہللوں کو صاف سترا رکھیں, اور بے برکاتی سے بچن
بھائیوں اور بہنوں آج کے اس شیطانی کورونہ وائرس سے بچنے کے لئے صرف دواؤں سے ہی کام نہیں چلتا, صفائی بھی کرنا بہت ضروری ہے, جسے امان کا آدھ حصہ بھی کہا جاتا ہے.
یہ مشاہدہ کیا جاتا ہے کہ ، زیادہ تر وقت لوگ سڑکوں پر غیر صحتمند طریقے سے کچرا پھینک دیتے ہیں۔
جیسے ناک صاف کرنا اور پھر اسے اپنے ہی چہرے پر لگانا
ایسے مے ہم بھلا کیسے کہے کے ہم مسلمان ہیں.
پچھلے الیکشن میں ، ہم سب نے یقینی طور پر کارپوریٹر کے عہدے کے لئے اپنے پسندیدہ امیدواروں کا انتخاب کیا ہے۔
اب وقت آگیا ہے کہ ان کارپوریٹرز کو اپنے علاقے کو صاف ستھرا بنانے اور اسے صحتمند طریقے سے برقرار رکھنے کے ل use استعمال کریں۔
Don't just ELECT and FORGET
You should also ENGAGE
them in PUBLIC SERVICE.
بہت سارے لوگ "چبوتروں" پر بیکار بیٹھے اپنا قیمتی وقت ضائع کرتے ہیں ، اس کے بجائے انہیں گھروں پر بیٹھ کر قرآن مجید پڑھنا چاہئے جبکہ قارئین کا مشاہدہ کرنا چاہئے۔ مطلب - وہ اپنے گھروں میں قرآن کے ساتھ اپنا وقت گزاریں۔ اس طرح آپ نہ صرف اپنے آپ کو کورونا یا اس طرح کے کسی وائرس سے بچا رہے ہوں گے ، بلکہ آپ اپنے آپ کو شریر افکار اور بیکار سرگرمیوں سے بھی بچاتے رہیں گے۔
- بیشک قرآن آسی بوریون کا اینٹی وائرس ہے۔
آخر میں ہم اللہ رب العزت سے دعا کرتے ہیں کہ وہ ہر انسان کو اس خوفناک کورونا وائرس سے بچائے۔
آمین
اور اپنے موہللوں کی صفائی کرنے اور کروانے کے لئے اپیل کرتےہیں.
صفائی کرونا ورنہ پڑیگا رونا.۔\
جزاک اللہ خیر
عنایت اللہ خان
عوامی مفاد میں جاری کردہ بذریعہ
مہدویہ ٹائمز ویلفیئر ٹرسٹ
As Salam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa
Barakaatuhu.
Mere Pyare Bhaiyon Aur Behno,
Safai Karona Warna Padega Rona
Aap Sab Se Adaban Guzarish Hai
Ke Apne Apne Sehat Ka Khayal Rakhen, Aur Din Ke Sare Namazon Ku Taza Wazu Ke
Saat Ata Karen. Bewajha Beed Me Najayen. Aur Khususan Apne Gharon Aur Mohallon
Ko Saaf Sutra Rakhen, Aur Bebarkati Se Bachen.
Bhaiyon Aur Behnon Aaj Ke Is Shaitani
Corona Virus Se Bachne Ke Liye Sirf Duaon Se Hi Kaam Nahi Chalta, Safai Bhi
Karna Bahut Zaruri Hai. Jise Imaan Ka Aada Hissa Bhi Kaha Jaata Hai.
Aksar Dekha Jata Hai ke Kuch Log
Gharon Ka Kachra Betarike Se Galiyonmehi Phenk Detehain, Jaise Ke Naak Saaf
Karke Chehron Parhi Lagarahehon. Aur Jo Jagah Mukarrar Ho Waha Kabhi Nahi
Phekte. Aise Me Ham Bhala Kaise Kahe Ke Ham Musalmaan Hain.
Pichle Elections Me Hum Sabne Apne Apne Pasandida Candidates Ku Corporators Banaya Hain. Waqt Agaya Hai Ke
Humsab In Corporators Se Kaamlen. Aur Apne Mohallon Ku Saaf Karvayen Jisse
Allah Hame Barkat aur Sehat Ata Kare.
Don't just ELECT and FORGET,
You should also ENGAGE
them in PUBLIC SERVICE.
Bahut Log Bekar Me
Chabootronpar Baitkar apna qeemti Waqt Zayan Karte Hain, Bajaye Iske Apne Aap Ku Quarantine
ke saat Quran Time Karen (Yani Quran Ke Saat Apne Apne Gharon Me Waqt Guzaren).
Isa Karne Se Aap Na Sirf Corona Ya Koi Aur Virus Se Bachenge Balke Waqt Ka Sahi
Istemal Bhi Karenge, Shaitan Ke Shar Se Bhi Bachenge - Beshak Quran Aisi Buraiyon Ka Anti-Virus Hai.
Aqir Me Hum Aap Sabki Sehat Ki Hifazat Ke
Liye Dua Karte Hain. Allah Har Insan Ku Corona Se Bachae. Aameen.
Aur Apne Mohallon Ki
Safai karne aur karwane ke Liye Appeal Kartehain.
Safai Karona Warna Padega Rona.
Jazak Allah Khair.
Inayath Ulla Khan
Issued in Public
interest by
Mehdavia Times
Labels:
Anti Virus,
Cleanliness,
Corona,
Daira,
Iman,
Islam,
Paaki,
Safai
Subscribe to:
Posts (Atom)