4 May 2023 / 13 Shawwal 1444 AH: السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللَّهِ وَبَرَكاتُهُ Aaj Ba Roz Jumerat 13 Shawwal 1444h ke Din Sultan ul Naseer, Badr-e-Muneer Syed-us-Shohda Siddiq-e-Vilayat Hazarat BANDAGIMIYAN SYED KHUNDAMEER (Raziallahu Ta'ala Anhu) ki Behr-e-Aam Hai, aur Jumma Yani 14 Shawwal (5 May 2023) ke Din Urs-e-MuBarak Hai. Ayiye Is Mauqe Par Bandagi Miyan Ki Seerat-e-Paak par ek Nazar Dalen.
1. Badre Muneer Hazrat Bandagimiyan Syed Khundamir (Rz) ke walid Miyan Syed Moosa(Rh) syed, nekbakht, nekokaar aur bawaqt wafat shahadat ke martbe par faez huye. Aap(Rh) parhezgar, shariyat par gaamzan aur Allah ke dost the. Beshak marhaba hai uss baap par Jiska farzand aysa baa-kamaal ho
- Qabil e tahseen hai wo sipi (shellfish)
- Jisne aysa umdah moti parwarish kiya!
Hazrat Bandagimiyan (Rz) ki waledah Bibi Buwa Taaj (Rh) bhi asamat panah (parhezgar), ifat dastgaah (paarasa) thi'n.
San 887 hijri muqam Peera'n Patan me Sultan-ul-Naseer, Badr-e-Muneer Hazrat Bandagimiyan Syed Khundamir Raziallahu ta'ala anhu ki wiladat huyee. Kahate hain ke uss waqt ek noor zahir huwa tha. Aap(Rz) ke noor se poora makan munawwar ho gaya tha!.
Jaisa ke Sahabi-e-Mahdi(AS) Hazrat Bandagimiyan Malik ji 'Mehari' (Rz) ne Hazrat Bandagimiyan(Rz) ke taarif me kaha hai: 'Aye binaee walo! Aagah ho jao ke Allah ki taraf se 'Noor' zahir ho gaya hai, 'Ullu(ek parinda) ki aankh jo din ko nahi dekhti, usko to aafatab ke noor se koi hissa beharah nahi!!'
- 📚Shah Burhan Daftar Awwal 🖋 Hazrat Bandagimiyan Syed Burhanuddin (Rh)
2. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Raziallahu ta'ala anhu ki umar mubarak ba-fazale Khuda e ta'ala jab 3 saal ki thi, ek roz makan ke sahan me bachapan ke tariqe ke muwafiq mitti ke toode (mitti ka dher) se khel rahe the aur bazahir usme mashgool the ke achanak ba-fazle khuda Deedar e Haq ki tajalli huyee aur zaat e mutalaq ki ruyyat se musharraf huye.
Mazakoor mamela ke zaahir hone ke baad Allah ta'ala ke fazl se zaate sharif 'Noorun aala Noor' (Hazrat Bandagimiyan Rz) me kasarat ke saath akhlaq e hameedah, awasaaf pasandidah aur naadar qism ke af'aal zaahir hone lage, jisko har aalim, muhaqqiq aur aarif mulakhat karke (dekhna,gour karna) ta'aajjub karne laga aur unme se har ek sahi zaban me kahane laga ke: 'Ya Ilahi! Iss barguzidah bachche ka mamela kya soorat eqatiyar karega?Aur inka muzakarah kya nouiyat (khususiyat) eqtiyar karega?'
Iss Habibul Habib(Hazrat Bandagimiyan Rz) ka ajeeb wa gharib tareen ma'amala aysa raha hai ke 3 saala umar ke darmiyan Allah ta'ala ke fazl se haal e baatini akamal wa mukammal paya!!
- Reference: 📚Daftar Awwal Shah Burhan 🖋 Hazrat Bandagimiyan Syed Burhanuddin (Rh)
3. Jab Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Razialkahu ta'ala anhu ki umr sharif 6 ya 7 saal ko pahunchi to aap(Rz) se bahut si ajeeb wa ghareeb baate'n roonuma hone lagee. Masalan, koi shakhs jab aap(Rz) ko duniyawi amoor ki taraf targheeb dilata aur aap(Rz) ke walid ke manasab ka shauq dilana chahata aur kahata ke Miyan(Rz)! Tum badashah ki mulazamat eqatiyar kar lo aur apne walid ka manasab haasil kar lo to aap(Rz) iss kam-umari mey ye umada jawab dete:
'Ham ne apne ma'abood ko dekha hai aur naukari aur bandagi bhi apne khaliq hi ki karenge , ham makhlooq ke naukar-chakar nahi banenge , ham makhlooq ko sar jhukaakar salam nahi karenge !!'
Aysi mubarak sifaat hasti ki guftagu par tamaam aqala'e zamana(danishwar) mut'ajjab (ta'aajjub karnewale) ho gaye aur ghour karne lage ke ye sahab e asaraar (poshida bate'n, bhed) ladaka aur makhzan e anwaar (noor ka khazana) bachcha kya kahe raha hai!!
Bachpan mey Miyan (Rz) ka ye haal tha to 'Tasdiq e Mahdi (AS) ke baad ka aalam kya hoga!!
- Reference: 📚Daftar Awwal Shah Burhan 🖋 Hazrat Bandagimiyan Shah Burhanuddin (Rh)
4. Jab Hazrat Bandagimiyan Syed Khundamir Raziallahu ta'ala anhu ki umr sharif Allah ta'ala ke fazl se 9 ya 10 saal ko pahunchi to Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) Rabbul izzat ki ruyyat ke sachche taalib ne beinteha talab ke saath apni ye aadat bana li thi ke jaha'n kahi'n kisi buzurg ya kisi aalim ya kisi mulla ya kisi bade-budhe ko dekh lete ya kisi jagah unki moujudagi soon lete to uske nazdik pahunch jaate aur ba-kamaal adab apne parwardigar ke deedar ke baare me istafsaar(daryaft) karte ke koi hai jo Khuda ki zaat ko bande ko dikhla de aur bande ki iss mushkil ko hal kar de!
Jo koi soonta, iss kam umri ki haalat me aysa aarifana guftagu par sakht ta'ajjub karta aur hairat jadah ho kar rah jaata! Kyonke iss mushkil ka hal karna har kisi ka kaam nahi, ye to bas Hazrat Mahdi Maa'ood Alaihissalam ka khaasa tha, unhi se Haq ta'ala ne iss mushkil ko hal bhi karawaya.
- Reference: 📚Daftar Awwal Shah Burhan 🖋 Hazrat Bandagi miyan Syed Burhanuddun (Rh)
5. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Raziallahu ta'aala anhu Hazrat Bandagimiyan Malik Bakhan(Rz) ke saath Imamuna Hazrat Mahdi Maa'ood Alaihissalam se milne ke liye Khan Sarawar ke hauz par pahunche. Jo'n hi Hazrat Mahdi Maa'ood Alaihissalam ne Hazrat Bandagimiyan(Rz) par nazar daali aur Hazrat Bandagimiyan(Rz) ne Hazrat Mahdi(AS) ko dekha, Imamuna (AS) ne farmaya "Aao Biradaram Syed Khundameer"! Phir farmaya, "Ham aur tum ek jaddi Hussaini Sayyed hain."
Usi waqt Hazrat Bandagimiyan(Rz) mustagarq bahaq ho gaye. Imamuna(AS) ne Hazrat Bandagimiyan (Rz) ka sar apne zaanu mubarak par rakha aur Zikre Khafi ki talqeen farmaee. Uss waqt kisine arz kiya Mira'nji! Unka naam to Miyan Khundameer hai! Hazrat Mahdi Alaihissalam ne farmaya "Khairji, hamare bhai Miyan Syed Khundameer Siddiq hain."
Uss waqt Hazrat Bandagimiyan (Rz) ki umar 18 saal ki thi. Hazrat Mahdi(AS) ke diye huye iss laqab ki beena par Miyan Syed Khundameer "Siddiq e Vilayat" ke naam se mashahoor huye.
- Reference: 📚Seerat Siddiq e Vilayat rz. 🖋 Hazrat Peer O murshid Miyan Syed Ismail urf Moosamiyan sahab qibla rh.)
6. Hazrat Bandagimiyan Malik Bakhan(Rz) jab Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer(Rz) ko Hazrat Mahdi Alaihissalam ki khidamat mey hazir hone ke liye le aaye tab Asar ki namaz ka waqt qareeb tha. Sab mahajareen(Rz) namaz ke liye saf-bandi karke Aa'nhazrat(AS) ke muntazir the. Jab Shah e Zama'n(AS) Asar ki namaz ke liye bahar tashrif laye to yakayak Amir Kabir Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer(Rz) ki nazar iss zaat e aali darjaat par padhi. Aa'nhazrat(AS) ko dekhte hi azamat wa jalal e Ilahi ki tajalli se mast wa behosh hokar geer pade!
Iske baad iss 'Haadi e Kaayanat ' ne iss 'Taalib e zaat ' ki janib chand qadam tashrif farmakar unka sar apne aagosh mubarak mey liya aur apni mubarak saa'ns ke saath zikr e khafi ki talaqeen farma'ee aur Qur'an ki aayat(tarjuma),
'Allah noor hai aasmano aur zamin ka aakhar tak Bandagimiyan (Rz) ke haq mey padhkar irshad farmaya "Roghan, phatila(charagh ki batti) aur charaghdan tamam lawazamat e charagh Miyan Syed Khundameer(Rz) ke paas maujood they, magar sirf sulagana baqi rahe gaya tha, to ' Charagh e Vilayat ' se roshan kiye gaye, pas ' Noorun aala Noor ' ho gaye!!"
- Reference: 📚Tazkiratussalehin 🖋 Moulif: Hazrat Bandagimiyan Syed Hussain Rh.nabeerah Hazrat Bandagimiyan Syed Ali Sutoon e Deen Rh.
7. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Siddiq e Vilayat Raziallahu ta'aala anhu Hazrat Mahdi Alaihissalam ki khidamat aqadas me Patan sharif me hazir huye aur Imamuna(AS) ne zikr e khafi ki talaqeen farmayee to Bandagi miyan (Rz) mustgharq ba-haq ho gaye. Hazrat Mahdi(AS) ne Miyan(Rz) ko bhi istegharaq(kisi khayal me doob jana) ki haalat me namaz ke liye apne saath laye.
Namaz hi me jo mamela pesh aaya aur Allah ta'ala ka farman huwa ke:"Aye Syed Khundameer(Rz)! Tu ne dekh liya teri zaat ki bashri kasafat (gheelazat) ko ham ne kis had tak door kar diya hai, Ye tujh par hamara ehasan hai. Pas iss ehasan ki shukra guzari mey tu hamare paas kya tohafa laaya hai?"
Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) ne arz kiya, "Aye mere parawardigar! Mujhe biwi-bachche nahi hain ke mai unhe tujh par qurbaan kardu'n. Albatta sar ka ye tohafa haazir karta hu'n."
Hukm e Khudawandi huwa ke "Aye Syed Khundameer(Rz)! Ham tere sar ke hi khawahishmand hain. Jo koee hamari zaat ka talabgaar ho use apne sar se haath dhona padata hai.!!"
Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz)ne janab Baari ta'ala me arz ki ke: "Aye Paak Parawardigar ! Ye ek sar kya hai , agar 100 sar bhi ho'n to tujh par qurbaan kar doo'n !!"
- Reference: 📚Seerat Siddiq e Vilayat rz. 🖋 Hazrat Peer O murshid Miyan Syed Ismail urf Moosamiyan sahab qibla rh.
8. 'Jang e Badr e Vilayat' ke pahale Hazrat Bandagimiyan Raziallahu ta'aala anhu ne da'erewalo ko nasihat karte huwe farmaya: "Munkareen ye samaz rahe hain ke ye jama'at bilkul thodee hai, unko naabood kar denge! Lekin tahaqeeq ke saath jaane raho ke jab tak iss bande ka sar tan par hai naam e Mahdi (AS) lene mey awam ko zara tawaqquf (deri) ho raha hai. Jab ek mutthi bhar khak bande ke khoon se tar ho jayegi to shahar-b-shahar, kucha-b-kucha naam e Mahdi(AS) bekhauf wa khatra liya jayega. Nez jama'at jo ja'eef aur kam tadad hai, roz-b-roz qawi(taqatwar) aur kaseer hoti jayegi aur munkareen mey badshah aur unki aulad, umraa aur unki aulad, ulema-mashayaqeen aur unki aulad jo bhi iss qatl na-haq ke fatwe mey dakhil they, unki izzat jayegi aur iss vilayat mey zaleel aur khawar(ruswa) ho kar rahenge aur din-b-din fana ki ghaat mey ootarte jayege!!'
Agar aysa ho to tahaqeeq se jaan-na ke bande ne ye kaam Khuda, Rasool(SAWS) wa Mahdi(AS) ki taraf se maalumaat paa kar kiya. Agar aysa na ho to jaan lo ke bande ka ye kaam khawahish nafs ki beena par huwa!!
- Reference: 📚Shawahid ul Vilayat 🖋 Hazrat Bandagimiyan Shah Burhanuddin Rh.
9. MAQAM E BANDAGIMIYAN RZ
Hazrat Bandagimiyan Shah Burhanuddin (RA) Daftar Awwal Shah Burhan me tahareer farmate hain:
'Mushq aur gulab se moo'nh ko Mai ne hazaar baar dhoya hai Fir bhi mera moo'nh teri taarif Bayan karne ke layaq nahi'
Beshak Hazrat Babdagimiyan Raziallahu ta'ala anhu ka wasf, Allah ta'ala, Huzoor Nabi e Kareem(SAWS) aur Inam e Aakharazzama(AS) hi jaante hain.
Ruba'ee
Siddiq e Vilayat(Rz) ka fazal
Makhabar e Sadiq jaanta hai
Uska haqiqi sharf
Imam e Hazaq hi jaanta hai
Nas e Quran 'Qatalu wa Qutilo'
Jo unke haq me hai
Iss jagah jo raaz hai
Jisko Khaliq hi jaanta hai
- Reference: 📚Daftar Awwal Shah Burhan 🖋 Hazrat Bandagimiyan Shah Burhanddin (RA)
10. Terah (13) Shawwal ko Malik Sharfuddin(Rh), jagiradar Sudrasan, ne Hazrat Bandagimiyan Raziallahu ta'aala anhu ko tamaam ahel wa ayyal ke saath apni jagir Sudrasan laa kar thaharaya aur jang ke zakhmiyo'n ki maraham-patti ki.
Ayanal phir 14 Shawwal ko apne lashkar ke saath Sudrasan ki taraf kooch kiya. Jab zalimo'n ka lashkar nazdik aaya to Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal(Rz) ne kamaal darja farahat ke saath Bandagimiyan (Rz) ko khabar pahunchayee ke
Abbaji! Zalimo'n ka lashkar phir aaya hai! , Ye soon kar wo aal e Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tamaam taarif Allah ke kiye hai jiske wadah ki ham ne tasdiq ki thi aur usne apna wadah poora kar dikhaya!"
Pas jis waqt lashkar nazdik aaya Miyan Syed Jalal(Rz) ko boolakar Hazrat Bandagimiyan(Rz) ne ghode par sawaar kiya aur khud bhi sawaar ho kar zalimo ki taraf rookh kiye.
Iss waqt kisi ne kaha:"Miyan Syed Jalal(Rz) ko ahalekhana hi ke paas rakhna chahiye."
Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) ne farmaya: "Iss farzand e jaani ko bande ne Mahdi Maa'ood(AS) ke naam par qurban kiya hai , isko hargiz apne se jooda nahi karunga !!"
- Reference: 📚Tazkiratussalehin 🖋 Moulif: Hazrat Bandagimiyan Syed Hussain Rh.nabeerah Hazrat Bandagimiyan Syed Ali Sutoon e Deen Rh.
11. Chaudha (14) Shawwal 930 hijri Juma ki subha dono fouje'n ek dusare ke muqabil aur ru-baru huyee. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Raziallahu ta'aala anhu ne apne farzand deelband Miyan Syed Jalal(Rz) ko farmaya, "Aye farzand e raahat e jaan!! Apna ghoda uss fouj me daudao!"
Phir Aa'nhazrat(Rz) aur dusare biradaro'n ne bhi apne ghode daudaye aur unn zalimo ki fouj par toot pade. Iss mouqe par bhi be-had ladaee aur be-shoomar hamle huye, yaha'n tak ke sab ke sab ek-do martaba zalimo ki lashkar ke iss taraf se uss taraf tak maaratey huwe gaye aur uss jaanib se iss jaanib aaye. Iss me kayee sau zalim, momino ke haatho'n dakhil e dozakh huye.
Fuqaraa ki jama'at se sab se pahale nau-nihaal 'Bagh e wisal e Zul-Jalal' Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal Raziallahu ta'ala anha ne 'Sharbat e Shahadat' nosh farmaya!!
Jab ye khabar Hazrat Bandagimiyan (Rz) ke goshe aqadas mey pahunchi to zaban e haal aur zaban e maqal (baat-cheet) se aap(Rz) ne farmaya: "Tamaam taarif Allah ke liye hai, jisne meri nazar apne ehasan wa karam se qubool farmaee.!!"
Iske baad zalimo ne Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal(Rz) ke halaq par chhuri pher dee!!
- Reference: 📚Tazkiratussalehin 🖋 Moulif: Hazrat Bandagimiyan Syed Hussain Rh.nabeerah Hazrat Bandagimiyan Syed Ali Sutoon e Deen Rh.
12. Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal(Rz) ko shaheed karne ke baad zalimo ne unke halaq par chhuri pher di! Hazrat Bandagimiyan Raziallahu ta'aala anhu ne farmaya: "Hai afsos! Zalimo, tum ne mere nabalig farzand ke halaq par chhuri pheri hai, Khuda e ta'aala tumhari bhi aulaad par chuuri pherega!!"
Iss hadesa haulnaak ke baad aman wa aaraam mulk Gujrat se bilkul naabood ho gaya aur Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) ke farman ke mutabiq uss zamin ke badshaho ki aulaad mey barabar chhuri chalne lagee, ayasi ke ek dusare ko maarata hi raha, yaha'n tak ke tamaam ke tamaam ek dusaro'n ke haatho'n maarey gaye aur badashahi moghalo'n ke hawaale ho gayee.
Yahi haal unn ulema-mashayaqeen ka bhi huwa, jinhone Mahedaviyo'n ke khilaf qatl ke fatawe jaari kiye they, na wo rahe na unka naam wa nashaan!!
Allah(SWT) ka farman bhi hai(tarjuma): Aur jo tum par musibat padhti hai, so uss gunah ki wajha se jo tumhare haatho ne kiya!
13. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Siddiq e Vilayat Raziallahu ta'aala anhu ke 'Qatalu wa Qutilu' ke tahat qattal aur aap(Rz) ke bemisal shahadat ke baad Gujrat ki gali-gali, kucha-kucha mazhab e Mahdaviya aur Hazrat Mahdi Mau'ood Alaihissalam ka bila khouf wa bila jhijak naam liya jane laga. Roz-b-roz jiyada se jiyada tableegh hone lagi.
Hazrat Siddiq e Vilayat (Rz) ka ye kaha poora huwa: "Iss qaum ke bache huwe fuqaraa, aaindah kisi khauf wa khatare ke baghair, Allah ki ibadat aur uski yaad mey masroof rahenge aur makhlooq tak 'Dawat e Haq' pahunchane mey mashgool rahenge. Mahadviyon par uss waqt tak jor wa zulm hota rahega, jab tak BANDE ke tan par sar hai! Aur jab BANDE ke khoon se ek mutthi(handful) mitti(clay) tar na ho jaye, Mahdi (AS) ka naam gali-b-gali na hoga!!!
- Reference: 📚Seerat Siddiq e Vilayat(Rz) 🖋 Moulif: Peer O Murshid Hazrat Miyan Syed Ismail urf Moosa miyan sahab qibla Rh.
14. Hazrat Mahdi Maa'ood Alaihissalam ke saboot mey 'Badr e Vilayat' ki jang hujjat anwar (roshan daleel) shams wa qamar ki tarha zahir hone wali thee. Isko Sayyad us Saadaat, Badr e Muneer (roshan chaand), Seeraj Kabeer (bada charagh, suraj) Hazrat Bandagimiyam Syed Khundameer Raziallahu ta'aala anhu ke hawaale kar ke Hazrat Mahdi(AS) baarha farmaya karte the ke: 'Agar mashriq wa maghreeb ka tamaam lashkar jama ho kar tum se muqabala ke liye aaye to pahale roz tumhare saamne se b-farman Khuda e ta'aala shikast khaa kar bhagenge. Aur dusare roz ki jang mey Sayyadushshohada(Rz) ke shahadat ki khabar Aa'nhazrat(AS) ne dee thee.
Neez farmaya: "Bhai Syed Khundameer (Rz)! Jaha'n 'Vilayat e Mustafa (ﷺ)' ka baar dala jata hai waha'n sar jooda, tan jooda, post jooda hota hai!!
Aur farmaya: 'Agar Banda Mahdi Ma'ood hai to tum par ye seefat zaahir hogi!!
Jaisa ke iss 'Sadiqul wa'ad' (sachcha wadah karne wale) yani Hazrat Mahdi Alaihissalam ne khabar dee thee, hurf-b-hurf saabit huyee aur Hazrat Mahdi Alaihissalam ki hujjat iss moujize par tamaam huyee.
Jaan aye munsif ke iss 'Jang e Vilayat' ko 'Jang e Badr' kahate hain. Ye jang 'Badr e Nabuwwat Muhammad Mustafa(ﷺ)' ki tarha Imam Alaihissalam ki tamaam maujizo ki hujjato'n ka majmu'aa hai.
Hazrat Bandagimiyan Abdul Rasheed(Rz) ne 'Jang e Bard e Vilayat' ke muta'aluq likha hai ke:
HUJJAT MAHDI(AS) HUYEE ISS PAR TAMAAM.
(Iman ke gande, baseerat ke andhe iss moujize ke kya samaz payenge?)
- Reference: 📚Afzal Mujizat Al Mahdi(AS)
15. Miyan(Rz) se adaawat ka anjaam!!
Hazrat Siddiq e Vilayat Raziallahu ta'ala anhu ne Sultan Muzaffar ke ta'alluq se farmaya tha Tum ye baat yaad rakho ke iss jang ke baad in sha Allah, iss shahar ka aman wa amaan baqi na rahega, badshah (Muzaffar) aur uski aoulad tabah ho jayegi.
Sultan Muzaffar saani ke baad Sultan Sikandar shah Amadul Mulk ke haath se maara gaya, Sultan Mehmood shah duwwam se Bahadur sha maara gaya. Isi tarha 50 saalo'n me badashahane Gujrat ek ke baad digar ya to qatl kar diye gaye ya chand dusaro ne khudkashi kar ke haraam mout eqariyar kar li. Isi tarha Sultan Muzaffar ki aoulad tabah hoti rahi aur 50 saalo'n ke andar saltanat e Gujrat ki tabahi wa barbadi ho gayee. Saltanat aur sultan har do naam wa nashan meet gaye. Darul saltanat Chapaner aysa ujada ke ek ghane aur khouf naak jangal wa jhaadi me tabdil ho gaya.
Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) ki peshangoi hurf b hurf poori ho gayee.
Yahi haal unn ulema aur mashayaqeen ka bhi huwa jinho ne mahadaviyon ke khilaf qatl ke fatawe jaari kiye the. Unka naam wa nashan tak na raha.
(Ye to huwa duniya ka haal. Aakhirat ka anjam to Allah hi behatar jaane!!)
- Reference: 📚Seerat Siddiq e Vilayat (Rz) 🖋 Moulif: Peer O Murshid Hazrat Miyan Syed Ismail urf Moosa miyan sahab qibla Rh.
16. Naql hai, Hazrat Mahdi Alaihissalam ne farmaya 'Bhai Syed Khundameer (Rz)! Haq ta'ala ka farman hota hai ke INNA A'ATAYNA KAL KAUSAR ( HAM NE TUJHE KAUSAR ATA KIYA HAI ) SE MURAD TUMHARI ZAAT HAI.'
Hazrat Bandagimiyan Syed Khundamir Raziallahu ta'ala anhu ko Allah ta'ala ne 'Houz e Kausar' se mushabahat (yaksoo'n,muwafiqat) di hai. Kyonke Jannat ki har nahar isi houz se jaari hoti hai aur har chashma isi houz se iktisaab (zaati mehanat se haasil karna, kamana) karta hai.
Ayasa hi Ambiya (AS) aur awaliya (Rh) ke faiz ki nahar bhi Vilayat e Muhammadiya' se jaari hoti hai, jiske khaatim Hazrat Mahdi Alaihissalam hain.
Phir Hazrat Mahdi(AS) ne Khuda e ta'ala ke hukm se farmaya "Bhai Syed Khundamir (Rz)! Ham aur tum ek hain aur vilayat ke baar ka khatm tum par hai."
Aur farmaya 'Jis tarha bande se faiz jaari hai, tum se bhi jaari rahega aur bahut se log tumhare bayan aur paskhurdah ke sabab Khuda tak pahunchenge.'
- Reference: 📚Naqliyat Hazrat Bandagimiyan Syed Aalam Rh (16) 📚3) Noor e Iman
17. MIYAN(RZ) KI NISTI
Hazrat Bandagimiyan Syed Khundmeer Raziallahu ta'ala anhu ko Khuda se urs ka saman ya rupaya aata to aap(Rz) khana pakawate, sahaba(Rz) ko daawat dete, urs ki azamat ke lihaz se sahaba(Rz) ke haath khud dhoolate aur tasht mey geera huwa paani pee lete!
Subhan Allah! Nisti ka iss se behatar namuna aur kya ho sakta hai? Ba-wajood iske ke Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer(Rz), Siddiq e Vilayat, Haamil e Baar e Amanat, Sultan un Naseer, Naaseer e Deen e Muhammadi (ﷺ), taaba e taam Mahdi (AS), Qayam maqam e Mahdi (AS), Badal e Zaat e Mahdi (AS), Haamil e Bayan e Qur'an, Mubasshir aur behatreen basharaat ke ba-wajood aap(Rz) apne deeni bhaiyon ke saath nisti ka aysa bartaw karte!!
Hazrat Bandagimiyan (Rz) ka ye fa'il ham pasmaando ke liye aala namuna hai. Khuda Hazrat Bandagimiyan (Rz) ke sadqe se hamko Syyedna Mahdi Maa'ood Alaihissalam ke iss farman ke ba-moujeeb(layeq) karde, jisko Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) hamesha apni zaban mubarak se ada farmate the ke:
Khaak ban khaak taake phool ooge ,
Kyonke sab ke zahoor ki jagah khaak ke siway dusari cheez nahi !!
. ( Raziallahu Ta'ala Anhu )
- Reference: 📚Hudood e Da'era 🖋Hazrat Miyan Syed Qutubuddin Khundamiri urf Khoob miyan sahab Palanpuri Rh
18. MIYAN(RZ) KI KHAKSARI
Naql hai ke ek roz Hazrat Bandagimiyan Shah Dilawar Raziallahu ta'aala anhu Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Raziallahu ta'aala anhu ki mulaqat ke liye Khambel aaye the. Qaza e haajat ke liye waha'n ek baagh ke kinare jaakar baithe. Waha'n ke maali ne Hazrat Bandagimiyan Shah Dilawar(Rz) ko na pahechana aur chand beadabi ke kalmaat kaha.
Jab biradaran e da'era ko khabar huee to fauran usko pakadkar Hazrat Bandagimiyan(Rz) ke saamne laaye. Miyan(Rz) ne usko khoob maara. Isi waqt Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal(Rz) ghar se baher aaye to unhone arz kiya, "Abbajan! usko maarana bahut achcha huwa, kal isne khundakar ko bhi gaali di thee.!"
Hazrat Bandagimiyan(Rz) ne biradaro'n ko hukm diya, "Ab isko chhor do. Bande ne Bhai Dilawar(Rz) ke liye isko maara tha.!"
Phir Hazrat Bandagimiyan Syed Jalal(Rz) ko farmaya, "Baba ! Mai gaaliyo'n ka jhaad hoo'n , mujhe iska koee khouf nahi ( gaaliyo'n ki koee parwah nahi." )
- Reference: 📚Naqaliyaat Hazrat Bandagimiyan Syed Aalam(Rh). (Naql Mubarak No.273)
19. Ek roz Farah mey Allah ke mahboob Hazrat Imam Alaihissalam ke huzoor mey Hazrat Bandagimiyan Raziallahu ta'aala anhu ne ma'amala dekha ke ek badi darya bahe rahi hai jis me kooda-karkat(kachara) ke maanind murdey bahe ja rahe hain aur uss darya ke kinare par Hazrat Risalatpanah (ﷺ) aur Hazrat Meeranji(AS) ki zaat mubarak kamar baandh kar khadi huyee hain! Jo koyee shakhs iss darya mey haath-paa'on maaraney lagta hai aur bahar aane ki koshish karta hai, Hazrat Muhammad Mustafa(ﷺ) aur Hazrat Mahdi(AS) ki zaat aqdas uska haath pakad letey hain aur usko darya ke bahar nikaal rahe hain. Bande ko bhi hukm kar rahe hain ke Biradaram Syed Khundameer! Tum bhi kamar baandh lo aur dekho jo koyee shakhs iss darya mey haath-paa'on maarey aur bahar aane ki koshish kare, usko bahar nikaal lo. Pas banda bhi ayasa hi kiya aur har do zaat(AS) ka hukm baja laya.
Jab ye poora ma'amala Hazrat Mahdi Alaihissalam ke saamne arz kiya gaya to aap(AS) ne farmaya: "Haa'n Biradaram Syed Khundameer (Rz)! Jo kuchh tum ne dekha wo durust hai. Duniya poorjosh bahati huyee darya ke maanind hai aur makhlooq duniya ki talab mey murdah seefat bane huwe iss darya mey kooda-karkat ke maanind bahate huye dikhayee diye hain. Iss mey jo koyee shakhs duniya ko "BALA" samazkar din aur raat bahar aane ka iraada kiya huwa hai, uss shakhs ko Hazrat Muhammad Mustafa(ﷺ) aur Banda aur tum bahar la rahe hain. Jaan-na chahiye ke ham aur tum ek wajood hain, jooda nahi hain!"
- Reference: 📚Daftar Awwal Shah Burhan. 🖋 Hazrat Bandagimiyan Syed Burhanuddin (Rh)
20. Hazrat Mahdi Alaihissalam ke hukm par Hazrat Bandagimiyan Syed Khundameer Raziallahu ta'ala anhu Nasarpur se Patan Gujrat tashrif laye aur apne khandani asahab ki khawahish par apne qadeem makan mey thahare. Yaha'n par aap(Rz) ka qayam 18 maah raha. Itni taweel muddat ke qayam ke bawajood 'Siddiq e Vilayat(Rz)' ne apne nana Mubarazul mulk se ek waqt bhi mulaqat nahi faramaee, halanki ek hi ghar mey deewar aad mey they!
Tark e mulaqat ka sabab ye tha ke Mubarazul mulk ne Patan se Hazrat Mahdi Alaihissalam ke ikharaj ka badashahi farmaan jab Imamuna (AS) ko pahunchana chaha to Siddiq e Vilayat (Rz) ne nana se kaha tha ke, 'Nanajan! Hazrat khud tashrif le jane ke liye tayar hain, isliye Hazrat ko badashah ka farmaan dikhaane ki zarurat nahi hai. Agar aap ne batalaya to banda kabhi aap ka moo'nh nahi dekhega!! Iss baat par aap (Rz) ayse qayam rahe ke jab kabhi Mubarazul mulk ghar mey aate, aap(Rz) dusare darwaze se ya daricha (window) se bahar chale jate!
Farah pahunchane par jab ye baat Hazrat Mahdi Alaihissalam ko maalum huyee to aap(AS) ne farmaya: "Mard e Khuda ayase hi shakhs ko kahate hain , jisne ek deewar ki aad mey 18 maah rahane ke bawajood mahaz Allah ke waste Malik se mulaqat nahi ki !!"
- Reference: 📚Shawahid ul Vilayat aur Seerat Siddiq e Vilayat (Rz)
21. Hazrat Bandagimiyan Syed Khundamir Raziallahu ta'ala anhu ka da'era Khambel mey tha. 27 Zilhajja 930 hijri Hazrat Babdagimiyan (Rz) ko farmane Khuda huwa ke, ' Jo koi tere da'ere me aaj ki raat moujood hai usko ham ne baksha aur imaan ata kiya.'
Giroh muqaddasa mey ye raat "Lailatul Imaan" ke naam se yaad ki jati hai.
Naql hai, isi raat me da'ere ki bandiyo'n (Bullock-cart) ke charwahe bhi hazir the. Kisi ne Hazrat Bandagimiyan(Rz) se arz kiya, "Iss bakshish azama ke samandar ke faizan se kuchh qatare (drops) unko(charawaho'n ko) bhi pahunche hain ya nahi?"
Hazrat Siddiq e Vilayat(Rz) ne farmaya: "Ye ata aam hai, imaan ka behara unko bhi pahunchta hai!!"
Iss raat ke bakshish aur khal'ato ki taarif Hazrat Bandagimiyan Malik ji 'Mehari' (Rz) ne kuchh iss tarha ki hai(chand ash-aar):
Hai zeba waqt-bakht chamaka
Sa'adat ka sitara aaj
Ke shahnshah ne aalam par
Dar e rahemat ko khola aaj
Hai kya hi bakshisho'n ka din
Baya'n jis ka hai namumkin
Musharraf haq ki jaanib se
Hai har apna paraya aaj
- Reference: 📚Tazkiratussalenin 🖋 Moulif: Hazrat Miyan Syed Hussain (Rh) nabeerah Hazrat Bandagimiyan Syed Ali Sutoon e Deen(Rh.)
Manaqabat-e-Hazarat Bandagi Miyaan Sayyaid Shaahe Khundamir razi
Qataloo Wa Qutilu Ki Misdaq aap hain
Aye Siddiqe Khundamir Bebaag ap hain
Tha sar aapka,magar vo bhi Khuda ki Amanat .
Is Amanat me, magar thi Mahedi ki Zamanat .
Mahedaviyat ki asal Shakh aap hain
Qatalu wa Qutilu ki Misdaq aap hain
Kahaan Patan Kahaan Sudarasan Kahaan Champaner .
Hua teeno jagah Madafan ye Mahedi ka Sher .
Dushman ke Lashkar ki, bas Dhaaq aap hain
Qaatalu Wa Qutilu ki Misdaq aap hain
Mahedi ki ata hai aapko Badar e Muneer .
Navaza aapko laqab se Sultaan e Naseer
Ishq-e-Mahedi ki Sulagati Aag aap hain
Qaatalu Wa Qutilu ki Misdaq aap hain
Hua Posht Juda, Tan Juda, Aur Khaal bhi Juda .
Tha wo Dushmane Mahedi na tha use Khaufe Khuda .
"Sab" Parachame Mahedi ki Saakh aap hain.
Qaatalu Wa Qutilu ki Misdaq aap hain
Aye Siddiq-e-Khundamir Bebaaq aap hain.
Guzarish: To Err is Human, agar kahin kuch typo mistakes ya choot huvi ho tu hame comment box ke zariye batayen, Insha Allah edit kiya jayega.