“Hum Infaradi Taur Par To Kamiyab Hain,Magar Ba Haisiyat E Qoum Nakaam” Dr.Rahman Khan Kayenaat Adab Bangalore Ke Zer E Ehtemaam “Taleem Ki Ehmiyat” Par Seminar Aur Award Taqreeb Ka Inaqad” – Ek Report.
Bangalore 26 August: ‘Tareeq Ka Muta'ala Bohot Zaroori Hai, Aaj
Tulaba Ye Samajhte Hain Ke Riyazi Aur Science Padhlena Kaafi Hai, Aisa Nahi Hai
Tareeq Ka Shoba Bhi Bohot Ahem Hai.’ Inn Khayalaat Ka Izhar Kainaat-e-Adab,
Bangalore Ke Zere Ehtemaam Chahrshumbe Ku Hotel Imperial Me Munaqad ‘Taleem Ki Ehmiyat’ Ke Seminar Aur Award
Taqreeb Se Qitaab Karte Hue Sabiq Markazi Wazeer Janab Dr. K Rahman Khan Ne Kaha. Inhone Kaha Har Shaks Apne Andar Koi
Salahiyat Zaroor Rakhta Hai Magar Mujhe Khushi Hai Ke Aaj Jitne Lectures Aur
Professors Ku Award Diya Gaya Hai Wo Na Sirf Iss Ke Mustahaq Hain Balke Mai
Inhe Acchi Tarha Janta Hun. Inki Khidmaat Aur Inke Ilm Se Mai Ba-Khoobi Waqif
Hun. Ye Sab Kamiyab Tareen Shaksiyat Hain Aur Hamein Qoum Ke Inn Kamiyab
Numa'indon Se Istefada Karna Chahiye Aur Inki Madad Se Poori Qoum Ku Aage Laana
Chahiye.
Infaradi Kamiyabi Agar Ijtemai
Kamiyabi Ki Zaamin Hojae To Hum Ba-Haisiyat-e-Qoum Kamiyab Kehlayenge. Kaienaat-e-Adab
Ke Sadar, aur Mehdavia Times ke founder Inayath
Ullah Khan Aur Motamid-e-Kainaat-e-Adab, Suhail Nizami ne Inki Sata'ish Ki
Ke Inka Inteqaab Bilkul Sahi Hai. Inhone Kaha Ke Aaj Ki Generation Ko Sahi Simt
Ka Ta'aiyyun Karna Chahiye, Jiske Liye Khud Ehtesaabi Ki Zaroorat Hai. Ulema-e-Ikraam,
Danishwaron aur Rehbaron Ku Mil Baith Kar Qoum Ke Mustaqbil Ki Raah Mutai'yyin
Karni Chahiye. Moulana Azad Ke Nazariyaat Ku Apna Kar Aage Badhna Chahiye Kyunke
Azad Ki Door-Andeeshi Aisi Hai Ke Inhone Jo Peshan'goiyan Ki Wo Ba-Tadreez Sach
Sabit Hui. Allah Ne Humko Jo Zimmedari Di Hai Isku Poora Karne Ki Koshish Karni
Chahiye. Tanqeed Se Ghabra Kar Raah-e-Amal Se Piche Nahi Hatna Hai. Qoum Me
Ta'asub Aur Dusre Ki Kamiyabi Se Hasad Aur Nicha Dikhane Ki Koshishon Se Baaz
Rehna Hoga.
Iss Mouqe Par Janab Dr. K. Rahman Khan Ne Dr.Hafiz Karnataki Ki Majmua Kalam ‘Saaz-e-Watan’ Ka Hindi Tarjuma Ka Bhi
Ijra Kia. Mehmaan-e-Qusoosi Backward Class Department Ke Secretary To
Government Janab Mohommed Mohsin IAS
Ne Apne Khayalaat Ka Izhar Karte Hue Kaha Ke Hamari Qoum Ko Abhi Bhi Taleem Ki
Taraf Bohot Tawajja Dene Ki Zaroorat Hai. Zaroori Nahi Ke Har Ghar Ka Baccha Doctor
Ya Engineer Hi Bane Iske Alawa Kayi Shobe Hain Jispar Tawajja Dene Ki Zaroorat
Hai. Inhone Kaha Ke Taleem Ke Liye Har Koi Apne Taur Par Madad Kar Sakta Hai. Ghareeb
Bachon Ki Taleem Mukammil Karne Me Madad Dijiye, Ek Ek Bache Ki Bhi Agar
Zimmedari Li Jaye To Hazaron Bache Apni Taleem Mukammal Karsakte Hain.
Assistant Commissioner Of Police Janab
Mohmmad Sajjad Khan Ne Kaha Apne Bachon
Ki Padhai Par Dhyan Dene Ki Bohot Zaroorat Hai. Maa Baap Apni Zimmedari Ada To
Karte Hain Lekin Inme Aqlaqiyat Paida Karne Me Kabhi Kabhi Piche Reh Jate Hain.
Isliye Ke Agar Aulad Ko Ba-Aqlaq Banaya Jayega To Wo Apne Walidain Ki Bhi Izzat
Karenge Aur Apni Zindagi Bhi Khush Haal Guzar Sakenge.
Dr.Mohmmed Farooq Ne Kaha Ke Dr.Rahman Khan Saheb Ki Rehnumai
Ars-e-Daraaz Se Horahi Hai. Bohot Pehle Hum Ne Besaharon Ku Sahara Dene Ke Liye
Ashiyana Old Age Home Banaya Tha. Ashiyana Skill Development Institute Ki Chaar
Manzila Imarat Taiyyar Hochuki Hai Jiska Sang-e-Buniyaad Bhi Rahman Khan Saheb Ke
Haton Rakkha Gaya Tha. Manshiyaat Ki Lat Se Chudane Ke Liye Bhi Idara Banane Ka
Mansooba Hai. Iske Alawa Kayi Mansoob-e-Zere Ghour Hain.
Rayaan Education Society Of India
Ke Chairman Janab Hyder Ali Khan Ne
Kaha Ke Millat Ke Taleemi Idaron Ki Aabiyari Apne Khoon Paseene Se Hamare Buzurgon
Ne Seencha Hai. Islamia Institute Ki Zameen Ke Saat Jo Hua Hai Wo Afsos Naak
Hai. Naye Idare Qayim Karne Ke Bajaye Moujooda Idaron Ke Member Ban Kar Inko
Mustahkam Banaya Jaye. Taleemi Idare Hi Nahi Rahenge To Hamare Bachon Ki Taleem
Ke Liye Ghairon Ke Idaron Ke Chakkar Kaatne Padhenge. Millat Ke Muqai'yyar Hazraat
Aala Taleem Yafta Aur Danishwaron Ko Inn Idaron Ki Sarparasti Karni Chahiye Aur
Inhe Qatm Hone Se Bachana Chahiye.
Sadarati Qibtaab Karte Hue Dr.Moulana Shameem Salik Ne Kaha Ke Aaj
Jin Ahbaab Ko Award Diya Gaya Wo Taleem Se Behrawar Hain. Inhone Saikdon Hazaaron Shagirdon Ki Zindagi
Banai Hai. Aise Logon Ku Muntaqab Kar Ke Inhe Aezaaz Dene Ka Kaam Qabile
Sata'ish Hai. Inhone Suhail Nizami, Inayath Ullah Khan Aur Ifteqaar Ahmad Shareef Ki Sata'ish Ki
Ke Apni Mehnaton Aur Lagan Se Itni Shaandaar Taqreeb Ka Inaqaad Kiya. Inhone Kaha
Ke Taleem Ka Mouzu Hamare Liye Hamesha Taaza Rahega. Kyunke Har Koi Apni Aulad
Ku Taleem Se Maala Maal Karna Chahta Hai. Inhone Aezaaz Yaftagaan Ko Apni Nek Khwahishaat
Pesh Ki.
Moulana Tabarak Rasheedi Ki Qirat Se Aghaaz Hua. Hafiz Syed Tabrez Ne Naat Pesh Ki. Mehdavia
Times Welfare Trust Ke Inayath Ullah Khan Ne Istaqbalia Pesh
Kiya Aur Suhail Nizami Ke Shukriye
Par Taqreeb Ka Iqtetaam Hua.
A. Kainaat-e-Adab Award 2021 (Category : Education) Aezaz Yaftagaan Me
- Professor Sabiha Zubair,
- Professor Mohommed Javeed,
- Professor M.Ashraf Ali,
- Professor Mohommed Tazeer Ahmad,
- Professor Saleem Pasha,
- Professor Mohommed Azam Shahid,
- Professor Abdul Rauf &
- Professor Salam Musheer ( Baad E Az Marg) Shamil Rahe.
B. Kainaat-e-Adab Award 2021 (Category : Journalism) Sahafat Me
- Sharfuddin Syed,
- Syed Abdul Kareem (Awaaz-e-Karnatak)
- Salaar Youtube Channel,
C. Kainaat-e-Adab Award 2021 (Category : Sports / Martial Arts) Sports
Me
- Syed Fawadullah
D. Kainaat-e-Adab Award 2021 (Category : Social Services) Samaji
Qidmaat Me
- Shafiya Farooq,
- Al Wara Asif,
- Syed Irfan Ahmad,
- Syed Mansoor,
- Dr.Mohommed Hussain,
- Riyaz Ahmad,
- Shah Moosa,
- Mohommed Pyaare Jaan,
- Mohommed Aslam (Singer) Shamil Rahe.
Is Program Ki Videos Mehdavia Times Par Jald Hi Upload Ki
Jayegi.